MmsBee कोई तो रोक लो
09-11-2020, 02:22 PM,
RE: MmsBee कोई तो रोक लो
{Update - 241}
____________________________

Vaani didi boli “mai tumse is baare me khane ke bad baat karti hu.”

Itna kak kar vaani didi niche chali gayi. Aaj yadi keerti mere pas na hoti aur yadi aaj vaani didi ko apni flight na pakadni hoti to, aaj is baat ko lekar meri shamat aana pakki thi.

Meri samajh me nahi aa raha tha ki, ab mai vaani didi ko apne niche khana na khane ki kya vajah batau. Mai abhi isi uljhan me uljha hua tha ki, tabhi keerti ne mujhe tokte huye kaha.

Keerti boli “abhi to maine vaani didi ko tumse ye baat puchhne se rok liya hai. Lekin wo dobara tumse is baare me sawal jabab jarur karegi.”

Mai bola “haan, ye to mai bhi janta hu. Lekin ab meri samajh me ye nahi aa raha hai ki, mai unhe is baat par apni kya safayi du.”

Keerti boli “meri maano to, tum unhe sab kuch sach sach bata do. Wo tumhare baare me tumse jyada hi janti hai. Wo is baare me job hi faisla legi, tumhari bhalai ke liye hi hoga. Isliye unse kuch mat chhupao.”

Itna kah kar keerti khana khane ke liye niche chali gayi. Lekin uski is baat ne mujhe soch me daal diya tha. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, mai vaani didi se is baat ko kaise kahu.

Mujhe keerti ki vaani didi ko sab kuch sach sach bata dene wali baat sahi lag rahi thi aur mai vaani didi ko sab batana bhi chahta tha. Lekin ye baat aisi bhi nahi thi ki, mai bejijhak vaani didi se sab kuch kah saku.

Mai vaani didi ke aane ke pahle apne dusre mobile se priya ko call lagane wala tha. Lekin vaani didi se baat hone ke bad, priya ko call lagane wali baat mere dimag se nikal hi gayi thi.

Mai vaani didi se huyi baton me hi ulajh kar rah gaya tha. Mai abhi inhi baton me uljha hua tha ki, tabhi mera mobile bajne laga. Maine mobile dekha to, barkha didi ka call aa raha tha.

Barkha didi ka call aate dekh kar mujhe priya ko bhi call karne wali baat yaad aa gayi thi. Lekin maine priya ko khana khane ke bad call karne ki baat sochi aur bluetooth headphone laga kar barkha didi se baat karne laga.

Mai barkha didi se baat karte huye khana bhi khata ja raha tha. Unhe mere aur ami nimi ke mumbai aane wali ka baat ka pata to kal hi chal chuka tha. Lekin abhi unhe mere Durgapur jaane wali baat ka pata nahi tha.

Isliye mai unhe apne juhi didi ki shadi me Durgapur jaane ki baat ke baare me batane laga. Meri baat sunne ke bad barkha didi ne kaha.

Barkha didi boli “iska matlab hai ki kal meri tumse khane ke samay par baat nahi ho sakegi.”

Mai bola “didi, sirf kal hi nahi. Ab meri aapse do teen din tak khane ke samay par baat nahi ho sakegi. Kyoki juhi didi ki shadi parso Wednesday ki hai. Hum log unki shadi me shamil hone ke liye kal sham ko yaha se niklege.”

“Iske bad parso hum unki shadi me shamil honge aur fir uske agle din unki vidai ke bad hi sham ko kisi samay hum logon ki ghar wapsi ho sakegi. Isliye ab meri aap se Thursday ke pahle khane ke samay par baat nahi ho payegi.”

Meri baat sunkar, barkha didi ne muskurate huye kaha.

Barkha didi boli “koi baat nahi. Tum khushi khushi shamil hone jao. Hum log uske bad baat kar lege.”

Iske bad meri barkha didi se kafi der tak isi baare me baat chalti rahi. Inhi baton ke chalte mera aur unka khana khana bhi ho chuka tha. Mai hath dhone ke bad fir se unse baat karne laga.

Humara khana khana to ho chuka tha. Lekin abhi bhi humari baten chal hi rahi thi. Ab barkha didi mujhe waha ke logon ka haal chaal de rahi thi. Mai barkha didi se baat karne me laga hua tha, tabhi keerti aa gayi.

Usne mujhe abhi bhi baton me lage dekha to, khamoshi se khane ke bartan uthaye aur wapas niche chali gayi. Lekin kuch hi der bad wo fir se wapas aa gayi aur mere pas aakar baith gayi.

Kuch der tak to wo mere pas baithi kamoshi se mujhe barkha didi se baat karte dekhti rahi. Lekin kuch der bad usne mere sath shararat karke mujhe pareshan karna suru kar diya.

Kabhi wo mujhe gudgudi laga kar pareshan kar rahi thi to, kabhi mere kaan me lage bluetooth headphone ke sath chhed chhad karne lagti thi. Uske aisa karne se mujhe barkha didi se baat karne me pareshani ho rahi thi.

Usi samay barkha didi se nisha bhabhi ne phone le liya aur mai nisha bhabhi se baat karne laga. Maine keerti ko shararat karne se mana kiya. Lekin wo apni aadat se baaj nahi aa rahi thi aur abhi bhi mujhe pareshan karne me lagi huyi thi.

Aakhir me us se pareshan hokar, mai uske pas se uth kar, uske samne bed ke dusri taraf aakar baith gaya. Mujhe apne pas se uth kar door jakar baithte dekh kar keerti bhi uth kar mere pas aane lagi.

Lekin maine use gusse me aankh dikhate huye use wahi baithe rahne ka ishara kiya. Mujhe is tarah se gussa karte dekh kar, wo muskurati huyi wahi baith kar meri baten sunne lagi.

Ab hum dono ek dusre ke samne pair faila kar baithe huye the. Meri peeth darwaje ki taraf thi. Lekin keeti ke chehra darwaje ki taraf tha aur wo bahar najar rakhte huye abhi bhi mere sath shararat karne me lagi huyi thi.

Mai ek taraf keerti ki in shararat ka aanand le raha tha aur dusri taraf nisha bhabhi se baat karne me laga hua tha. Aise hi baton baton me mai nisha bhabhi ko pritam aur vaani didi ke bich huyi baton ke baare me batane laga.

Mujhe nisha bhabhi se is baare me baat karte dekh kar keerti bhi meri baat ko gaur se sunne lagi. Nisha bhabhi bhi bade gaur se meri baten sunne me lagi huyi thi. Meri baat puri hote hi nisha bhabhi ne kaha.

Nisha bhabhi boli “iska matlab to yahi hua ki, ab pritam fir se police inspector ban jayega.”

Mai bola “ji bhabhi, vaani didi aur pritam ki aaj ki baton se to mujhe yahi lag raha hai ki, pritam ko jaldi hi uski inspector ki post wapas mil jayegi.”

Meri ye baat sunkar, nisha bhabhi ne vaani didi ki tarif karte huye kaha.

Nisha bhabhi boli “kuch bhi kaho, lekin tumhari ye bahan kamal ki hai. Usne koyal aur payal se jo vada kiya tha. Use pura karke dikha diya.”

Nisha bhabhi ke muh se vaani didi ki tarif sunkar, maine bhi khush hote huye kaha.

Mai bola “ji bhabhi, meri vaani didi jaisa koi bhi nahi hai. Wo jo kahti hai, karke bhi dikha deti hai. Unse paar pana kisi ke bas ki baat nahi hai.”

Nisha bhabhi boli “haan, tumhari ye baat bilkul sahi hai. Maine aaj tak vaani jaisa diler, janbanj aur dimag ka tej kisi ko nahi dekha hai. Aadhe mujrim to uska naam sunkar hi bhag jate hai aur aadhe mujrimo ko wo maar girati hai.”

Nisha bhabhi ki is baat ko sunkar, maine unse kaha.

Mai bola “bhabhi, aap to sirf mujrimo ki baat kar rahi ho. Humare yaha hum logon ki to ye halat hai ki, hum se koi vaani didi ke samne muh kholne tak ki himmat nahi kar pata hai.”

“Sabko bas is baat ka hi dar laga rahta hai ki, pata nahi kab vaani didi ke gusse ki gaaj us par gir jayegi. Hum logon ko to unke samne kuch bolne ke pahle bhi sau baar sochna padta hai.”

Meri ye baat sunkar, keerti mujhe aankh dikhane lagi. Wahi meri ye baat sunne ke bad nisha bhabhi ne hanste huye kaha.

Nisha bhabhi boli “ye sirf tumhare waha ki halat nahi hai. Humare yaha bhi sab vaani se bach kar rahna hi pasand karte hai. Uske samne to humari seeru bhi apna shaitani dimag chalane se katrati hai.”

Nisha bhabhi ki ye baat sunkar, maine bhi unki haan me haan milate huye kaha.

Mai bola “haan bhabhi, aapki ye baat bilkul sahi hai. Vaani didi ke samne kisi ki ek nahi chalti hai. Wo puri hitler hai. Mehul aur ami nmi to unki peeth pichhe unhe hitler didi kah kar hi bulate hai.”

Meri baat sunkar, nisha bhabhi khilkhilakar hasne lagi. Lekin meri is baat ko sunkar, keerti mujhe apni aankhne badi karke dekhne lagi. Shayad use mera vaani didi ki burayi karna pasand nahi aa raha tha.

Lekin mujhe nisha bhabhi se vaani didi ke baare me baten karke bahut acha lag raha tha. Isliye mai keerti ke is tarah aankhne badi karke dekhne ki koi parvah nahi kar raha tha aur apni baton me mast tha.

Udhar shayad nisha bhabhi ko bhi meri in baton me maja aa raha tha. Isliye un ne meri is baat ko aage badate huye kaha.

Nisha bhabhi boli “acha to, mehul aur ami nimi vaani ko hitler didi kahte hai. Lekin tum aur keerti vaani ko kya kahte ho.”

Mai bola “bhabhi, keerti ka to aap is baare me naam hi mat lo. Keerti vaani didi ki sabse jyada ladli hai aur vaani didi keerti ki sabse pyari didi hai. Keerti se to vaani didi ki koi bhi burayi sahan hi nahi hoti hai.”

“Abhi bhi wo mere pas hi baithi huyi hai aur mujhe vaani didi ki burayi karte dekh kar, mujhe kha jaane wali najro se ghoor rahi hai. Uska bas chale to, is baat ke liye mujhe kachcha hi kha jaye.”

Meri baat sunkar keerti ne mujhe aankh dikhate huye, apni gardan par hath rakh kar gardan kat jaane ka ishara kiya. Lekin mai samajh nahi paya ki, wo ye ishara kyo kar rahi hai.

Mujhe laga ki, wo mujhe dhamki de rahi hai. Isliye uski is harkat par mai muskura kar rah gaya. Wahi nisha bhabhi ne bhi meri is baat sunne ke bad hanste huye kaha.

Nisha bhabhi boli “tab to tum keerti se bach kar hi rahna. Kahin aisa na ho ki, wo ye sab baten vaani ko bata de aur fir tumhari shamat aa jaye.”

Nisha bhabhi ki is baat par maine muskurate huye kaha.

Mai bola “nahi bhabhi, mujhe keerti se is baat ki jara bhi ummid nahi hai. Wo to ulta mujhe vaani didi ke gusse se bacha leti hai. Yadi keerti na hoti to, pata nahi vaani didi abhi tak kitni baar mere kaan ke niche baja chuki hoti.”

Meri ye baat sunkar, keerti ne apna sar peette huye apne hath se pahle meri taraf aur fir khud ki taraf ishara kiya. Mujhe uske is ishare ka thoda bahut matlab samajh me aa gaya tha.

Wo shayad mujhse ishare me kah rahi thi ki, tum khud bhi dubo aur apne sath mujhe bhi duba do. Uske is ishare ka matlab samajh me aate hi, mere chehre par muskurahat aa gayi.

Wahi nisha bhabhi bhi meri is baat ko sunne ke bad hanse bina na rah saki. Lekin un ne fir se apni pahle ki hi baat ko kuredte huye kaha.

Nisha bhabhi boli “tumne ami nimi aur mehul ki pol to khol di ki, wo vaani ki peeth pichhe use kya kahte hai. Lekin jab is baare me khud ki baat batane ki baari aayi to, ab tum keerti ki aad lekar bachna chahte ho.”

Mai bola “nahi bhabhi, aisi koi baat nahi hai. Bhale hi vaani didi kitna bhi mere kaan ke niche baja le aur mai unse kitna bhi pareshan kyo na ho jau. Lekin mai kabhi vaani didi ke liye kabhi kisi galat shabd ka istemal nahi karta hu.”

Meri ye baat sunkar, nisha bhabhi ne meri is baat ko kaatte huye kaha.

Nisha bhabhi boli “mere se jyada jhuth bolne ki koshish mat karo. Vaani ne us din hum sabke samne tumhari pol khol kar rakh di thi ki, tum kaise abhi aur vaani ki baat ko lekar keerti se dil khol kar burayi karne me lage huye the.”

Nisha bhabhi ki is baat ko sunkar, mujhe mumbai me vaani didi ki abhi jiju aur unki baat par hansi udane wali baat yaad aa gayi aur maine is baat par apni safayi dete huye kaha.

Mai bola “bhabhi, us din bhi mai vaani didi ki tarif hi kar raha tha. Mai to keerti se bas ye bol raha tha ki, vaani didi ka sab par kitna jyada khauf hai. Yadi wo shikha didi jaisi shant hoti to, kitna acha rahta.”

Meri is baat ko sunkar, nisha bhabhi ne bhi thoda sanjida hote huye kaha.

Nisha bhabhi boli “haan tumhari ye baat to sahi hai. Lekin tum is baat se bhi inkar nahi kar sakte ho ki, vaani tum sabko bahut pyar karti hai.”

Mai bola “bhabhi, isme inkar karne wali koi baat hi nahi hai. Is baat me koi shaq nahi hai ki, vaani didi hum sab se bahut pyar karti hai. Lekin ye baat bhi sach hai ki, wo apne aage kisi ki bhi nahi sunti hai.”

“Jo kuch bhi unke dil me aata hai, bas karti chali jati hai. Kabhi kisi se kisi baat ke liye puchhne ki jarurat hi nahi samajhti hai. Mujhe unki isi baat par bahut jyada chid chhutti hai.”

“Aapne to khud dekha hai ki, un ne apni kitni achi naukri ko laat maar di hai. Mujhe to laga tha ki, unki is baat ka sirf mujhe hi bura laga hai. Lekin aaj ami ki baton se pata chala ki, use bhi vaani didi ki ye baat achi nahi lagi hai.”

“Lekin vaani didi ko humari in sab baton se koi farak nahi padta hai. Wo to aisa jatati hai, jaise kuch hua hi na ho. Ye to acha hai ki, wo mujhse badi hai. Yadi wo mujhse chhoti hoti to, mai unhe is baat ka acha sabak sikhata.”

Meri ye baat sunkar, nisha bhabhi to khilkhila kar hasne lagi. Lekin keerti jo abhi tak mujhe ishara karke mujhse kuch kahne ki koshish kar rahi thi. Usne gusse me pahli baar apna muh kholte huye kaha.

Keerti boli “aaj tum bahut buri tarah se pitoge.”

Keerti ka is tarah se mujh par gussa karne ka matlab mujhe samajh me nahi aaya. Lekin jab maine use mujh par gussa karne ke bad darwaje ki taraf dekhte dekha to, mere dil me vaani didi ka khayal aaya.

Mujhe laga ki, kahi vaani didi to mere pichhe nahi khadi hai. Ye baat dimag me aate hi, mera dil dhakk se ho gaya aur maine apni is baat ki tasalli karne ke liye fauran apne pichhe palat kar dekha.

Lekin pichhe palat kar dekhte hi, mere hosh udh gaye. Vaani didi sham ko jaise darwaje se tik kar ami ki baat sun rahi thi. Bilkul waise hi abhi bhi darwaje se tik kar khadi meri ye baten sunne me lagi huyi thi.

Vaani didi ko apne samne dekhte hi, meri bolti band ho gayi. Ab mujhe keerti ke itni der se ishare karne ka matlab bhi samajh me aa raha tha. Magar maine keerti ke in isharon ko samajhne me bahut der kar di thi.
Reply
09-11-2020, 02:23 PM,
RE: MmsBee कोई तो रोक लो
Ko To Rok Lo {Update - 242}
____________________________

Meri ye baat sunkar, nisha bhabhi to khilkhila kar hasne lagi. Lekin keerti jo abhi tak mujhe ishara karke mujhse kuch kahne ki koshish kar rahi thi. Usne gusse me pahli baar apna muh kholte huye kaha.

Keerti boli “aaj tum bahut buri tarah se pitoge.”

Keerti ka is tarah se mujh par gussa karne ka matlab mujhe samajh me nahi aaya. Lekin jab maine use mujh par gussa karne ke bad darwaje ki taraf dekhte dekha to, mere dil me vaani didi ka khayal aaya.

Mujhe laga ki, kahi vaani didi to mere pichhe nahi khadi hai. Ye baat dimag me aate hi, mera dil dhakk se ho gaya aur maine apni is baat ki tasalli karne ke liye fauran apne pichhe palat kar dekha.

Lekin pichhe palat kar dekhte hi, mere hosh udh gaye. Vaani didi sham ko jaise darwaje se tik kar ami ki baat sun rahi thi. Bilkul waise hi abhi bhi darwaje se tik kar khadi meri ye baten sunne me lagi huyi thi.

Vaani didi ko apne samne dekhte hi, meri bolti band ho gayi. Ab mujhe keerti ke itni der se ishare karne ka matlab bhi samajh me aa raha tha. Magar maine keerti ke in isharon ko samajhne me bahut der kar di thi.

Is baat ko sabhi achi tarah se jante the ki, vaani didi ko hansi majak bilkul bhi pasand nahi hai aur yadi koi chhota kisi bade ka majak udaye to, ye baat unhe jara bhi sahan nahi hoti thi.

Shayad vaani didi ke mere pichhe khade hone ki vajah se hi keerti mujhe isharon me aisa karne se rokne ki koshish kar rahi thi. Lekin mai bevkuf uske in isharon ko uski shararat samajhne ki bhool kar baitha tha.

Ab mujhe apni is bhool ka inam bhi milta hua najar aa raha tha. Vaani didi darwaje se tiki mujhe hi gusse me ghoor rahi thi. Unhe gusse me dekh kar meri to halat hi kharab ho gayi.

Vaani didi jab se yaha aayi thi. Tab se mai kisi na kisi ki vajah se unse maar khane se bachta aa raha tha. Lekin ab mujhe lag raha tha ki, aaj mujhe vaani didi se pitne se koi nahi bacha sakta hai.

Magar marta, kya na karta. Maine vaani didi ke gusse se bachne ki garaj se hasrat bhari najar se keerti ki taraf dekha ki, shayad wo hi apni kasam dekar vaani didi ko yaha se chalta kar de.

Meri ye koshish rang layi. Keerti meri halat aur vaani didi ke gusse ko samajh gayi thi. Usne fauran hi mauke ki najakat ko dekhte huye, vaani didi ka dhyan meri taraf se hatane ki garaj se kaha.

Keerti boli “didi, wo aapko….”

Lekin vaani didi ne keerti ko apni ye baat bhi puri nahi karne di aur use aade hathon lete huye kaha.

Vaani didi boli “tu chup karke baith, tujhse to mai bad me niptugi. Pahle mai jara is se kuch baat kar lu.”

Ye kahte huye vaani didi meri taraf badi chali aayi. Mai samajh gaya ki ab kya hone wala hai. Maine bhi vaani didi se maar khane ke liye apni peeth pakki kar li aur vaani didi ke agle sawal ka intejar karne laga.

Ye humari vaani didi ki bahut achi aadat thi. Wo dusro ki piatyi karte samay pahle unhe peetti thi, uske bad hi unse koi sawal karti thi. Lekin vaani didi hum logon ko bahut jyada pyar karti thi.

Isliye wo humse pahle sawal karti thi aur fir apne sawal ka jabab milne par hume dil khol kar apne hathon se inam diya karti thi. Aisa hi kuch abhi bhi mere sath hone wala tha.

Keerti to mujhe bachane me puri tarah se nakamayab rahi. Aise me mujhe mehul ki bahut jyada yaad satane lagi. Yadi mehul hota to, is samay mujhe hone wale aadhe dard ko usne bhi baant liya hota.

Mai abhi apne upar bitne wale pal ke baare me sochne me laga hua tha ki, tabhi vaani didi ne bilkul mere samne aate huye kaha.

Vaani didi boli “kya bol raha tha tu. Tu yadi bada hota to, mujhe kya sabak sikhata.”

Ab mai vaani didi ki is baat ka jabab kaise deta. Mai yadi unse kahta ki, ye baat mai sirf majak me kah raha tha. Tab bhi vaani didi ko mujhe unka majak udane ke upar se peetna hi tha.

Isliye maine is baat me khamosh rahna hi thik samjha. Mujhe apne sawal ka koi jabab dete na dekh kar vaani didi ne fir se apne sawal ko dohrate huye kaha.

Vaani didi boli “mai puchh rahi hu ki, tu mujhse bada hota to, mujhe kya sabak sikhata. Ab jabab kyo nahi de raha hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, mere dil me aaya ki, mai unse kah du ki, mera bap to aapse kitna bada hai. Usne bada hokar aaj tak aisa kaun sa teer maar diya hai, jo mai aapko sabak dikhane ki koi baat bhi soch saku.

Lekin ye sirf sochne ki baat thi. Hakikat me to mai sirf vaani didi ka gussa shant hone ka intejar kar raha tha. Lekin mujhe apni baat ka koi jabab dete na dekh kar, vaani didi ne gusse me kheech kar mere gaal par do teen thappad jama diye.

Kahne ko to sirf ye thappad the. Lekin ye thappad itne jordar the ki, in do teen thappad me hi, mera saara badan tharra gaya tha aur mere kaan me laga hua bluetooth headphone keerti ke pas jakar gira tha.

Bluetooth headphone ko dekhte hi, keerti ko vaani didi ka gussa shant karne ka tarika samajh me aa gaya aur usne fauran hi headphone ko utha kar vaani didi ki taraf badate huye kaha.

Keerti boli “didi, aap iski khabar bad me le lena. Abhi phone par nisha bhabhi hai aur ye unse hi baat kar raha tha. Kam se kam ise unko bye kah kar phone to rakh lene dijiye.”

Lekin keerti ki vaani didi ka meri taraf dhyan hatane ki ye koshish bhi bekar hi gayi. Vaani didi ke tevar jara bhi nahi badle the. Un ne keerti ki baat sunne ke bad us se kaha.

Vaani didi boli “nisha se abhi thodi der wait karne ka bolo. Iski khabar lene ke bad mai khud us se sorry bol dugi.”

Vaani didi ki baat sunne ke bad keerti ne bhi majburi me nisha bhabhi ke samne vaani didi ki kahi baat ko dohra diya. Idhar vaani didi ne fir se mere samne apne usi sawal ko dohra diya.

Lekin aaj mai bhi vaani didi ke samne paidaishi goonga ban kar baitha tha. Kyoki mai vaani didi ki aadat ko bahut ache se janta tha. Yadi mai unke is sawal ka jabab de bhi deta, tab bhi unke sawal khatam nahi hona the.

Unko jabab dete dete mere saare jabab khatam ho jana the. Magar unke sawalon ka koi ant nahi hona tha. Wo mere uncle ke sath mumbai jaane se lekar salim ke sath jhagda karne tak ki baat par sawal karna suru kar sakti thi.

Yadi ye baten ek baar fir se khul jati to, in baton ki saza abhi hone wali pitayi se bhi kahi jyada bhayanak honi thi. Kyoki vaani didi in baton ko lekar pahle se hi mujhse khaar khayi huyi thi.

Isliye is samay mujhe vaani didi ke samne apni juban nahi kholne me hi apni bhalayi najar aa rahi thi. Lekin mere koi jabab na dene se vaani didi ka gussa bhi bad raha tha.

Un ne jab dekha ki, mai unke kisi sawal ka koi jabab nahi de raha hu to, un ne gusse me aakar mere baal pakde aur meri peeth par dhamadham mukko ki barsat karna suru kar diya.

Idhar jis samay vaani didi meri peeth par dhamadham mukko ki barsat karne me lagi thi. Thik usi samay sidiyon par se ami nimi aur neha upar chadti huyi chali aa rahi thi.

Vaani didi ko mujhe peette dekh kar neha aur nimi ke kadam to wahi thithak kar rah gaye the. Lekin ami daud laga kar bhagti huyi humare pas aa gayi. Usne fauran vaani didi ko rokte huye kaha.

Ami boli “didi, aap ye kya kar rahi hai. Niche….”

Abhi ami apni baat puri bhi nahi kah payi thi ki, vaani didi ne pichhe palat kar ami ke gaal par ek tamacha jad diya. Ami ki baki ki baat uske muh me hi atak kar rah gayi.

Nimi aur neha bhi sidiyon par se ye najara dekh rahi thi. Nimi ne jaise hi ami ke gaal par tamacha padte dekha, usne apne hath me thami huyi chij neha ko pakdayi aur bijli ki teji se sidiyan chadti huyi apne kamre me bhag gayi.

Lekin neha nimi ki tarah tej nahi thi. Use kuch samajh me nahi aa raha tha ki, ab wo kya kare aur kaha jaye. Kuch pal wo sidiyon par hi khadi sochti rahi. Lekin fir achanak hi usne bhi wapas niche ki daud laga di.

Udhar nimi aur neha pal bhar me hi sidiyon se gayab ho chuki thi aur idhar ami vaani didi ka thappad khane ke bad apne gaal par hath rakhe unke samne khadi huyi thi. Vaani didi ne apna gussa ami par nikalte huye kaha.

Vaani didi boli “bitte bhar ki ladki, mere bich me bolne ki teri himmat kaise huyi. Tum logon ne mujhe samajh kya rakha hai aur ye hitler didi kaun hai.”

Vaani didi ke muh se hitler didi sunte hi ami ko to saanp hi soongh gaya aur uski halat bhi bahut kuch meri jaisi hi ho gayi. Wo fati fati aankhon se vaani didi ko dekh rahi thi.

Lekin ab uske muh se bhi kuch nahi nikal raha tha. Mujhe bachane ke chakkar me wo khud hi vaani didi ke samne fas gayi thi. Vaani didi bahut hi jyada jiddi aur gusse wali thi.

Wo yadi ek baar kisi baat ke pichhe pad jaye to, fir aasani se us baat ka pichha nahi chhodti thi. Ami nimi ka vaani didi ke gusse se kam hi samna hua tha. Lekin vaani didi ka khauf wo log bhi khati thi.

Ami bhale hi, vaani didi ka acha mood hone par ek baar unke samne badtamizi karne ki galti kar chuki thi. Lekin is baat ko wo bhi achi tarah se janti thi ki vaani didi kisi ki badtamizi bardasht nahi karti hai.

Ye vaani didi ka ami ke liye pyar hi tha ki, wo ami ki us samay ki galti ko andekha kar gayi thi. Lekin is baar vaani didi ne ami par jara bhi taras nahi khaya tha aur bich me bolne ke upar se use tamacha jad diya tha.

Vaani didi ka thappad khane ke bad, ami ki aankhon se aansu bahne lage the. Lekin vaani didi ko us chhoti si bachchi ki is halat par jara bhi taras nahi aaya aur un ne uske samne apne sawal ko dohrate huye kaha.

Vaani didi boli “meri baat ka jabab kyo nahi deti. Maine tujhse puchha hai na ki, ye hitler didi kaun hai.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi, ami ne aur bhi jyada jor se rona suru kar diya. Lekin ami ka ye rona bhi uske kaam nahi aaya. Use rote dekh kar vaani didi ne use dhamkate huye kaha.

Vaani didi boli “yadi tujhe nahi batana hai to, tu nimi ko bula kar la. Mai us se hi puchh leti hu ki, ye hitler didi kaun hai.”

Vaani didi ke muh se nimi ka naam sunte hi, mai samajh gaya tha ki, ab ami vaani didi ke samne sab kuch sach sach bak degi. Kyoki wo to khud nimi ki dhal thi. Wo bhala nimi ko vaani didi ke samne kaise fasa sakti thi.

Lekin is baat se abhi ami bhi anjan thi ki, vaani didi ne bhale hi uske upar hath utha diya ho. Magar wo kisi bhi halat me nimi ke upar hath nahi uthayegi. Wo nimi se bahut jyada laad karti hai.

Nimi ka naam vaani didi ne sirf ami ko darane ke liye liya tha. Ye baat ami ki samajh me nahi aayi thi. Isliye usne nimi ko bulane ki baat sunte hi, fauran apna muh kholte huye kaha.

Ami boli “sorry didi, wo hum sirf majak me kahte the.”

Vaani didi boli “maine tumse ye nahi puchha ki, tum ye kaise kahte the. Maine ye puchha ki, tum ye kise kahte ho.”

Vaani didi ki is baat ko sunkar, ami se kuch kahte nahi bana. Lekin jab vaani didi ne dobara us se yahi sawal kiya to, usne sirf itna kaha.

Ami boli “aapko….”

Ami ki baat sunkar, vaani didi ne kuch pal ami ko dekha aur fir us se puchha.

Vaani didi boli “tum logon se kisne kaha ki, mai hitler hu.”

Vaani didi ka ye sawal sunte hi keerti ne dhire se budbudaya.

Keerti boli “ek wicket aur gira.”

Mai keerti ki is baat ka matlab samajh gaya tha. Isliye ab mere kaan bhi ami ke jabab par lage huye the. Vaani didi ka ye sawal sunne ke bad, ami ne dhire se jabab dete huye kaha.

Ami boli “wo mehul bhaiya aapko hitler didi kahte hai.”

Ami ki baat sunne ke bad, vaani didi ne use dhamkate huye kaha.

Vaani didi boli “tumhari juban aaj kal bahut kainchi ki tarah chalne lagi hai. Ab yadi tum mujhe dobara juban chalati najar aayi to, mai maar maar kar tumhari khaal kheech lugi. Ab jao apne kamre.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi, ami ne fauran apne kamre ki taraf daud laga di. Usi samay chhoti maa bhi upar aa gayi thi. Wo vaani didi ko ami ke upar gussa karte dekh chuki thi. Isliye un ne ami ke jate hi vaani didi se kaha.

Chhoti maa boli “vaani tu yaha inke sath apna samay barbad kar rahi hai aur niche aniruddha tera intejar kar raha hai. Teri flight ka samay ho raha hai. Kya tujhe jana nahi hai.”

Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi ka gussa thoda shant hua aur un ne chhoti maa se kaha.

Vaani didi boli “bas mausi, mai ja hi rahi hu. Mai to bas niche aane hi wali thi. Lekin in logon ki harkat dekh kar yaha ruk gayi thi. Aap chaliye, mai apna bag lekar abhi niche aati hu.”

Vaani didi ki baat sunkar chhoti maa niche chali gayi. Vaani didi bhi apne kamre me jaane ko huyi. Lekin unne jaane ke pahle ek najar meri aur keerti ki taraf palat kar dekha.

Tabhi unki najar keerti ke hath me thame bluetooth headphone par padi aur un ne keerti ki taraf apna hath bada diya. Keerti unke is tarah se hath badane ka matlab samajh gayi thi.

Isliye usne vaani didi se bina koi sawal kiye headphone unko pakda diya. Vaani didi ne headphone kaan me lagane ke bad kaha.

Vaani didi boli “hello nisha, kya abhi tum phone par ho.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi, nisha bhabhi ne fauran hi jabab dete huye kaha.

Nisha bhabhi boli “……………” (haan vaani, mai abhi phone par hi hu. Lekin tum un logon par itna jyada gussa kyo kar rahi ho. Punnu bas thoda sa majak hi to kar raha tha.)

Vaani didi boli “majak karna buri baat nahi hai. Lekin apne se bado ka majak udana bahut buri baat hai. Mai inhe isi baat ki saza de rahi thi. Tum jara ek min ruko, mujhe ek jaruri call karna hai.”

Ye kahte huye vaani didi ne apna mobile nikal kar call laga diya. Dusri taraf se call uthte hi, vaani didi ne kaha.

Vaani didi boli “hello niranjan, tum subah kitne baje jogging ke liye jate ho.”

Niranjan bola “……………” (ji, subah 5 baje.)

Vaani didi boli “ok, tum punit aur mehul ko jante ho na.”

Niranjan bola “……………” (ji janta hu.)

Vaani didi boli “kya tumne mehul ka ghar pata hai.”

Niranjan bola “……………” (ji haan, maine mehul ka ghar dekha hai.)

Vaani didi boli “good, acha tum roj kitne kilometer jogging karte ho.”

Niranjan bola “……………” (ji mai roj koi 20 se 30 min jogging karta hu. Mere hisab se 2 se 3 kilometer jogging to ho hi jati hogi.)

Vaani didi boli “good, ab tum mera ek kaam karo. Kal se punit aur mehul ko bhi apne sath subah 5 baje jogging ke liye le jao. In dono ko kam se kam 5 kilometer daudana hai.”

“Mai inhe 20 min me 5 kilometer daudte dekhna chahti hu. Mumbai se wapas aane ke bad mai khud bhi inhe daudte huye dekhugi. Tab tak tum inhe is daud ke liye taiyar karo.”

Niranjan bola “……………” (lekin madam, itne kam samay me 5 kilometer daudne ke liye taiyar hone me to inhe kam se kam ek mahine ka samay bhi lag sakta hai.)

Vaani didi boli “tum inke samay ki parwah mat karo. Inke pas daudne ke liye samay hi samay hai. Lekin tum kal se hi inhe daudana suru kar do. Mai punit ko is baare me bata dugi. Tum mehul ko call karke is baare me bada dena.”

Niranjan bola “……………” (ok madam, mai kal se hi in dono ko daudana suru kar deta hu aur abhi mehul ko bhi call karke is baare me bata deta hu.)

Vaani didi boli “ok, ab mai call rakhti hu.”

Itna kah kar vaani didi ne niranjan ka call rakh diya. Lekin vaani didi ki hum logon ko 5 kilometer daudane ki baat sunkar, meri to halat hi kharab ho gayi thi. Ab pata nahi niranjan ki baat sunne ke bad mehul ka kya haal hone wala tha.

Waise to mehul subah 5:30 baje uth jata tha. Isliye use subah 5 baje uthne wali baat par meri tarah jyada pareshani nahi hona thi. Waise bhi mehul bahut utsahi tha aur har kaam bahut utsah ke sath karta tha.

Mehul ko aisi baton me bahut jyada maja aata tha. Lekin vaani didi ne hume roj 5 kilometer daudane wali baat kahi thi. Aise me mujhe mehul ke bhi is baat se khush hone ki ummid kam hi najar aa rahi thi.
Reply
09-11-2020, 02:23 PM,
RE: MmsBee कोई तो रोक लो
{Update - 243}
____________________________

Vaani didi boli “tum inke samay ki parwah mat karo. Inke pas daudne ke liye samay hi samay hai. Lekin tum kal se hi inhe daudana suru kar do. Mai punit ko is baare me bata dugi. Tum mehul ko call karke is baare me bada dena.”

Niranjan bola “……………” (ok madam, mai kal se hi in dono ko daudana suru kar deta hu aur abhi mehul ko bhi call karke is baare me bata deta hu.)

Vaani didi boli “ok, ab mai call rakhti hu.”

Itna kah kar vaani didi ne niranjan ka call rakh diya. Lekin vaani didi ki hum logon ko 5 kilometer daudane ki baat sunkar, meri to halat hi kharab ho gayi thi. Ab pata nahi niranjan ki baat sunne ke bad mehul ka kya haal hone wala tha.

Waise to mehul subah 5:30 baje uth jata tha. Isliye use subah 5 baje uthne wali baat par meri tarah jyada pareshani nahi hona thi. Waise bhi mehul bahut utsahi tha aur har kaam bahut utsah ke sath karta tha.

Mehul ko aisi baton me bahut jyada maja aata tha. Lekin vaani didi ne hume roj 5 kilometer daudane wali baat kahi thi. Aise me mujhe mehul ke bhi is baat se khush hone ki ummid kam hi najar aa rahi thi.

Mehul ko to abhi ye pata hi nahi tha ki, yaha par kitna kuch ho chuka hai. Lekin meri vajah se apni pol vaani didi ke samne khulne wali baat par uska mere upar bhadakna tay hi tha. Wo kisi ajube se kam nahi tha.

Waise mere ghar me bhi ajubon ki koi kami nahi thi. Mere ghar ka sabse pahla ajuba to mera bap hi tha. Jiski aadat ke baare me sabhi jante hai. Isliye uske baare me mai kuch batane ki jarurat nahi samajhta hu.

Lekin is mamle me meri param pujya mata ji chhoti maa bhi kuch kam nahi thi. Unke pyar aur gusse ki tulna to kisi ke sath bhi nahi ki ja sakti thi. Lekin unke sath bhi ek ajib hi baat judi huyi thi.

Unki sabse ajib baat ye thi ki, unhe nayi car ka bahut shauk tha aur wo har do char mahine me apni car badalti rahti thi. Yadi unki yahi ek aadat rahti to, ise ajib nahi kaha ja sakta tha.

Magar unki is se bhi ajib aadat ye thi ki, wo aksar hi apni car par akeli hi long drive ke liye nikal jaya karti thi. Unhe long drive par apne sath kisi ko bhi le jana pasand nahi tha.

Yaha tak ki, wo mujhe ami nimi aur keerti ko bhi apne sath long drive par le jana pasand nahi karti thi. Yadi dhokhe se hum me se koi unke sath chalne ki baat kah deta to, wo us par bhadak uthti thi.

Suru suru me to hume unki ye aadat bahut buri lagti thi. Lekin bad me humne unki is aadat ke sath samjhauta kar liya aur unhe long drive par jate samay tokna band kar diya.

Lekin vaani didi is mamle me bahut lucky thi. Wo yadi kabhi chhoti maa ke sath long drive par jaane ki baat kahti thi to, chhoti maa unhe kabhi apne sath le jaane se mana nahi karti thi.

Iski vajah shayad ye thi ki, vaani didi ko bhi nayi car ka bahut jyada shauk tha. Wo jab kabhi bhi humare ghar aati thi, sabse pahle chhoti maa ki car par hi apna kabja jamati thi.

Ek tarah se unke humare ghar me rahne tak chhoti maa ki car unki car hi ban jati thi. Lekin vaani didi ki is harkat ko ajib nahi kaha ja sakta tha. Kyoki ek tarah se ye unka haq tha.

Unki is harkat ka kabhi chhoti maa ya hum me se kisi ne bhi virodh nahi kiya tha. Ami nimi bhi is baat ko achi tarah se samajhti thi aur wo bhi vaani didi ki is baat ki kabhi koi burayi nahi karti thi.

Vaani didi aur keerti ke mamle me ami nimi ka dil bahut saaf tha. Wo vaani didi aur keerti ke humare ghar me na rahne par bhi jis kamre me wo aakar thahra karti thi, us kamre ko unka kamra kah kar hi pukara karti thi.

Ami nimi sirf mere mamle me hi vaani didi aur keerti ke kilaf apne virodhi tevar dikhaya karti thi. Aise hi kuch tevar abhi ami priya ko lekar bhi dikhane me lagi huyi thi.

Khair ami ki baat hum bad me karege. Pahle hum vaani didi ki baat kar lete hai. Vaani didi ajib harkaten karne me sabse aage thi. Unka gussa ek baar suru hota tha to, fir itni aasani se khatam hone ka naam nahi leta tha.

Waise to unhe chhoto ka kisi se badtamizi karna jara bhi pasand nahi tha. Lekin wo khud kisi se bhi badtamizi karne me koi kasar baki nahi chhodti thi. Unke liye us samay bade chhote sabhi ek barabar ho jate the.

Hum sab unki peeth pichhe unki is baat ki burayi karte huye najar aate the. Lekin unke samne unki is baat ki burayi karne ki himmat humare ghar ke bado me bhi nahi thi.

Ek tarah se mehul ne unhe hitler didi naam bilkul bhi galat nahi diya tha. Wo puri tanashah hi thi aur har kisi ko apni ungliyon par nachane ki unki aadat thi. Unke samne kisi ki ek nahi chalti thi.

Unke isi dar ki vajah se humne unse uncle ko ilaj ke liye mumbai le jaane ki baat ko bhi chhupa kar rakha tha. Warna unne puna me baithe baithe bhi hum logon par mumbai me lagam lagane me koi kasar nahi chhodi hoti.

Hum log mumbai me chain se rahna chahte the. Isliye humne ye baat vaani didi se chhupa li thi. Lekin tab hum log bhi ye nahi jante the ki, kuch din bad vaani didi khud humare yaha aane wali hai.

Warna humne unse ye baat chhupane ki galti kabhi nahi ki hoti aur khud hi kisi ache bachche ki tarah unhe saari baat bata di hoti. Khair vaani didi ki aisi hajaron buraiyan hai, jine ek sath nahi bataya ja sakta hai.

Isliye ab mai apne ghar ke agle ajube ke baare me baat karta hu. Mere ghar ki agli ajuba meri pyari ammo thi. Wo jitni jyada chhoti thi, utni hi jyada shant aur komal bhi thi.

Use badi se badi baton par bhi kabhi gussa nahi aata tha. Lekin yadi wo kabhi kisi se kisi baat par gussa ho jati thi to, use manana hi namumkin sa ho jata tha. Kyoki wo bhale hi abhi chhoti thi. Lekin dimag ki bahut tej thi.

Uske samne to chacha chaudhri ka dimag bhi pani bharne ke liye chala jata tha. Wo samne wale ke aage itne jyada tark rakh deti thi ki, samne wale ke liye uski baat ko kaatna hi muhshkil ho jata tha.

Wo kabhi kisi se bina soche samjhe naraj nahi hoti thi. Yadi koi kisi se soch samajh kar naraj ho to, use manana fir itna aasan nahi hota hai. Bas aisa hi kuch ami ke sath bhi tha.

Wo apni narajgi ke aage tarkon ki itni majboot diwar khadi kar deti thi ki, jise tod pana har kisi ke bas ki baat nahi hoti thi. Aisa hi kuch aaj usne vaani didi ki naukri chhodne wali baat ko lekar unke sath bhi kiya tha.

Ye alag baat thi ki, vaani didi ne apni li huyi kasam ki aad lekar apni naukri mere aur priya ki vajah se jaane ki baat ko puri tarah se nakar diya tha. Lekin is sachai ko khud vaani didi bhi janti thi ki, ami jhuthi nahi hai.

Yahi vajah thi ki, vaani didi khud bhi ami ke samne is baat ko lekar apni safayi pesh karti najar aayi thi. Us samay to ami ne bina koi sawal jabab kiye vaani didi ki baat maan li thi.

Lekin uske chehre ke haav bhav bata rahe the ki, wo vaani didi ki pesh ki gayi safayi se bilkul bhi sahmat nahi hai aur usne sirf vaani didi ki baat rakhne ke liye hi unki kahi baat ko sach maan liya hai.

Ami ki yahi buri aadat mujhe us se priya ke mamle me darne ko majbur kar rahi thi. Kyoki wo yadi priya ko pasand nahi kar rahi hai to, usne priya ko pasand na karne ki ek nahi, kayi vajah talash karke rakhi hogi.

Isliye vaani didi ke mana kar dene ke bad bhi, maine ami se is baare me baat karne ka faisla kar liya tha. Mai us se baat karke uske man me priya ko lekar jo galatfahmi thi, use khatam kar dena chahta tha.

Mujhe puri ummid thi ki, ami meri baat ko jarur samjhegi. Khair ami me is ek burayi ke siwa koi bhi burayi nahi thi. Isliye ab iske bad mai apne ghar ke agle ajube ki taraf chalta hu.

Mere ghar ki agli ajuba meri pyari nimmo thi. Jo chanchal thi, shararati thi, natkhat thi aur baki ladle bachchon ki tarah jiddi bhi bahut thi. Lekin ye sab to uski khubiyan thi.

Uski sabse buri aadat ye thi ki, wo duniya ki sabse badi jhuthi thi. Maine uske jaisa jhutha koi dusra nahi dekha tha. Wo bina kisi dar ke bilkul safed jhuth bola karti thi.

Ami ko to apna dimag chalane ke liye thoda bahut sochna bhi padta tha. Lekin nimi ko jhuth bolne ke liye bilkul bhi nahi sochna padta tha. Wo bina kuch soche samjhe jhuth bol jati thi.

Nimi itni badi jhuthi thi ki, wo aapke samne hi apne muh me rasgulla rakh kar aap se kah sakti thi ki, maine rasgulla khaya hi nahi hai. Lekin is jhuth ko nimi ka safed jhuth kahna, nimi ke jhuth bolne ke hunar ki tauhin karna hi tha.

Kyoki nimi is se bhi bade bade jhuth bola karti thi. Waise to mere aur ami ke chacha, chachi, bua, fufa, mama, mami koi bhi nahi hai. Lekin nimi ke ye sab hai aur uske liye gift bhi late rahte hai.

Ye hi nahi, bhale hi abhi mere aur ami ke nana, nani jinda na ho, lekin nimi ke to nana nani bhi abhi jinda hai. Aapko ye baat sunkar kuch ajib lagi na. Lekin nimi ke jhuth bolne ke hunar ka sach yahi hai.

Mujhe bhi nimi ka ye jhuth sunkar ek jhatka sa laga tha aur mai khud ko nimi ke is jhuth me fasne se bachane ke liye fauran hi waha se bhag nikla tha. Aapke liye shayad is baat par yakin karna thoda mushkil ho.

Lekin fir bhi sach wahi hai, jo mai aapko bata raha hu. Mere samne bhi nimi ke is jhuth ki pol tab khuli, jab ami nimi ki school ki saheli sakshi aur phalakshi unse milne ke liye humare ghar aayi.

Itefak se us din mai ami ki jid ki vajah se uske aur nimi ke sath unke kamre me khel raha tha. Usi samay ami nimi ki saheli sakshi aur phalakshi bhi ami nimi se milne aa gayi. Ami nimi apni saheliyon se mera parichay karwane lagi.

Sakshi aur phalakshi bhi ami nimi ki tarah hi bahne thi aur dono ami nimi ki school me hi padti thi. Sakshi ami ki saheli thi aur usi ki class me thi. Jabki sakshi ki chhoti bahan phalakshi nimi ki saheli thi aur nimi ki class me thi.

Is tarah ami ke school me ami nimi aur sakshi, phalakshi ek sath ek group bana kar raha karti thi. Ami nimi to bahut baar unke ghar ja chuki thi. Lekin wo log pahli baar humare ghar aayi thi.

Sakshi mujhse mil kar bahut khush huyi aur mere ami nimi ke sath khelne ki baat ki bhi tarif karne lagi. Usne bataya ki, ami nimi bhi hamesha us se meri tarif karti rahti hai.

Sakshi ki ye baat sunkar, mai muskura kar rah gaya aur fir un logon se do char baten karne ke bad mai ami nimi ko jata kar waha se aane laga. Lekin tabhi nimi ki saheli phalakshi ne nimi se kaha.

Phalakshi boli “nimi, tu apne mama ki di huyi bilayti doll ki bahut tarif karti hai na. Mujhe bhi apni wo doll dikha na.”

Phalakshi ki is baat ne mere bahar ki taraf badte huye kadmo ko rok diya aur mai wahi khade hokar phalakshi ki baat sunne laga. Nimi ki apni doll ki tarif karne wali baat mere liye koi nayi nahi thi.

Kyoki nimi ko doll bahut pasand thi aur wo sabhi se apni har doll ki tarif kiya karti thi. Lekin phalakshi ki mama ki doll wali baat sunkar mujhe jarur kuch ajib laga tha aur mai isi ka raz janne ke liye waha ruk gaya.

Phalakshi ki is baat ko sunkar, sakshi bhi nimi se uski doll dekhne ki jid karne lagi. Phalakhsi aur sakshi ki ye baat sunkar, nimi to bahut khush huyi. Lekin ami kha jaane wali najron se nimi ko dekhne lagi.

Ami ko gusse me dekh kar, nimi ki ami se kuch bhi kahne ki himmat nahi huyi. Lekin usne sakshi ko uski baat ka jabab dete huye kaha.

Nimi boli “haan didi, mai aapko phallo ko apni doll jarur dikhaugi. Ye hi nahi, mai aap logon ko apne baki ke bhi saare gift dikhaugi.”

Ye kahte huye nimi sakshi ka hath pakad kar use apni almari ke pas le gayi. Unke sath sath phalakshi bhi unke pichhe pichhe chali gayi. Unke humare pas se jaane ke bad, maine dhire se ami se puchha.

Mai bola “ye humare mama kaha se aa gaye.”

Meri baat sunkar, ami ne gusse me bhanbhanate huye kaha.

Ami boli “bhaiya, is jhuthi ne school me apni saheliyon se jhuth bolne ke sath sath meri saheliyon se bhi bahut jhuth bole hai. Aap thodi der humare pas rukiye. Abhi iske aur bhi jhuth ki pol aapke samne khul jayegi.”

Ami ki baat sunkar, mai wahi ruk gaya. Thodi der me nimi apni almari se dher saare gift nikal kar bed par aakar baith gayi. Uske sath hi sakshi aur phalakshi bhi baith gayi.

Ami bhi bhanbhanayi si unke pas hi baith gayi. Wo charo bed par baithi huyi thi aur meri taraf unki peeth thi. Mai unki baton me dhyan lagaye huye tha. Nimi ne sabse pahle ek doll sakshi ko dikhate huye kaha.

Nimi boli “didi, ye hai meri bilayti doll. Ye mere mama Singapore se laye the.”

Nimi ka itna bada jhuth sunkar, mai fati fati aankhon se nimi ko dekhne laga. Nimi ki wo doll sach me bahut sundar thi. Wo doll lakdi ki bani huyi thi aur bilkul kisi chini ladki ki tarah dikhti thi.

Lekin wo doll nimi ke liye uske mama Singapore se laye the, ye baat bilkul safed jhuth thi. Is baat me sabse bada jhuth ye tha ki, humare to koi mama hi nahi the aur dusra jhuth ye tha ki, wo doll mehul nimi ke liye laya tha.

Yadi is baat me kisi tarah ki sachai thi to, sirf ye sachai thi ki, wo ek sundar si doll thi aur mehul ko wo bahut pasand aayi thi. Isliye wo apne mama ke gaon se use nimi ke liye laya tha.

Lekin nimi ne to mehul ke mama ko hi apna mama aur unke gaon ko Singapore bana daala tha. Mujhe lag raha tha ki, sakshi aur phalakshi nimi ke bilayti doll wale jhuth ko fauran hi pakad legi.

Magar aisa kuch bhi nahi hua. Sakshi aur phalakshi ne us doll ko dekha to, dekhti rah gayi aur dil khol kar nimi ki bilayti doll ki tarif karne lagi. Apni doll ki tariff sunkar nimi fuli nahi sama rahi thi.

Mai nimi ke is jhuth ko dekhne ke bad, abhi apni hairani se bahar bhi nahi nikal paya tha ki, tabhi nimi ne sakshi ko ek frock dikhate huye kaha.

Nimi boli “didi, ye hi wo frock hai, jo mere chacha chachi mere liye japan se laye the.”

Nimi ka ye jhuth sunkar to mai dang hi rah gaya. Kyoki mai uski is frock ki sachai bhi janta tha. Use ye frock richa aunty ne ye kah kar di thi ki, wo is frock me bilkul japani gudiya ki tarah dikhegi.

Lekin nimi ne to richa aunty ko apni chachi bana liya tha aur unki di huyi frock ko hi japani bata diya tha. Iske bad nimi sakshi aur phalakshi ko vaani didi ke diye gift dikhate huye kaha ki, wo uski bua ji America se layi thi.

Jo sarasar jhuth tha. Wo sab gift vaani didi puna se lekar aayi thi. Haan nimi ke un sab gift me ek digital watch jarur thi, jo abhi jiju ne America se bheji thi. Lekin abhi tak nimi ne wo watch sakshi phalakshi ko nahi dikhayi thi.

Abhi tak nimi ne sakshi aur phalakshi ko ek bhi videshi gift nahi dikhaya tha. Lekin usne apne dikhaye sabhi gift ko videshi gift batate huye, humare mama, mami, chacha, chachi, bua ke na hote huye bhi unko lakar khada kar diya tha.

Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, jab nimi ke asli videshi gift dikhane ki baari aayegi to, wo kis ko lakar khadi karegi. Abhi mai is baare me soch hi raha tha ki, tabhi nimi ne wo digital watch sakshi ko dikhate huye kaha.

Nimi boli “didi, ye hai meri wo watch, jo mere nana, nani ne mere liye London se bheji hai.”

Nimi ki ye baat sunte hi, mere kaano se dhuan nikal gaya. Mai nimi ke mama, mami, chacha, chachi aur bua wale jhuth ko to hajam kar gaya tha. Lekin nimi ka nana nani wala jhuth hajam kar pana mere bas ki baat nahi thi.

Nimi ke ye jhuth sunkar mujhe lagne laga tha ki, ab yadi ek pal bhi mai yaha ruka to, mujhe khud hi nimi ke jhuth ki pol kholna pad jayegi ya fir mujhe bhi sakshi phalakshi ke samne nimi ke is jhuth me shamil hona pad jayega.

Mujhe us samay waha se bhag lene me hi apni bhalayi najar aayi aur mai ek pal ki bhi der kiye bina dabe panv waha se bhag nikla. Nimi ne to jhuth bolne ki sabhi hade paar kar li thi.

Log to jhuth ki sirf nadiyan baha sakte the. Lekin nimi to jhuth ke samundar par samundar khali karne par tuli huyi thi. Jinme dubne se bach pana, hum me se kisi ke liye bhi mumkin nahi tha.
Reply
09-11-2020, 02:23 PM,
RE: MmsBee कोई तो रोक लो
{Update - 244}
____________________________

Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, jab nimi ke asli videshi gift dikhane ki baari aayegi to, wo kis ko lakar khadi karegi. Abhi mai is baare me soch hi raha tha ki, tabhi nimi ne wo digital watch sakshi ko dikhate huye kaha.

Nimi boli “didi, ye hai meri wo watch, jo mere nana, nani ne mere liye London se bheji hai.”

Nimi ki ye baat sunte hi, mere kaano se dhuan nikal gaya. Mai nimi ke mama, mami, chacha, chachi aur bua wale jhuth ko to hajam kar gaya tha. Lekin nimi ka nana nani wala jhuth hajam kar pana mere bas ki baat nahi thi.

Nimi ke ye jhuth sunkar mujhe lagne laga tha ki, ab yadi ek pal bhi mai yaha ruka to, mujhe khud hi nimi ke jhuth ki pol kholna pad jayegi ya fir mujhe bhi sakshi phalakshi ke samne nimi ke is jhuth me shamil hona pad jayega.

Mujhe us samay waha se bhag lene me hi apni bhalayi najar aayi aur mai ek pal ki bhi der kiye bina dabe panv waha se bhag nikla. Nimi ne to jhuth bolne ki sabhi hade paar kar li thi.

Log to jhuth ki sirf nadiyan baha sakte the. Lekin nimi to jhuth ke samundar par samundar khali karne par tuli huyi thi. Jinme dubne se bach pana, hum me se kisi ke liye bhi mumkin nahi tha.

Yadi nimi ki baton me kisi sach ki kadi ko joda bhi jaye to, hum mehul ke mama, mami ko apne mama, mami maan sakte the. Rajesh uncle aur richa aunty ko bhi chacha, chichi maan sakte the.

Isi tarah keerti ki bua yane ki vaani didi ki mummy ko bhi apni bua maan sakte the. Lekin nimi ne to jhuth bolne ki sabhi hade paar karte huye, humare nana, nani ko bhi jinda karke London me khada kar diya tha.

Mai bahut der tak nimi ki is harkat ke baare me hi sochta raha. Sakshi aur phalakshi ke chale jaane ke bad ami nimi mere kamre me aa gayi. Mere kamre me aate hi, ami ne nimi ki shikayat karte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, aaj aapne is jhuthi ki harkat dekhi na. Jis din iske jhuth ki pol unke samne khulegi, us din mai bhi un logon ke samne jhuthi ban jaugi.”

Ami ki baat sunkar maine nimi par gussa karte huye kaha.

Mai bola “chhoti, ye sab kya harkat thi. Ye tere mama, mami, chacha, chachi, bua aur nana, nani kaha se paida ho gaye. Tune un logon se itna jyada jhuth kyo bola.”

Is mamle me nimi bilkul keerti ki hi chhoti bahan thi. Keerti ki tarah wo bhi kabhi kisi baat me apni galti manti nahi thi. Usne fauran hi apni is galti ka saara iljam sakshi aur phalakshi ke upar hi dalte huye kaha.

Nimi boli “bhaiya, mai nahi, wo log jhuthi hai. Wo log mujhse sab jhuth jhuth kahti thi. Isliye maine bhi unse sab jhuth jhuth kah diya.”

Nimi ki is baat par ami ne bhadakte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, wo log nahi, ye hi sabse badi jhuthi hai. Aap hi is se puchho ki un logon ne is se kya baat jhuth boli.”

Ami ki baat sunkar maine nimi ki taraf dekha to, usne apni baat rakhte huye kaha.

Nimi boli “bhaiya, is jhuth ki suruaat maine nahi, phallo ne ki thi. Wo hi baat baat par mujhse jhuth kahti thi ki, uski mausi uske liye America se bahut saare gift bhejti rahti hai.”

“Wo mujhe apne gift videshi hone ki baat kah kar jalati rahti thi. Isliye maine bhi us se jhuth kah diya tha ki, mere bhi sabhi rishtedar mere liye videsh se dher saare gift late hai.”

Nimi ki ye baat sunkar, ami ne phalakshi ki baat ki tarafdari karte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, ye bekar me hi un logon ki baton ko jhuth manti hai. Jabki sakshi ki mummy ne khud hi unki bahan ke America me hone wali baat hum logon ko batayi thi.”

Mai nimi ki jhuth bolne ki aadat ko bhi ache se janta tha aur is se ami ko hone wali pareshani ko bhi samajh raha tha. Isliye maine nimi ki is harkat par gussa karte huye kaha.

Mai bola “chhoti, tune ye bahut galat kiya hai. Teri vajah se ammo ko bhi un logon ke samne jhutha padna pad raha hai. Tu fauran murga ban ja. Warna aaj ke bad mai aur ammo tujhse bilkul baat nahi karege.”

Meri ye baat sunkar, ami to khush ho gayi. Lekin nimi apni saza sunkar bura sa muh bana kar mujhe dekhne lagi. Maine bhi use ghaur se dekhte huye usko murga banne ka ishara kiya.

Jab nimi ko mere aur ami ke gusse se bachne ka koi rasta samajh me nahi aaya to, wo chupchap jakar murga ban gayi. Nimi ko murga bane dekh kar, ami ne apni pareshani mere samne rakhte huye kaha.

Ami boli “lekin bhaiya, iske murga bas ban jaane se kya hoga. Isne to humare kitne saare rishtedaron ko unke samne lakar khada kar diya hai. Yadi iska ye jhuth khul gaya to, mai unke samne jhuthi pad jaugi.”

Ami ki ye baat sunkar, maine muskurate huye kaha.

Mai bola “aisa kuch nahi hoga. Mai jaisa kah raha hu. Tu waisa hi, un logon se kah dena. Is se iske jhuth ki pol bhi nahi khulegi aur un logon ke samne saara sach bhi aa jayega.”

Meri is baat ko sunkar ami ne khush hote huye puchha.

Ami boli “wo kaise bhaiya.”

Mai bola “rajesh uncle aur richa aunty humare liye chacha, chachi ki tarah hi hai. Aise hi mehul ke mama bhi humare mama hi lage. Vaani didi ki mummy ko to hum bua ji bolte hi hai.”

“Isliye tu nimi ke jhuth par parda dalne ke liye inhi logon ko unke samne apna rishtedar bana kar pesh kar dena aur unko samjha bhi dena ki, ye sab bhale hi humare sage rishtedar nahi hai. Lekin humare liye ye us se bhi bad kar hai.”

Meri baat sunkar ami ko kuch tasalli huyi. Lekin fir usne apni agli pareshani jahir karte huye kaha.

Ami boli “lekin bhaiya, hum iske nana, nani wale jhuth ka kya karege. Waha par to mujhe jhutha padna hi padega. Yadi mai ise dam nahi deti to, isne abhi tak unse humare dada, dadi ke baare me bhi jhuth bol diya hota.”

Mai bola “haan, ye to sach me pareshani wali baat hai. Is chhoti ne sach me tujhe apne jhuth ke jaal me buri tarah se fasa diya hai. Hume is baat ko samne lane ke baare me bhi kuch sochna hoga.”

Mai aur ami abhi nimi ke is jhuth ka tod dudhne me lage huye the ki, tabhi nimi ne humari baat sunne ke bad, murga bane bane hi kaha.

Nimi boli “bhaiya, abhi jiju ke mummy papa to London jate rahte hai na. Hum unhi ko apne nana, nani bata sakte hai.”

Nimi ki ye baat kuch had tak sahi bhi thi. Lekin aisa karna sirf ek jhuth se bachne ke liye dusra jhuth bolna hi hota aur mai ami ko nimi ke is jhuth ke jaal se bahar nikalna chahta tha. Isliye maine nimi ko daant lagate huye kaha.

Mai bola “tu chup kar chhoti. Ye sab tere bole gaye jhuth ki vajah se hi ho raha hai. Khabardar ab yadi aaj ke bad tune un logon se fir koi naya jhuth bolne ki koshish ki to, mujhse bura koi nahi hoga.”

Meri baat sunkar, nimi khamosh ho gayi aur mai fir se ami ki is pareshani ka hal dudne laga. Mai kisi aise ke baare me sochne laga. Jo humara nana nani lagta ho. Tabhi mujhe juhi didi ki nani ki yaad aa gayi.

Juhi didi ki nani ko hum log bhi nani hi kahte the. Ye baat yaad aate hi, maine khush hote huye ami se kaha.

Mai bola “teri is pareshani ka hal bhi mujhe mil gaya. Hum juhi didi ki nani ko nani hi kahte hai. Tu bas yahi baat un logon ke samne bhi rakh dena ki, nimi ne jin nani ki baat ki thi, wo humari sagi nani nahi hai.”

“Aisa karne se nimi ke bole gaye har jhuth par parda bhi pad jayega aur tera in jhuth se hamesha ke liye pichha bhi chhut jayega. Lekin ab tu bhool se kabhi iske kisi jhuth me iska sath mat dena.”

“Ab yadi ye dabara kabhi tujhe un logon se koi naya jhuth bolti najar aaye to, tu khud hi iski saari pol unke samne khol kar rakh dena aur iske jhuth bolne ki baat mujhe bhi batana. Mai ise aur bhi sakht saza duga.”

“Warna jaise aaj mujhe iske jhuth ki vajah se un logon ke pas se muh chhupa kar bhagna pada tha. Waise hi tujhe bhi iske jhuth ki vajah se un logon se muh chhupana pad sakta hai.”

Ami ko meri ye baat sahi lagi aur usne meri haan me haan milate huye kaha.

Ami boli “bhaiya, mai to iske jhuth me pahle se hi sath nahi thi. Mujhe to iske is jhuth ka pata sakshi se chala tha. Mai bas iski pol khulne ke dar se unke samne chup rah gayi thi.”

“Lekin is jhuthi ke un jhuth ki vajah se mai bahut dino se pareshan thi. Aaj badi mushkil me mujhe iske un jhuth se bahar nikalne ka rasta mila hai. Ab yadi isne dobara unse koi jhuth bola to, mai sach me iski pol khol kar rakh dugi.”

Ami ko is tarah se gussa karte dekh kar, nimi ne murga banna chhod kar, apne kapde jhadte huye, humare pas aakar kaha.

Nimi boli “didi, aap fikar mat karo. Aaj ke bad mai kisi se koi jhuth nahi bolugi.”

Lekin nimi ki is baat par mere sath sath ami ko bhi viswas nahi hua. Ami ne fauran hi uski shikayat karte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, ye dekhiye. Ye apni saza adhuri chhod kar humare pas aa gayi hai. Ise fir se murga banne ko khaiye.”

Lekin nimi ko jyada saza dene ka mera dil gavara nahi kar raha tha. Isliye maine ami ko samjhate huye kaha.

Mai bola “ab jaane de, iske liye abhi itni hi saza bahut hai. Lekin fir yadi isne aisi koi harkat ki to, hum ise bilkul nahi chhodege.”

Us din nimi ko jhuth bolne ki vajah se saza milne ka jo silsila suru hua tha. Wo abhi bhi ba-dastur waise hi jaari tha. Magar us ladki ki jhuth bolne ki aadat abhi bhi nahi gayi thi.

Khair nimi humare ghar ki nanhi pari hai aur uske kaarname itne majedar hai ki, unhe kitna bhi batate jao, man hi nahi bharega. Isliye mai apne ghar ke agle ajube yaane ki khud ki taraf rukh karta hu.

Lekin yaha mere akele ka jikar kiya jana thik nahi hoga. Priya meri judwa bahan hai. Isliye yaha mai hum dono ki hi ek aadat ka jikar karna chahta hu. Jo bahut ajib hai aur ek dusre ke bilkul viprit hai.

Ye aadat hasna aur rona hai. Jaha ek taraf priya bade se bade dard me bhi hamesha muskurati rahti hai. Wahi dusri taraf meri aankhon me chhoti se chhoti baat par bhi aansu aa jate hai.

Wo bade se bade dard ko bhi hanste huye sah jati hai aur mai chhote se chhota dard bhi sah nahi pata tha. Humari is aadat ko dekh kar aisa lagta hai ki, jaise humne apni maa ki kokh me hi apne aansu aur muskan ka batwara kar liya tha.

Isliye priya ke chehre se kabhi bhi muskan nahi jati thi aur meri aankhon me kabhi bhi aansu aa jate the. Hum bhale hi judwa bhai bahan the. Lekin humari ye aadat ek dusre ke bilkul hi viprit aur bahut jyada ajib thi.

Humare bich me aisi aur bhi bahut si aadte thi, jo ek dusre se viprit thi. Lekin filhal maine humari sabse ajib aadat ka jikar kar diya hai. Ab humare ghar ke ajubon ka jikar ho aur keerti ka naam na aaye. Aisa ho hi nahi sakta.

Waise to keerti me sabhi achi aadten thi. Lekin uski sabse ajib aadat ye thi ki, wo bahut jyada jiddi thi. Jiddi to nimi aur vaani didi bhi bahut thi. Lekin keerti ke jid karne ka tarika in dono se bahut alag tha.

Keerti kisi baat ki jid jarur karti thi. Lekin wo apni jid ko pura karwane ke liye hath dhokar kisi ke pichhe nahi padti thi. Balki wo samne wale ko apni jid ko pura karne ke liye bharpur samay deti thi.

Magar badte samay ke sath uski jid ka dayra bhi badta jata tha. Maan lo ki usne coffee peene ki jid ki hai. Lekin yadi aap samay rahte uski is jid ko pura nahi kar rahe ho to, fir uski is jid ka dayra dhire dhire badne lagega.

Matlab ki samay badne ke sath uski coffee ki jid me sandwich, burger, pizza, noodles, masala dosa jaisi chijen bhi shamil hoti jayegi. Lekin iske bad bhi aapka coffee se pichha nahi chhutega.

Keerti ki jid puri huye bina na to kabhi khatam hoti hai aur na hi uska dayra badna rukta hai. Keerti ki isi aadat ki vajah se humare yaha sabhi samay rahte hi keerti ki jid ko pura diya karte the.

Mai vaani didi ko niranjan se humare baare me baat karte dekh kar apne ghar ke namuno ke baare me sochne me khoya hua tha ki, vaani didi ke niranjan ka call rakhte hi, keerti ne usne kaha.

Keerti boli “didi, aapne ami ke upar hath utha kar jara bhi acha nahi kiya hai.”

Keerti ki ye baat sunkar, vaani didi ne keerti ko gusse me ghoor kar dekha. Unka gussa abhi bhi shant nahi hua tha. Isliye un ne keerti ki is baat ko sunne ke bad, use hi aade hathon lete huye kaha.

Vaani didi boli “kyo, kya tujhe ami se hamdardi ho rahi hai. Lekin mere samne inki kisi badtamizi par inki hiteshi banne ki jara bhi koshish mat karna. Warna jo haal abhi inka hua hai. Wo hi haal tera bhi hoga.”

Magar keerti bhi kam jiddi nahi thi. Vaani didi ke is tarah se dhamakane ka bhi uske upar koi asar nahi pada aur usne apni baat ko fir se dohrate huye kaha.

Keerti boli “didi aap kuch bhi kahiye. Lekin aapne ami par hath utha kar jara bhi acha nahi kiya hai. Wo abhi bachchi hi hai.”

Keerti ki ye baat sunkar vaani didi ki paara chad gaya aur unhe keerti par kuch jyada hi gussa aa gaya. Un ne keerti par bhadakte huye kaha.

Vaani didi boli “ami bachchi hai na. Lekin tu to bachchi nahi hai. Mai tujhe to maar sakti hu.”

Ye kahte huye vaani didi ne chatakkk se apne ulte hath ka ek tamacha keerti ke gaal par bhi jama diya. Keerti awak si vaani didi ko dekhti rah gayi. Keerti ko thappad padte huye dekh kar mai bhi kuch kam hairan nahi tha.

Kyoki keerti chahe kitni bhi badi galti kyo na kar le. Lekin vaani didi kabhi us par hath nahi uthati thi. Ye hi aadat unki ami nimi ke liye bhi thi. Lekin aaj wo apni har aadat ko chhodne ke mood me najar aa rahi thi.

Vaani didi ke ami ke bad ab keerti ko bhi thappad jama dene wali baat ye batane ke liye kafi thi ki, vaani didi aaj apne aape me nahi hai aur unka ye gussa itni aasani se shant hone wala nahi hai.
Reply
09-11-2020, 02:24 PM,
RE: MmsBee कोई तो रोक लो
{Update - 245}
____________________________

Magar keerti bhi kam jiddi nahi thi. Vaani didi ke is tarah se dhamakane ka bhi uske upar koi asar nahi pada aur usne apni baat ko fir se dohrate huye kaha.

Keerti boli “didi aap kuch bhi kahiye. Lekin aapne ami par hath utha kar jara bhi acha nahi kiya hai. Wo abhi bachchi hi hai.”

Keerti ki ye baat sunkar vaani didi ki paara chad gaya aur unhe keerti par kuch jyada hi gussa aa gaya. Un ne keerti par bhadakte huye kaha.

Vaani didi boli “ami bachchi hai na. Lekin tu to bachchi nahi hai. Mai tujhe to maar sakti hu.”

Ye kahte huye vaani didi ne chatakkk se apne ulte hath ka ek tamacha keerti ke gaal par bhi jama diya. Keerti awak si vaani didi ko dekhti rah gayi. Keerti ko thappad padte huye dekh kar mai bhi kuch kam hairan nahi tha.

Kyoki keerti chahe kitni bhi badi galti kyo na kar le. Lekin vaani didi kabhi us par hath nahi uthati thi. Ye hi aadat unki ami nimi ke liye bhi thi. Lekin aaj wo apni har aadat ko chhodne ke mood me najar aa rahi thi.

Vaani didi ke ami ke bad ab keerti ko bhi thappad jama dene wali baat ye batane ke liye kafi thi ki, vaani didi aaj apne aape me nahi hai aur unka ye gussa itni aasani se shant hone wala nahi hai.

Vaani didi ke keerti ke gaal par thappad marte hi, keerti ki aankhon se aansu bahne lage. Thik usi samay neha bhi mere kamre ma aayi thi. Shayad wo vaani didi se hi kuch kahne aayi thi.

Lekin vaani didi ko keerti ko thappad marte dekh kar wo apna kaam hi bhool gayi. Idhar vaani didi ne keerti ko thappad marne ke bad neha ko darwaje par khade dekha to, us se puchha.

Vaani didi boli “haan bolo, kya tumhe mujhse ya inme se kisi se kuch kaam hai.”

Vaani didi ki baat sunkar, neha ne hadbadate huye kaha.

Neha boli “nahi didi, mujhe kisi se koi kaam nahi hai. Wo niche aniruddha sir baithe hai. Un ne puchha hai ki, yadi aapko abhi ghar se nikalne me jyada der lagna ho to, wo aapke liye kisi dusri flight ka intejam kar dete hai.”

Apni itni baat kah kar neha chup ho gayi aur vaani didi ke jabab dene ka intejar karne lagi. Lekin aaj shayad vaani didi kisi ko bhi bakhshne ke mood me nahi thi. Neha bhi vaani didi ke is mood se bachi na rah saki.

Vaani didi ne neha ki itni badi aur jaruri baat par jara bhi dhyan nahi diya. Un ne neha ki puri ki puri baat ko ansuna kar diya aur uski itni badi baat me se sirf ek shabd ko pakadte huye us se puchha.

Vaani didi boli “aniruddha tera sir kaise ho gaya. Kya tu uske sath job karti hai. Kya wo tera boss hai.”

Vaani didi ka ye sawal sunkar, ek pal ke liye to neha sakpaka kar rah gayi. Lekin fir usne khud ko sambhalte huye, vaani didi ki is baat ka jabab dete huye kaha.

Neha boli “didi, wo mujhse bade hai. Isliye unko samman dene ke liye maine unke naam ke sath sir lagaya tha.”

Lekin vaani didi to aaj jaise sabse khar khaye huye baithi thi. Wo bhala neha ke is jabab se kaise khush hoti. Un ne neha ke is jabab ko sire se kharij karte huye kaha.

Vaani didi boli “tumhe use samman dena hi tha to, tum use bhaiya ya fir wo tumhe umar me jyada bada lagta hai to, tum use uncle bhi bol sakti thi. Lekin mere junior ko sir bol kar tum mere rutbe ki achi band baja rahi ho.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, neha ki bolti band ho gayi aur wo bebas si vaani didi ko dekhne lagi. Wahi keerti vaani didi se thappad khane ke bad abhi tak apni aankhon me aansu bhare baithi thi.

Lekin usne jaise hi vaani didi ko neha ki khichai karte dekha to, usne apne aansu ponchhe aur vaani didi ko taana marte huye kaha.

Keerti boli “didi, us bechari ko kyo daant rahi ho. Wo humare ghar me mehman hai. Usne aapka kya bigada hai. Galti hum logon ki hai to, hum logon ko saza dijiye. Lekin neha ko apne gusse se bakhsh dijiye.”

Keerti ko is tarah vaani didi par iljam lagate dekh kar, mera man apna sar peetne ka karne laga. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, aaj ye ladki karna kya chahti hai. Isliye mai hairani se keerti ki taarf dekhne laga.

Aaj mere ghar me ye ulti ganga hi bah rahi thi. Pahle to vaani didi ne ami aur keerti ko tamacha jad diya tha. Ab uske bad keerti ami aur neha ko lekar vaani didi se bahas karne par utaru thi.

Jabki aamtaur par keerti kabhi aisa karti najar nahi aati thi. Wo vaani didi ki muh lagi jarur thi. Lekin wo na to kabhi vaani didi se bahas karti thi aur na hi kabhi kisi baat me vaani didi ki burayi karti thi.

Wo vaani didi ki tarif karte thakti nahi thi. Uski is aadat ki vajah se hum sab use vaani didi ki chamchi kah kar bulate the. Yaha tak ki kabhi kabhi chhoti maa aur anu mausi bhi keerti ko ye taana dene se nahi chukti thi.

Lekin keerti ko in sab baton se koi farak nahi padta tha. Wo humari in baton ko sunkar bhi ansuna kar deti thi. Wo vaani didi ki muh lagi hone ke sath saath meri tarah unki har aadat ko achi tarah se samajhti bhi thi.

Wo is baat ko bhi ache se janti thi ki, vaani didi ko kisi ka unse bahas karna ya kisi ki tarafdari karna jara bhi pasand nahi hai. Wo unse bahas karne wale ko bahut hi sakht saza deti thi.

Iske alawa yadi koi unke samne kisi ki tarafdari karta tha to, fir unki najar me saza ke haqdar tarafdari karne wala aur jiski tarafdari ki gayi hai, wo dono hi ban jate the.

Ye baat jante huye bhi pahle keerti ne ami ko lekar vaani didi se bahas karne ki galti ki thi. Jiski vajah se use tamacha bhi khana pada tha aur ab wo vaani didi ke samne neha ki tarafdari karne ki bhi galti kar rahi thi.

Jiska matlab saaf tha ki, wo ek baar fir vaani didi ke gusse ka shikar banne wali hai. Lekin is baar wo apne sath sath neha ko bhi le dubne wali thi. Mera ye sochna kuch had tak sahi bhi nikla.

Kuch had tak isliye kyoki keerti ki ye baat sunte hi, vaani didi aag barsane wali najron se keerti ko ghurne lagi. Lekin ab shayad unka mood keerti ke upar aur gussa utarne ka nahi tha.

Isliye un ne keerti ko kuch bolne ki jagah, keerti aur neha ka saara ka saara gussa unki jagah mere upar utarna suru kar diya. Vaani didi ke achanak kiye is hamle se mai hadbada kar rah gaya.

Un ne achanak hi mere baal pakade aur mere sar ko jhuka kar badi bedardi se meri peeth par dhamadham mukkon ki barsat kar di. Mujhe to samajh me hi nahi aa raha tha ki, ab maine kiya kya hai.

Vaani didi gusse me ghoor kar to keerti ko dekh rahi thi. Lekin uska saara gussa mere upar utari ja rahi thi. Ek tarah se wo aisa karke keerti ko uski ki gayi galti ke liye chetavani de rahi thi.

Magar unke keerti ko ye chetavani dene ke kaam ke liye unka shikar mai ban gaya tha. Unka chetavani dene ka andaz itna jyada damdar tha ki, ab mere muh se bhi chikh pukar nikalana suru ho gaya tha.

Meri chikh pukar sunkar, keerti ke tevar bhi dhile pad gaye. Ab usne bhi vaani didi ke gusse ke samne apne hathiyar daal diye aur khamoshi se mujhe pitte huye dekhne lagi.

Ab uski bhi vaani didi se kuch kahne ki himmat nahi ho rahi thi. Neha bhi ye sab dekh kar bahut jyada dar gayi thi. Wo itni jyada dari huyi thi ki, yadi koi aur samay hota to, ye sab dekh kar usne rona hi suru kar diya hota.

Lekin yaha to vaani didi ke dar se uski ye halat thi ki, rona to door ki baat thi, wo unke samne apne muh se aawaj taj nahi nikal pa rahi thi. Wo bas bebas si aankhen faade vaani didi ko mujhe peette huye dekh rahi thi.

Meri chikh pukar sunkar bhi vaani didi ko mere upar jaara bhi raham nahi aa raha tha aur wo badi berahami se mujhe peete ja rahi thi. Mujhe to samajh me hi nahi aa raha tha ki, ab mujhe ye kis galti ki saza mil rahi hai.

Mai to kab se vaani didi ke samne bilkul gunga ban kar baitha hua tha aur itni der se maine un se ek bhi shabd nahi kaha tha. Fir bhi keerti baat sunkar un ne mujhe peetna suru kar diya tha.

Vaani didi mujhe man lagakar kootne me lagi huyi thi ki, tabhi meri chikh pukar sunkar, ami ek baar fir se humare pas aa gayi. Usne humare kamre me kadam rakhte hi vaani didi se kaha.

Ami boli “haan didi, aap bhaiya ko aur maariye. Tabhi inki akal kuch thikane aayegi. Aaj inki vajah se hum sabko kitni jyada chinta ho rahi thi.”

Vaani didi ne jaise hi ami ki ye baat suni to, unke hath mujhe peette peette ruk gaye aur wo gusse me hote huye bhi hairani se ami ki taraf dekhne lagi. Shayad unhe samajh me nahi aa raha tha ki, ami aisa kyo kah rahi hai.

Kyoki abhi kuch der pahle ami hi mujhe vaani didi se bachane ke liye aage aayi thi. Ab ek baar fir wo vaani didi ke mujhe peette samay unke samne khadi thi. Lekin is baar uske tevar bilkul hi badle huye najar aa rahe the.

Ami ke in badle huye tevron ne ek pal ke liye vaani didi ko bhi uski baat sochne ke liye majbur kar diya tha. Wahi dusri taraf ami ki is baat ne mujhe aur keerti ko bhi dara kar rakh diya tha.

Kyoki ami ki is harkat se hum sabhi ko samajh me aa raha tha ki, wo vaani didi ke gusse se mujhe bachane ke liye ye natak kar rahi hai. Ami ke tej dimag ka loha to hum sabhi mante the.

Mai kam se kam ami se to aisi koi bachkani harkat karne ki ummid nahi kar sakta tha. Lekin aaj uski ye harkat dekhne ke bad, mujhe uske dimag par bahut jyada taras aa raha tha.

Uski ye harkat uske tej dimag se jara bhi mel nahi khati thi. Uski is harkat ko sirf uski nasamjhi hi kaha ja sakta tha. Kyoki ami nimi ke mere khilaf jaane wali baat par to koi chhota sa bachcha bhi viswas nahi kar sakta tha.

Aise me vaani didi ke ami ke is jhanse me aa jaane ka sawal hi paida nahi hota tha. Kyoki vaani didi to hum sabhi bhai bahno ki rag rag se wakif thi aur unse humare dil ka koi bhi haal nahi chhupa tha.

Iske alawa vaani didi is baat ko bhi achi tarah se janti thi ki, ami cricket ke khel ke alawa kabhi bhi baat me jhuth nahi bolti hai. Ab ami ke cricket khelne ki baat nikal hi aayi hai to, mai is se judi ek baat aur bata deta hu.

Ami nimi ko har tarah ka khel pasand hai. Nimi ka to abhi apne school me pahla hi saal hai. Lekin ami apne school me hone wali har pratiyogita me hissa leti hai aur is saal nimi ke bhi aisa hi kuch karne ki puri ummid hai.

Ami nimi ko cricket khelna bhi bahut jyada pasand hai. Nimi to har khel me pahle se hi beiman hai. Lekin jab cricket ki baat aati hai to ami nimi ko bhi pichhe chhod deti hai.

Ami ka cricket khelne ka andaz bilkul sourav ganguly, rahul dravid aur ricky ponting ki tarah ka hai. Wo sourav ganguly ki tarah lambe chhakke bhi lagti hai aur rahul dravid ki tarah wicket par tiki bhi rahti hai.

Ye hi nahi wo cricket khelti samay ricky ponting ki tarah beimani karne se bhi pichhe nahi hatti hai. Is samay to wo jhuth bolne me nimi ko bhi apne se pichhe chhod deti thi.

Vaani didi ka bhi ami ki is harkat se samna ho chuka tha. Isliye wo ami ki is aadat ko bhi ache se janti thi. Lekin wo ye bhi janti thi ki, baki samay ami ya to sach bolti hai ya fir chup hi rahna pasand karti hai.

Lekin aaj ami ki vaani didi ke samne ki gayi ye harkat, saaf bata rahi thi ki, wo sirf jhuth hi nahi bol rahi hai. Balki cricket ki tarah hi is samay bhi vaani didi ke samne koi chaal chalne ki koshish rahi hai.

Uski ye nadani wali harkat use ek baar fir se vaani didi ke gusse ka shikar bana sakti thi. Isliye maine vaani didi ka dhyan ami ki is harkat par se hatane ke liye apna maun vrat todte huye kaha.

Mai bola “sorry didi, mujhe nisha bhabhi se aisa majak nahi karna chahiye tha. Mai apni is galti ke liye sach me bahut jyada sharminda hu.”

Lekin vaani didi ko apni baton se bahlana itna aasan bhi nahi tha. Unhe kisi ki galti pakadne me ek pal ki bhi der nahi lagti thi. Aisa hi kuch abhi bhi hua. Un ne meri is baat ko sunkar bhi ansuna karte huye kaha.

Vaani didi boli “tumhari baat mai bad me sunugi. Pahle mai is ammo ki baat to sun lu ki, ye kya kahna chahti hai.”

Humare ghar me vaani didi hi ek aisi thi, jo ami nimi ko jyadatar unhi naamo se pukara karti thi, jin naamo se mai ami nimi ko pukarta tha. Lekin is samay vaani didi ko ami ko ammo pukarte dekh kar mujhe thoda tasalli huyi.

Kyoki vaani didi ke ami ko ammo pukarne ka matlab saaf tha ki, wo ami ki baat sunkar us se naraj nahi hai. Jiska ek matlab ye bhi tha ki, vaani didi ka gussa ab shant ho chuka hai.

Ye bhi mere liye kam hairat ki baat nahi thi. Kyoki vaani didi ka gussa bilkul barood ki tarah tha. Jisme ek baar kisi ki galti ki chingari lagte hi, wo tab tak dhamake karta rahta tha, jab tak ki samne wala bilkul past na pad jaye.

Yahi vajah thi ki, vaani didi ko gusse me dekh kar mai bilkul chup ho gaya tha. Lekin keerti ne unse bahas karke unke gusse ko fir se bhadka diya tha. Jiski kimat mujhe fir se pit kar chukana padi thi.

Waise to vaani didi ka gussa itni aasani se shant karwana chhoti maa aur keerti ke alawa kisi ke bhi bas ki baat nahi thi. Chhoti maa unhe daant kar aur keerti apna wasta dekar fauran unka gussa shant karwa deti thi.

Inke alawa maine kabhi kisi ko bhi ye kaarnama karte nahi dekha tha. Lekin aaj keerti bhi vaani didi ka gussa shant kar pane me nakam rahi thi. Aise me ami ki ek baat se vaani didi ka gussa shant hote dekh kar mujhe hairat to hona hi thi.

Lekin abhi meri samajh me ye nahi aa raha tha ki, vaani didi ne ami ki is baat me aisa kya dekh liya tha, jiski vajah se unka itna tej gussa bhi pal bhar me hi shant ho gaya tha.

Jabki ami ke muh se mujhe pitwane ki baat sunkar koi bhi kah sakta tha ki, wo sirf natak kar rahi hai. Lekin vaani didi ne ami ki is baat ko natak na mante huye us se puchha.

Vaani didi boli “ammo tu isko kyo pitwana chahti hai. Tujhe iski kis harkat ki vajah se iski chinta ho rahi thi.”

Ami boli “didi, aaj kal bhaiya bahut ladai jhagda karne lage hai. Pahle ye mumbai me kisi ladke ke sath jhagda karke aaye the aur aaj bhi in ne un ladko ke sath ladai jhagda kiya hai.”

“Nimi to inko aapse pitte dekh kar hi itna jyada dar gayi thi ki, apne kamre me jakar ro rahi thi. Ab aap khud hi sochiye ki aapke yaha se jaane ke bad yadi ye fir kisi se pit kar aaye to, mera aur nimi ka kya haal hoga.”

“Bhaiya ki ye ladai jhagda karne ki aadat chhudane ke liye mai aapse inki aur pitayi karne ko kah rahi hu. Taki aapke jaane ke bad hume aisi kisi baat ka samna na karna pade.”

Ami ki is baat ne vaani didi ke sath sath mujhe bhi uski baat ko sochne ke liye majbur kar diya tha. Ami ki nimi ke baare me kahi gayi baat jara bhi jhuth nahi thi. Waise to nimi ladai jhagda karne me bahut jyada aage thi.

Aaye din uske school se uski dusri ladkiyon ke sath ladai jhagda karne ki shikayten milti hi rahti thi. Lekin mujhe aur ami ko lekar uska dil bahut jyada najuk tha aur wo jara bhi hume pitte huye nahi dekh sakti thi.

Mujhe to wo apne sapne me bhi pitte dekh kar bahut jyada dar jati thi aur dark e maare uska rona rukta hi nahi tha. Vaani didi bhi mere sath hadsa hone ke pahle iska ek namuna apni aankhon se dekh chuki thi.

Wo to nimi ke sapne me darne ki baat ko lekar use doctor ko dikhane bhi le jaane wali thi. Lekin usi din mere sath wo hadsa ho gaya tha. Jis vajas se nimi ko doctor ko dikhana nahi ho paya tha.

Fir uske bad nimi ko doctor ko dikhane ka khayal humare man me aaya hi nahi tha. Shayad meri tarah vaani didi ke dimag se bhi ye baat nikal chuki thi. Lekin ami ke nimi ke darne ki baat kahte hi mujhe ye baat yaad aa gayi thi.

Aisa hi kuch shayad vaani didi ke sath bhi hua tha. Isliye un ne thoda aur naram padte huye ami se puchha.

Vaani didi boli “chal mai ye manti hu ki, tu apne aur nimi ke is dar ki vajah se ise pitwana chahti hai. Lekin abhi kuch der pahle to, tu khud hi ise bachane ke liye aayi thi.”

Vaani didi ki is baat ke jabab me ami ne kaha.

Ami boli “nahi didi, mai kaha bhaiya ko bachane aayi thi. Us samay to mai aapse ye kahna chah rahi thi ki, aap ye kya kar rahi hai. Niche aniruddha uncle aapka intejar kar rahe hai.”

“Mai aapko yahi baat batane ke liye upar aayi thi aur us samay aapse yahi kahna bhi chah rahi thi. Lekin tab aapne gusse me mujhe apni baat puri karne ka mauka hi nahi diya tha.”

Ami ki ye baat sunkar vaani didi kuch sochne lagi. Shayad unhe ami ki is baat par yakin nahi aa raha tha ki, us samay ami mujhe bachane ke liye unke pas nahi aayi thi.

Yakin to mujhe bhi ami ki is baat par nahi aa raha tha. Lekin us samay vaani didi ne gusse me ami ko apni baat puri karne hi nahi di thi. Isliye unke liye bhi ami ki adhuri kahi baat ko jhuthlana itna aasan nahi tha.

Lekin wo vaani didi thi aur itni aasani se kisi ke bhi jhanse me nahi aa sakti thi. Unke pas har baat ki sachchai ka pata lagane ke bahut se raste the. Un ami se is baat ki sachchai ka pata lagane ke liye thoda robdar aawaj me us se puchha.

Vaani didi boli “ammo, tu sach bol rahi hai na.”

Vaani didi ki is baat par ami ne badi hi masumiyat se kaha.

Ami boli “didi, mai bilkul sach bol rahi hu. Aap chahe to, neha didi se meri baat ki sachchai ka pata laga sakti thi.”

Ye ami ne vaani didi ke samne ek no ball fek di thi aur is ball par vaani didi ka six lagana banta hi tha. Kyoki vaani didi ke samne kisi ka naam lo aur wo us se koi sawal jabab na kare. Ye bilkul namumkin si baat thi.

Magar aaj sab kuch ulta hi ho raha tha aur abhi bhi mujhe kuch sidha hone ki ummid kam hi najar aa rahi thi. Isliye ami ki ye baat sunne ke bad mai neha aur vaani didi ki taraf dekhne laga.

Ami ke muh se apna naam sunkar neha bahut dar gayi thi aur uske chehre ki hawaiyan udne lagi thi. Uska chehra dekh kar to aisa lag raha tha. Jaise ki ami ne vaani didi ko upar bulane aane wali baat ke baare me jhuth kaha ho.

Ya fir shayad neha vaani didi ke us se sawal jabab karne ki baat ko lekar itna jyada dar gayi thi. Ab neha ke darne ki asli vajah kya thi, ye to neha aur ami hi behtar tarike se janti thi.
Reply
09-11-2020, 02:24 PM,
RE: MmsBee कोई तो रोक लो
{Update - 246}
____________________________

Vaani didi boli “ammo, tu sach bol rahi hai na.”

Vaani didi ki is baat par ami ne badi hi masumiyat se kaha.

Ami boli “didi, mai bilkul sach bol rahi hu. Aap chahe to, neha didi se meri baat ki sachchai ka pata laga sakti thi.”

Ye ami ne vaani didi ke samne ek no ball fek di thi aur is ball par vaani didi ka six lagana banta hi tha. Kyoki vaani didi ke samne kisi ka naam lo aur wo us se koi sawal jabab na kare. Ye bilkul namumkin si baat thi.

Magar aaj sab kuch ulta hi ho raha tha aur abhi bhi mujhe kuch sidha hone ki ummid kam hi najar aa rahi thi. Isliye ami ki ye baat sunne ke bad mai neha aur vaani didi ki taraf dekhne laga.

Ami ke muh se apna naam sunkar neha bahut dar gayi thi aur uske chehre ki hawaiyan udne lagi thi. Uska chehra dekh kar to aisa lag raha tha. Jaise ki ami ne vaani didi ko upar bulane aane wali baat ke baare me jhuth kaha ho.

Ya fir shayad neha vaani didi ke us se sawal jabab karne ki baat ko lekar itna jyada dar gayi thi. Ab neha ke darne ki asli vajah kya thi, ye to neha aur ami hi behtar tarike se janti thi.

Lekin ami ne apni baat itne viswas ke sath kahi thi ki, uski mujhe bachane na aane wali baat ko to jhuth maana ja sakta tha. Magar uski is baat ko bilkul bhi jhuth nahi maana ja sakta tha ki, wo vaani didi ko hi bulane upar aayi thi.

Ek tarah se meri nanhi bahan un vaani didi ko apne dimag se maat dene ki koshish kar rahi thi, jinke dimag ke samne mai to kya bade bade dimag wale bhi apni haar maan lete the.

Mai janta tha ki, vaani didi ke samne ami ka ye jhuth jyada der tak nahi tik payega. Fir bhi mujhe is baat ki khushi thi ki, wo vaani didi ka gussa shant karne me kamyab huyi thi.

Vaani didi bhi shayad ami ke is sach jhuth ke khel ko samajh gayi thi. Isliye un ne ami ki baat ko sunne ke bad neha ki taraf dekha to, magar us se is baare me koi sawal jabab na karte huye, ami se kaha.

Vaani didi boli “nimi kaha hai. Use bulao jara.”

Ami boli “didi, wo abhi apne kamre me hi hai. Mujhe nahi lagta ki, aapko itne gusse me dekh kar wo aapke samne aayegi.”

Vaani didi boli “tum jakar use mere pas lekar aao. Us se kahna ki ab mai jara bhi gusse me nahi hu.”

Vaani didi ki baat sunkar, ami nimi ko bulane ke liye chali gayi. Tabhi chhoti maa ek baar fir se upar aa gayi. Un ne vaani didi ke upar gussa karte huye kaha.

Chhoti maa boli “vaani ye tune kya laga rakha hai. Niche aniruddha tera intejar kar raha hai aur tu yaha in logon ke sath time pass karne me lagi huyi hai. Kya tujhe apni flight nahi pakadna hai.”

Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi ne unse kaha.

Vaani didi boli “mausi, abhi mujhe in logon se kuch jaruri baten karna hai. Aap aniruddha se kah do ki, mere liye agli flight ka intejam kar de aur mausa ji se bhi kah dena ki, mai jaane se pahle unse kuch jaruri baten karna chahti hu.”

Vaani didi ki baat sunkar chhoti maa ne un par thoda bahut gussa kiya aur fir wapas niche chali gayi. Lekin keerti shayad aaj vaani didi se jhagda karne ke mood me hi baithi thi. Usne chhoti maa ke jate hi, fir se vaani didi ko chhedte huye kaha.

Keerti boli “didi, ab to aapne dekh liya na ki ami punnu ko bachane ke liye nahi, balki aapko bulane ke liye upar aayi thi. Lekin aapne us bechari ko bekar me hi peet diya.”

Keerti ki baat sunkar, vaani didi ne uski is baat ko kaatte huye kaha.

Vaani didi boli “ami jhuth bol rahi hai. Wo punnu ko bachane hi mere pas aayi thi.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi, keerti ne unki is baat ka virodh karte huye kaha.

Keerti boli “didi, aap janti hai ki, ami kabhi jhuth nahi bolti hai. Yadi aapko abhi bhi uski is baat par shaq hai to, aap uski sachchai ka pata neha se bhi laga sakti hai.”

Vaani didi boli “mujhe neha se kuch bhi puchhne ki jarurat nahi hai. Mai ami aur uske dimag ko tum logon se behtar samajhti hu. Maine us samay ami ko uski baat puri nahi karne di thi.”

“Wo ab bas isi baat ka fayda utha kar mujhse jhuth bol rahi hai. Ami ne apni baat ki sachchai pata karne ke liye neha ka naam liya hai. Ab yadi ami jhuth bhi bol rahi hogi to, neha ami ki kahi gayi baat ko hi sach kahegi.”

“Mai itni nasamajh nahi hu ki, ami ke is bahkave me aa jau. Mai uski is baat ko to maan bhi sakti hu ki, wo mujhe bulane ke hi liye upar aayi thi. Lekin mai uski is baat ko hargij nahi maan sakti ki, wo mujhse punnu ko pitwana chahti thi aur uske pahle wo punnu ko bachane ki koshish nahi kar rahi thi.”

“Mai is baat ko achi tarah se samajhti hu ki, abhi usne punnu ko mujhse pitwane ka natak sirf mera gussa kam karne ke liye kiya tha. Mai uski rag rag se wakif hu aur uske sach aur jhuth ko achi tarah se pehchanti hu.”

“Hum dono me kaun sachcha hai aur kaun jhutha hai. Ye tum log mere jaane ke bad khud us se puchh lena. Bhale hi ami ne abhi mujhse jhuth kaha ho. Lekin wo punnu ke samne kabhi jhuth nahi bolegi.”

Vaani didi ki ye baat 100% sach thi. Ami to kya nimi bhi kabhi mere samne jhuth nahi bolti thi. Nimi chahe kitna hi jhuth kyo na bolti ho. Lekin mere bolte hi, wo sab kuch sach sach bakna suru kar deti thi.

Keerti se apni baat kahne ke bad vaani didi nimi ke aane ka intejar karne lagi. Lekin nimi thi ki, aane ka naam hi nahi le rahi thi. Ye dekh kar vaani didi ami nimi ke kamre me jaane ko huyi.

Lekin tabhi ami ne kamre me kadam rakh diya. Uske pichhe pichhe nimi bhi kamre ke andar aa gayi. Lekin wo bahut jyada dari huyi lag rahi thi aur uske chehre se aisa lag raha tha ki, wo bahut jyada royi hai.

Keerti aur ami ne vaani didi se maar khakar bhi jitne aansu nahi bahaye the. Us se jyada aansu shayad nimi hum logon ko pitta hua dekh kar baha chuki thi. Uska pura chehra aansuon se sana hua tha.

Ami nimi ke andar meri jaan basa karti thi. Khas kar nimi ko to mai kabhi rota hua dekh hi nahi sakta tha. Isliye nimi ka aansuon se sana hua chehra dekh kar mera dil baith gaya.

Aisa hi kuch shayad nimi ka chehra dekh kar vaani didi ke sath bhi hua tha. Un ne nimi ka aansuon se sana hua chehra dekha to, wo uske samne jakar ghutno ke bal baith gayi aur uske dono hathon ko apne gaalon se lagate huye kaha.

Vaani didi boli “meri pyari nimmo ko kya hua. Usne apni aisi halat kyo banayi hai.”

Lekin nimi ke muh se koi shabd nahi nikla. Wo abhi bhi dari huyi si vaani didi ko dekh rahi thi. Ye dekh kar vaani didi ne use samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “chhoti, aise nahi darte hai. Mai to in logon ki bhalai ke liye hi in logon par gussa kar rahi thi. Kya ammo ne tujhe bataya nahi ki, mai in logon par kyo gussa ho rahi thi.”

Ye kahte huye vaani didi ne nimi ko wahi path padana suru kar diya. Jo abhi kuch der pahle ami unko pada rahi thi. Un ne pyar se nimi ko bahlate huye kaha.

Vaani didi boli “are chhoti, ye punnu aaj kal bahut ladayi jhagda karne laga hai. Ab yadi ye mere jaane ke bad bhi aise hi ladta jhagadta rahta to, tum logon ko hamesha iski chinta lagi rahti.”

“Bas isi vajah se mai in logon ke upar gussa kar rahi thi. Lekin yadi tujhe mera in logon ke upar gussa karna pasand nahi hai to, mai aaj ke bad in logon par gussa nahi karugi.”

Ye kahte huye vaani didi ne apne jeb se rumal nikala aur bade pyar se nimi ka aansuon se sana chehra saaf karne lagi. Nimi ka chehra saaf karne ke bad un ne nimi ko apni kahi baat yaad dilate huye kaha.

Vaani didi boli “chhoti, maine tujhse pahle bhi kaha tha ki, tujhe meri tarah nidar aur sahsi banna hai. Punnu ki tarah rotdu aur darpok nahi banna hai. Fir bhi tu iski tarah darpok aur rotdu ban rahi hai.”

“Ye bilkul bhi achi baat nahi hai. Mujhe tujhse aisi ummid bilkul nahi thi. Ab yadi tu meri is baat se gussa hokar, mujhe kaatna chahti hai to, tu mujhe shauk se kaat sakti hai.”

Ye kahte huye vaani didi ne apna hath nimi ke muh ke samne kar diya. Asal me pichhli baar jab vaani didi ne mujhe rotdu aur darpok kaha tha to, nimi ne gusse me unke hath ko kaat khaya tha.

Bas isi vajah se vaani didi ne apni purani baat ko dohrane ke bad, apna hath nimi ke samne kar diya tha. Taki nimi ko unki baat se gussa aaye to, wo un par apna gussa nikal sake.

Lekin vaani didi ki ye baat sunne ke bad nimi ke murjhaye huye chehre par ek pyari si muskan tair gayi aur wo aage bad kar vaani didi ke gale se lag gayi. Nimi ko muskurata hua dekh kar, hum sabke chehre par bhi muskurahat aa gayi.

Nimi ke vaani didi ke gale se lagte hi, vaani didi ne apna hath bada kar ami ko bhi apne gale se laga liya. Aisi hi thi, humari vaani didi. Jinke dil me beshumar pyar chhupa hua tha.

Lekin wo pyar sirf ami, nimi aur keerti ke liye hi bahar nikal kar aata tha. Baki sabko to sirf meri tarah unke gusse ka hi shikar hi hona padta tha. Vaani didi abhi ami nimi ke sath laad karne me lagi huyi thi. Tabhi keerti ne ek baar fir se vaani didi ko tokte huye kaha.

Keerti boli “didi, aap ami nimi se laad bad me kar lena. Pahle nisha bhabhi se baat kar lijiye. Wo kab se aapke sath phone par bani huyi hai.”

Keerti ki baat sunkar, vaani didi ne ami nimi ko unke kamre me jaane ko kaha aur fir uske bad nisha bhabhi se baat karte huye kaha.

Vaani didi boli “sorry nisha, meri vajah se tumhe itni der intejar karna pad gaya.”

Nisha bhabhi boli “……………” (koi baat nahi vaani, lekin tum in sab par itna gussa kyo kar rahi thi.)

Vaani didi boli “chhodo nisha, is baare me hum fir kabhi baat karege. Abhi mujhe tumse ek bahut jaruri baat karna hai. Tum meri baat dhyan se suno.”

Nisha bhabhi boli “……………” (haan, haan bolo, tumhe kya jaruri baat karni hai.)

Vaani didi boli “dekho, ye bahut hi jaruri baat hai aur is baat ko batane ke pahle mai tumhe do baten samjha dena chahti hu. Pahli baat to ye ki tum meri har baat ka jabab sirf haan, na ya ok me hi dogi. Iske alawa tum kuch bhi nahi bologi. Kya tum samajh gayi ki, mai tumse kya kahna chahti hu.”

Vaani didi ki is baat ko sunkar, nisha bhabhi ne thoda pareshan hote huye kaha.

Nisha bhabhi boli “……………” (haan, mai samajh gayi ki, tum kya kahna chahti ho. Lekin hua kya hai.)

Vaani didi boli “tum ko wo bhi samajh me aa jayega. Lekin uske pahle mai tumhe apni dusri baat bhi samjha deti hu. Lekin ab tum meri baat ka jabab sirf haan, na ya ok me hi dena.”

Nisha bhabhi boli “……………” (ok.)

Vaani didi boli “ok, ab mai apni baat kahne ke pahle tumhe apni dusri baat bhi samjha deti hu. Dusri baat ye hai ki, mujhse baat karte huye tum kisi bhi halat me kisi ka bhi naam nahi logi.”

“Tumhe meri baat samajh me aaye ya na aaye. Tum meri har baat ka jabab sirf haan, na ya ok mer hi dena hai. Kya tumhe meri ye dusri baat bhi samajh me aa gayi.”

Nisha bhabhi boli “……………” (haan.)

Vaani didi boli “ok, to ab mai apni baat kahna suru karti hu. Tum apne dimag par jor dekar meri baat ko samajhne ke koshish karna.”

Nisha bhabhi boli “……………” (ok.)

Vaani didi boli “kya tumhe mujhse pahli mulakat yaad hai.”

Nisha bhabhi boli “……………” (haan.)

Vaani didi boli “tab tumhe ye bhi yaad hoga ki, us samay tumne mujhe apne college ke dino ke baare me bhi bataya tha.”

Nisha bhabhi boli “……………” (haan.)

Vaani didi boli “kya tumhe yaad hai. Tumne mujhe bataya tha ki, college ke dino me tum teen dost hua karte the.”

Nisha bhabhi boli “……………” (haan.)

Vaani didi boli “kya tumhe yaad hai ki, tum teen doston me se tumhara ek dost waha par mere bhai ko marne bhi aaya tha.”

Nisha bhabhi boli “……………” (haan.)

Vaani didi ki is baat se hum sabko samajh me aa raha tha ki, wo shayad Khalid bhai ke baare me kuch baten karna chahti hai. Kyoki jab nisha bhabhi barkha didi ke sath chanda mausi ke ilaj ke liye aayi thi.

Tab unki pahli baar vaani didi se mulakat huyi thi. Unki humare samne hi vaani didi se ye sab baten huyi thi. Vaani didi ne isharon me un baton ko dohrane ke bad nisha bhabhi se puchha.

Vaani didi boli “mera khayal hai ki, ab tum samajh hi gayi hogi ki, mai tumse tumhare kis dost ke baare me baat karna chahti hu.”

Nisha bhabhi boli “……………” (haan.)

Vaani didi boli “ok, to ab meri baat dhyan se suno. Kya tumhe apne us dost ki jaan bachane ke mauka mile to, kya tum uski jaan bachana chahogi.”

Nisha bhabhi boli “……………” (haan, jarur.)

Vaani didi boli “tab apne us dost se bol do ki, wo kal ka suraj apne shahar me dekhne ki koshish bilkul bhi na kare. Yadi usne kal ka suraj apne shahar me dekha to, wo kal ki sham nahi dekh payega. Kya tum mere kahne ka matlab samajh gayi.”

Nisha bhabhi boli “……………” (haan.)

Vaani didi boli “ok, tum iske liye kya karogi. Ye mai janna nahi chahti. Lekin tumhe kuch bhi karne se pahle do baton ki sawdhani rakhna hogi. Pahli to ye ki tumhe use koi call nahi karna hai. Kya tum mere aisa kahne ka matlab samajh gayi ho.”

Nisha bhabhi boli “……………” (haan.)

Vaani didi boli “good, ab meri dusri baat bhi sun lo. Tum us se mil bhi nahi sakti ho. Kyoki uske upar najar hai. Kyat um samajh gayi ki, mai kya kahna chahti hu.”

Nisha bhabhi boli “……………” (haan.)

Vaani didi boli “good, ab tumhe kya karna hai, kaise karna hai. Ye tum jaano. Lekin maine jin baton ki sawdhani rakhne ko kaha. Wo sawdhani jarur rakhna. Warna tum bhi musibat me fas sakti ho.”

Nisha bhabhi boli “……………” (ok.)

Is baar nisha bhabhi ke ok kahte hi, vaani didi ne apne baat karne ka andaz badalte huye kaha.

Vaani didi boli “acha, ye batao, kya aaj dopahar ke bad tumhari apni coma patient se baat huyi hai ya nahi huyi.”

Vaani didi ki is baat se samajh me aa raha tha ki, wo priya ke baare me baat kar rahi hai. Nisha bhabhi bhi unki is baat ka matlab samajh gayi thi. Isliye unki is baat ka jabab dete huye kaha.

Nisha bhabhi boli “……………” (nahi, aaj mujhe din bhar bilkul bhi samay nahi mil paya. Isliye meri us se baat hi nahi ho payi hai.)

Vaani didi boli “ok, mujhse baat karne ke bad tum us se ek baar jarur baat kar lena. Mujhe ummid hai ki us se baat karke tumhe khushi hi hogi.”

Nisha bhabhi boli “……………” (ok.)

Vaani didi boli “ok, ab yadi tum mujhse kuch puchhna ya kahna chaho to, kah sakti ho.”

Nisha bhabhi boli “……………” (nahi, mujhe kuch nahi puchhna. Lekin abhi mujhe ek jaruri kaam aa gaya hai. Yadi tumhe koi jaruri baat na karna ho to, kya mai call rakh sakti hu.)

Vaani didi boli “haan, ab tum call rakh sakti ho.”

Nisha bhabhi boli “……………” (ok, hum bad me baat karte hai. Bye.)

Vaani didi boli “bye.”

Vaani didi ke bye kahte hi, nisha bhabhi ne call kaat diya. Jiske bad vaani didi ne apne kaan me laga hua bluetooth headphone nikal kar meri taraf badate huye kaha.

Vaani didi boli “abhi meri flight ka samay ho raha hai. Mai tumse mumbai se aane ke bad baat karti hu.”

Itna kah kar vaani didi mere kamre se bahar nikal gayi. Unhe apne kamre me jate dekh kar, neha ne thandi saans lete huye kaha.

Neha boli “hey bhagwan, in ne apne kamre me jaane me kitni der laga di. Meri to jaan hi nikal gayi thi. Ab pata nahi, ye mumbai jakar kya gul khilane wali hai.”

Neha ko vaani didi ke baare me ye bakwas karte dekh kar, maine use chup karate huye kaha.

Mai bola “wo abhi badi mushkil se shant huyi hai. Isliye unke jaane tak tum bhi apna muh band hi rakho. Tumhe unke baare me jo kuch bhi kahna hai. Unke jaane ke bad bol lena.”

Meri baat sunkar neha chup chap keerti ke pas aakar baith gayi aur mai vaani didi ki nisha bhabhi se huyi baat ke baare me sochne laga. Vaani didi ki baat se itna to samajh me aa gaya tha ki, Khalid bhai ki jaan ko khatra hai.

Lekin vaani didi ka is baat se kya sambandh hai. Unhe is baat ki jaankari kaise huyi aur un ne nisha bhabhi ko priya se baat karne ki salah kyo di. Ye sab baten meri samajh se bahar hi thi.

Hum sab mere kamre me baithe vaani didi ke unke kamre se wapas aane ka intejar kar rahe the. Kuch hi der me vaani didi ek bag apne hath me liye apne kamre se bahar nikal aayi.

Unko niche jate dekh kar, mai aur keerti bhi uth kar unke pichhe pichhe niche aane lage. Hume niche jate dekh kar neha uth kar ami nimi ke kamre me chali gayi. Hum niche pahuche to, papa aniruddha se baat kar rahe the.

Vaani didi ko dekhte hi, aniruddha uth kar khada ho gaya. Lekin vaani didi ne uski taraf dhyan na dete huye papa se kaha.

Vaani didi boli “mausa ji, aniruddha ne aapko yash vardhan se judi saari baten bata di hai na.”

Papa bole “haan, abhi meri inse isi baare me baten ho rahi thi. Lekin tumhari mausi ki tarah mujhe bhi yahi lagta hai ki, tum ye thik nahi kar rahi ho.”

Vaani didi boli “ye mai bhi janti hu ki, ye galat hai. Lekin galat ke sath galat karna meri aadat hai. Lekin aap fikar mat kijiye. Meri kisi baat se aapko koi nuksan nahi hoga.”

Papa bole “mujhe apne kisi nuksan ki nahi, balki tumhari fikar ho rahi hai. Kyoki yash ki pahuch bahut upar tak hai. Jabki tumhari to ab naukri bhi nahi rahi hai.”

Vaani didi boli “aap is baat ki bhi bilkul fikar mat kijiye. Yash ki pahuch chahe kitne bhi upar tak kyo na. Use aana mausi ke hi kadmo tale hoga. Aapko bas is kaam mera sath dena padega.”

Papa bole “tum befikar raho. Tum jaisa chahti ho, sab kuch blikul waisa hi hoga. Meri taraf se tumhe is baat ki fikar karne ki koi jarurat nahi hai.”

Vaani didi boli “thanks mausa ji, mujhe apna ye kaam niptane me do teen din lag jaye. Fir bhi mai apni taraf se jaldi wapas aane ki puri koshish karugi.”

Papa bole “ok vaani, tum befikar hokar apna kaam niptao. Meri shubhkamna tumhare sath hai.”

Vaani didi boli “thanks mausa ji.”

Iske bad vaani didi chhoti maa ko kuch baten samjhane lagi. Tabhi ami nimi aur neha bhi niche aakar humare pas khadi ho gayi. Vaani didi ki chhoti maa se baat khatam hote hi, ami ne unse kaha.

Ami boli “didi, aap bhaiya ko bhi apne sath mumbai le jaiye na.”

Ami ki is baat ne mere sath sath baki sabko bhi chauka kar rakh diya tha. Priya ke meri bahan hone ki baat pata lagne ke bad se ye pahla mauka tha, jab ami khud se hi mujhe akele mumbai jaane ki ijajat de rahi thi.

Aaj ka din mere liye behad hi jhatkon bhara din tha. Aaj subah chhoti maa se thappad khane ke bad jhatka khane ki jo suruaat huyi thi to, wo abhi tak rukne ka naam hi nahi le rahi thi.

Ye to mai bhi nahi janta tha ki, chhoti maa se ek thappad khana mujhe itna bhari padega ki, uski goonj mujhe subah se lekar raat tak sunayi degi. Aaj mai jitna pita tha, utna to jindagi me kabhi bhi nahi pita tha.

Magar un saari maar se jyada bada jhatka to mujhe meri chhoti bahan dene par utaru thi. Pahle to wo mujhe vaani didi se bachane ke liye aage aayi aur khud unse pit bhi gayi thi.

Lekin uske bad kabhi jhuth na bolne wali meri bahan apni us baat se saaf saaf mukar bhi gayi. Iske bad wo khud hi mujhe vaani didi se pitwane ki vakalat karti bhi najar aayi thi.

Ab iske bad, mujhe priya ke pas kabhi bhi akela na chhodne wali meri bahan ab khud hi vaani didi se mujhe apne sath mumbai le jaane ki baat kah rahi thi. Uski ye baat mujhe bilkul bhi hajam nahi ho rahi thi.

______________________________
Reply
09-11-2020, 02:24 PM,
RE: MmsBee कोई तो रोक लो
{Update - 247}
____________________________

Ami ki is baat ne mere sath sath baki sabko bhi chauka kar rakh diya tha. Priya ke meri bahan hone ki baat pata lagne ke bad se ye pahla mauka tha, jab ami khud se hi mujhe akele mumbai jaane ki ijajat de rahi thi.

Aaj ka din mere liye behad hi jhatkon bhara din tha. Aaj subah chhoti maa se thappad khane ke bad jhatka khane ki jo suruaat huyi thi to, wo abhi tak rukne ka naam hi nahi le rahi thi.

Ye to mai bhi nahi janta tha ki, chhoti maa se ek thappad khana mujhe itna bhari padega ki, uski goonj mujhe subah se lekar raat tak sunayi degi. Aaj mai jitna pita tha, utna to jindagi me kabhi bhi nahi pita tha.

Magar un saari maar se jyada bada jhatka to mujhe meri chhoti bahan dene par utaru thi. Pahle to wo mujhe vaani didi se bachane ke liye aage aayi aur khud unse pit bhi gayi thi.

Lekin uske bad kabhi jhuth na bolne wali meri bahan apni us baat se saaf saaf mukar bhi gayi. Iske bad wo khud hi mujhe vaani didi se pitwane ki vakalat karti bhi najar aayi thi.

Ab iske bad, mujhe priya ke pas kabhi bhi akela na chhodne wali meri bahan ab khud hi vaani didi se mujhe apne sath mumbai le jaane ki baat kah rahi thi. Uski ye baat mujhe bilkul bhi hajam nahi ho rahi thi.

Abhi kuch der pahle ami ke vaani didi ke samne ek behad hi bachkana jhuth bolne ki vajah se mujhe uske dimag ke upar bahut jyada taras aa raha tha aur mujhe ye lag raha tha ki, vaani didi ke samne uska ye jhuth pakda jayega.

Mujhe is baat ka dar bhi sata raha tha ki, vaani didi ke samne uska jhuth pakde jaane se wo kahin vaani didi ki saza ki hakdar na ban jaye aur mera aisa sochna jara bhi galat sabit nahi hua tha.

Kyoki vaani didi ne ami ka ye jhuth fauran hi pakad liya tha. Lekin ami ka ye jhuth pakde jaane ke bad bhi, wo na sirf vaani didi ke gusse se bach gayi thi, balki unse milne wali saza se bhi saaf bach nikli thi.

Ye hi nahi usne apne us jhuth se vaani didi ke gusse ko bhi shant karke dikha diya tha. Mai ami ki is baat se khush to jarur tha. Lekin uske jhuth bolne ki baat ko lekar us se thoda naraj bhi tha.

Maine vaani didi ke jaane ke bad, ami se is baare me baat karne ke baare me bhi socha tha. Lekin ami ne vaani didi ke jaane ke pahle hi, mere bhi unke sath mumbai jaane ki baat kah kar, mere samne ek sawal aur khada kar diya tha.

Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, achanak ami ko ye kya ho gaya hai aur wo mujhe vaani didi ke sath mumbai kyo bhejna chahti hai. Ami ka mujhe akele mumbai jaane dena koi kam chaukane wali baat nahi thi.

Shayad ami ki is baat ne meri tarah baki sabko bhi chauka kar rakh diya tha. Chhoti maa ko bhi shayad ami ki is baat ko sunkar itni hi hairani huyi thi. Isliye ami ki is baat ko sunte hi, un ne ami se puchha.

Chhoti maa boli “tujhe pata bhi hai ki, kal punnu ko humare sath juhi ki shadi me shamil hone jana hai. Fir tu ise vaani ke sath mumbai kyo bhejna chahti hai.”

Chhoti maa ki is baat ke jabab me ami ne badi hi sahajta se kaha.

Ami boli “mummy, juhi didi ki shadi me shamil hone ke liye to hum sabhi ja rahe hai. Yadi bhaiya waha nahi bhi gaye to, chal jayega. Lekin vaani didi to apne kaam se akeli hi mumbai ja rahi hai.”

“Mujhe unka akele jana jara bhi acha nahi lag raha hai. Isliye mai un se bhaiya ko apne sath le jaane ki baat kah rahi hu. Waise bhi hetal didi ki surgery ke liye to bhaiya ko is hafte mumbai jana hi hai.”

“Aise me yadi bhaiya kuch din pahle hi mumbai chale jayege to, is se hetal didi ko bhi khushi hogi aur vaani didi ko bhi bhaiya ka sath mil jayega. Bas isi vajah se mai vaani didi se bhaiya ko apne sath mumbai le jaane ki baat kah rahi hu.”

Ami ki ye baat sunkar, chhoti maa shayad ami se kuch kahne wali thi. Lekin vaani didi ne chhoti maa ko chup rahne ka ishara kiya aur fir ami ko samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “ammo, mujhe punnu ko apne sath mumbai le jaane me koi pareshani nahi hai. Lekin punnu ko kal yaha par kuch jaruri kaam niptane hai. Aise me yadi mai chahu bhi to, ise apne sath nahi le ja sakti hu.”

Lekin ami ne vaani didi ki is baat ko sire se nakarte huye kaha.

Ami boli “bhaiya ko yaha par koi bhi jaruri kaam nahi hai aur yadi unhe yaha koi jaruri kaam hai bhi to, wo apna kaam aapke wapas aane ke bad bhi nipta sakte hai. Abhi ke liye to unka aapke sath jana hi sabse jyada jaruri hai.”

Ami kisi bhi halat me apni kahi huyi baat se pichhe hatti najar nahi aa rahi thi aur uske apni ye baat kahne ke andaj me mujhe uske jid par adne ki bhi jhalak najar aa rahi thi.

Waise to mera paala nimi, keerti, priya, nikki aur vaani didi jaise bahut jiddi logon se padta hi rahta tha. Fir bhi mai in sab logon me ami ki jid ko hi sabse jyada khatarank manta tha.

Kyoki ami kabhi koi jid karti hi nahi thi. Jid karke apni baat manwana uski aadat me hi nahi tha. Lekin yadi kabhi kisi baat ko lekar wo jid par ad jaye to, fir use uski jid se digana bahut hi mushkil hota tha.

Abhi bhi ami aisi hi kuch harkat karti najar aa rahi thi. Magar is samay wo apni ye harkat chhoti maa aur vaani didi ke samne dohrane ja rahi thi. Jiska anjam ami ke liye nuksandayak ho sakta tha.

Kyoki ye dono kisi par bhi hath chhodne me jara bhi nahi chukte the. Vaani didi to fir bhi ami ka lihaj kar sakti thi. Lekin chhoti maa se aisa kuch karne ki jara bhi ummid nahi ki ja sakti thi.

Wo ami ko is tarah jid par adte dekh kar, uske upar hath bhi chhod sakti thi. Isliye ami ko jid par adte dekh kar, maine fauran hi vaani didi aur uski baat ke bich me kudte huye, ami se kaha.

Mai bola “betu, vaani didi apne kaam ke silsile me har jagah akeli hi jati hai aur wo mumbai bhi koi pahli baar nahi ja rahi hai. Isliye tu mujhe vaani didi ke sath mumbai jaane ki jid chhod de.”

Lekin ami kabhi koi vevajah ki jid karti hi nahi thi. Isliye mere samjhane par uska apni jid se itni aasani se pichhe hat jaane ka sawal hi paida nahi hota tha. Meri is baat ko sunne ke bad bhi usne fir se apni baat ko dohrate huye kaha.

Ami boli “mujhe kuch nahi sunna hai. Maine kah diya hai ki, aap vaani didi ke sath jaoge to, matlab aap vaani didi ke sath jaoge. Yadi aap vaani didi ke sath nahi jaoge to, fir mai khud vaani didi ke sath jaugi.”

Ami ko is tarah jid karte dekh kar, chhoti maa us par gussa karne lagi. Lekin vaani didi ne unhe shant karwaya aur muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “mausi, aap shant rahiye. Punnu ami se baat kar raha hai. Mai bhi apne jaane se pahle thoda inki nautanki dekh lena chahti hu.”

Vaani didi janti thi ki, mai ami ko aasani se samjha sakta hu. Isliye un ne chhoti maa ko shant karwa kar is baat ko hansi me taal diya tha. Lekin mai ami ki aadat ko achi tarah se janta tha.

Wo mujhe pareshan karne wali harkat kabhi nahi karti thi aur yadi abhi wo aisa kuch kar rahi thi to, jahir si baat thi ki, is samay uske man me mujhe ya vaani didi ko lekar jarur koi baat chal rahi thi.

Jis vajah se wo mujhe vaani didi ke sath mumbai bhejne ki jid par adi huyi thi. Ami ki is jid ka karan janne ke liye mai uske samne aakar baith gaya aur fir uska hath apne hathon me lete huye bade pyar se us se puchha.

Mai bola “betu, mujhe sach sach bata kya baat hai. Tujhe kya baat pareshan kar rahi hai, jo tu mujhe vaani didi ke sath mumbai bhejna chahti hai.”

Meri baat sunkar, ami thodi der tak gaur se mera chehra dekhti rahi. Lekin fir achanak hi uski aankhon se jhar jhar aansu bahne lage aur wo aage bad kar, mere gale se lag gayi.

Ami ki is harkat ne sabko hairan karke rakh diya tha. Lekin sath hi sath uski is harkat ne mere is yakin ko bhi pakka kar diya tha ki, is samay use koi baat pareshan kar rahi hai.

Ami ko is tarah rota dekh kar, mai pyar se uske sar par hath ferne laga aur use chup karna laga. Vaani didi bhi samajh chuki thi ki, ami ke is tarah jid karne ke pichhe ka raz kuch aur hi hai.

Is mamle ki gambhirta ko samajhte huye, vaani didi bhi mere pas aakar ghutno ke bal baith gayi. Un ne pyar se ami ke sar par hath fera aur fir uska hath pakad kar use apne samne khada karke, bade hi pyar se us se puchha.

Vaani didi boli “betu, mujhe bata, tujhe kis baat ka dar sata raha hai. Mai hu na. Mere hote huye, tujhe kisi bhi baat se darne ki jarurat nahi hai.”

Vaani didi ki baat sunkar, ami ne fir se apni baat ko dohrate huye kaha.

Ami boli “mai aapko akele mumbai nahi jaane dugi.”

Itna bol kar wo aage bad kar vaani didi ke gale se lag kar rone lagi. Uski ye harkat kuch ajib jarur thi. Lekin uski is harkat se hum sabko samajh me aa gaya tha ki, ami is samay kisi baat se bahut jyada dari huyi hai.

Lekin wo kis baat se dari huyi hai. Ye kisi ke bhi samajh me nahi aa raha tha. Keerti bhi bahut der se ami ki in ajib harkaton ko dekh rahi thi. Lekin use bhi kuch samajh nahi aa raha tha.

Magar ab jaise hi ami ne ek hi baat ki jid pakad li to, keerti ko bhi is baat ka aehsas ho gaya ki, ami ke is tarah se jid karne ke pichhe jarur koi khas vajah chhupi huyi hai.

Lekin is samay ami ke apni jid par ad jaane ki vajah se vaani didi ko apni flight pakadne me der ho rahi hi. Isliye keerti ne ami ko samjhate huye kaha.

Keerti boli “dekh ammo, hum sab ki vajah se pahle hi vaani didi ki ek flight chhut chuki hai aur yadi tu aise hi roti rahi to, teri vajah se vaani didi ki ye dusri flight bhi chhut jayegi.”

“Isliye tu rona band karke apne dil ki baat vaani didi ko bata de. Yadi teri baat sunne ke bad vaani didi ko bhi laga ki, unhe punnu ko apne sath mumbai le jana chahiye to, wo jarur punnu ko apne sath le jayegi.”

Keerti ki baat sunne ke bad, vaani didi ne ami ke aansu ponchhe aur fir keerti ki baat ka samarthan karte huye bade hi pyar se ami se kaha.

Vaani didi boli “betu, keerti sahi kah rahi hai. Mere liye ye flight pakadna bahut jaruri hai. Lekin tu meri sabse bahadur aur samajhdar bahan hai. Mai kabhi teri kisi baat ko halke me nahi leti hu.”

“Magar is samay teri is jid ko pura kar pana mere bas me nahi hai. Kyoki kal yaha par punnu ko kuch jaruri kaam niptane hai. Aise me mai chahu bhi to, ise apne sath nahi le ja sakti hu.”

“Fir bhi tu mujhe bata ki, tujhe aisi kya baat pareshan kar rahi hai, jiski vajah se tu ise mere sath bhejna chahti hai. Mai tujhse vada karti hu ki, mai teri har pareshani ko door karugi.”

Lekin vaani didi ki ye baat sunne ke bad bhi ami ke muh se koi bol nahi fute aur woe k tak vaani didi ko dekhti rah gayi. Ye dekh kar vaani didi ne fir apni baat ko dohrate huye kaha.

Vaani didi boli “betu bata na kya baat hai. Mujhe teri chinta ho rahi hai.”

Vaani didi ka itna kahna tha ki, ek baar fir ami ki aankhon se aansuon ka bandh bah nikla. Lekin is baar shayad vaani didi ko ami ke in bahte aansuon ka matlab samajh me aa chuka tha.

Isliye un ne ek baar fir ami ko chup karaya aur uska chehra apne hathon me tham kar, uski aankhon se aankhen milate huye kaha.

Vaani didi boli “betu, meri taraf dekh. Kahin tujhe is baat ka dar to nahi lag raha hai ki, mumbai jakar mujhe kuch ho jayega.”

Vaani didi ka itna kahna tha ki, ami ki aankhne ek baar fir se chhalak gayi aur usne aage bad kar ek baar fir vaani didi se lipat kar rona suru kar diya. Magar is baar hume uske rone ka matlab samajh me aa chuka tha.

Vaani didi ka sawal sunkar, ami ka un se lipat kar rone lagna to yahi sabit kar raha tha ki, vaani didi ka lagaya gaya andaza bilkul sahi hai. Is baat se parda to uth gaya tha ki, itini der se ami ko kaun si baat pareshan kar rahi thi.

Lekin abhi bhi is baat par parda pada hi hua tha ki, is baat ko lekar ami itni pareshan kyo hai. Pahle mujhe laga ki, shayad ami vaani didi aur nisha bhabhi ko Khalid ko lekar huyi baat chit ki vajah se itna pareshan hai.

Magar fir mujhe yaad aaya ki, vaani didi to nisha bhabhi se ye baat karne ke pahle hi, ami nimi ko unke kamere me bhej chuki thi. Uske bad ami nimi neha ke unke kamre me jaane ke bad hi, uske sath niche aayi thi.

Jis vajah se mujhe ami ke ye baat sun sakne ki ummid kam hi najar aa rahi thi. Fir bhi ye baat to puri tarah se saaf thi ki, aisi hi koi baat is samay ami ko pareshan kar rahi hai.

Lekin vaani didi ne ye baat janne ke liye jara bhi jaldbaji nahi dikhayi. Un ne ami ko is tarah rote huye dekha to, pyar se uske sar par hath ferne lagi. Fir jab ami thoda shant huyi to, use apne samne khada karke, bade hi pyar se kaha.

Vaani didi boli “mujhe nahi pata tha ki, meri ammo mujhe itna jyada pyar karti hai. Lekin kya meri naukri jaane ke bad mausa ji ki tarah tera bhi mere upar se viswas uth gaya hai, jo tu mere mumbai jaane se itna jyada dar rahi hai.”

Vaani didi ki is baat ne ami ke upar teer ki tarah asar kiya. Ami ne fauran hi apne tevar badalte huye, bade hi gusse me vaani didi se kaha.

Ami boli “mujhe aapke upar pura viswas hai aur apni naukri jaane wali baat kah kar mujhe bevkuf banane ki koshish bilkul mat kijiye. Kyoki mai ache se janti hu ki, ab aap kya ho.”

Ami ki is baat ne hum sabko hi nahi, balki vaani didi ko bhi chauka kar rakh diya tha. Hume to kuch samajh me nahi aaya ki, ami kya kahna chahti hai. Lekin shayad vaani didi ko ami ki is baat ka matlab samajh me aa gaya tha.

Vaani didi is samay ami ke samne ghutno ke bal par baithi huyi thi. Lekin ami ki ye baat sunte hi, un ne apne ek pair ko mod kar uske upar ami ko baitha liya aur fir hairani bhare shabdon me us se puchha.

Vaani didi boli “mai samjhi nahi, tu kya kahna chahti hai. Ab mai kya hu.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, ami aniruddha ki taraf dekhne lagi. Jise dekh kar vaani didi samajh gayi thi ki, wo aniruddha ke samne apni ye baat kahne se hichak rahi hai. Vaani didi ne ami ki is hichak ko door karte huye kaha.

Vaani didi boli “yadi tu is baare me kuch bhi janti hai to, aniruddha ke samne bhi tu apni wo baat kah sakti hai. Aniruddha mere bahut bharose ka aadmi hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, ami ne unki is hairani ko door karte huye kaha.

Ami boli “wo aaj sham ko saxena uncle ke ghar par commissioner uncle aaye the. Wo jab aapko phone par IB officer banne ki badhai de rahe the. Tab mai wahi par thi.”

Ami ki is baat ne vaani didi ke sath sath baki sabko bhi hairan karke rakh diiya tha. Ami ki ye baat sunne ke bad hum sab hairani se vaani didi ki taraf dekhne lage. Papa bhi fati fati aankhon se vaani didi ko hi dekhe ja rahe the.

Ami ne vaani didi se jude ek bahut bade raz ke upar se pardafash kiya tha. Mere man me aksar ye sawal aata tha ki, ab to vaani didi CID officer nahi hai. Fir bhi unke pas unka service revolver kyo rahta hai.

Iske alawa vaani didi ka job chale jaane ke bad bhi, ab tak mujhe unke power me kahin koi kami dekhne ko nahi mili thi. Is baat ko lekar mere man me bahut se sawal uthte rahte the.

Magar aaj sham ko hi vaani didi ne pritam ke yahi sawal karne par use jabab dete huye kaha tha ki, CID officer ko unke order follow karne ke liye saxena uncle ne kaha hai.

Us samay pritam ke sath sath mujhe bhi mere man me uth rahe sawalo ka jabab mil gaya tha aur maine bhi vaani didi ki us baat ko sach maan liya tha. Lekin ab ami ne vaani didi ki us baat ko puri tarah se
Reply
09-11-2020, 02:24 PM,
RE: MmsBee कोई तो रोक लो
{Update - 248}
____________________________

Ami ki is baat ne vaani didi ke sath sath baki sabko bhi hairan karke rakh diiya tha. Ami ki ye baat sunne ke bad hum sab hairani se vaani didi ki taraf dekhne lage. Papa bhi fati fati aankhon se vaani didi ko hi dekhe ja rahe the.

Ami ne vaani didi se jude ek bahut bade raz ke upar se pardafash kiya tha. Mere man me aksar ye sawal aata tha ki, ab to vaani didi CID officer nahi hai. Fir bhi unke pas unka service revolver kyo rahta hai.

Iske alawa vaani didi ka job chale jaane ke bad bhi, ab tak mujhe unke power me kahin koi kami dekhne ko nahi mili thi. Is baat ko lekar mere man me bahut se sawal uthte rahte the.

Magar aaj sham ko hi vaani didi ne pritam ke yahi sawal karne par use jabab dete huye kaha tha ki, CID officer ko unke order follow karne ke liye saxena uncle ne kaha hai.

Us samay pritam ke sath sath mujhe bhi mere man me uth rahe sawalo ka jabab mil gaya tha aur maine bhi vaani didi ki us baat ko sach maan liya tha. Lekin ab ami ne vaani didi ki us baat ko puri tarah se jhuthla kar rakh diya tha.

Yadi ami ki ye baat sach sabit hoti hai to, mere dil par vaani didi ki naukri jaane ka jo bojh bana hua tha, wo puri tarah se utar jana tha. Isliye ami ki ye baat sunkar mujhe bahut jyada khushi ho rahi thi.

Mai is baat ki sachchai ka pata lagane ke liye ami aur vaani didi ki taraf dekhne laga. Ami ki is baat ko sunkar, vaani didi bhi kuch kam hairan nahi thi. Un ne ami se sawal karte kaha.

Vaani didi boli “tu us samay waha kya kar rahi thi.”

Ami boli “wo bhaiya aaj hum sabke liye bahut saare cutlets aur Manchurian lekar aaye the. Lekin jab mummy ne bahut saare cutlets aur Manchurian dekhe to, wo is baat ko lekar bhaiya ke upar gussa karne lagi.”

“Us samay bhaiya apne kamre me the. Keerti didi ne jab mummy ko bhaiya ke upar gussa karte dekha to, un ne mummy ko bataya ki, kal sabne unke ghar me khana khaya tha aur punnu ko laga ki aaj bhi sab wahi khana khayege.”

“Isliye usne yaha aur waha walon sabhi ke ek sath khana khane ki baat soch kar itne saare cutlets aur manchurian pack karwa liye the. Fir uske bad aapka call aaya ki, aap chanda mausi ko lekar ghar ja rahi hai.”

“Jiske bad hum log ye cutlets aur Manchurian lekar sidhe yahi aa gaye. Lekin yaha par papa, mummy, bua ji, mausa ji aur mehul nahi hai. Is vajah se aapko ye sab bahut jyada lag rahe hai.”

“Yadi wo sab bhi raat ke khane par yaha hote to, ye dishes aapko bilkul bhi jyada nahi lagti. Keerti didi ki baat sunkar mummy ko saari baat samajh me aa gayi aur unka bhaiya ke upar ka gussa khatam ho gaya.”

“Lekin nimi ki vajah se mummy itne saare cutlets aur Manchurian apne ghar me rakhna nahi chahti thi. Kyoki ye lalattu cutlets aur Manchurian dekh kar fir kisi chij ko hath nahi lagati hai aur pure samay wo hi khati rahti hai.”

“Isliye mummy ne kuch cutlets aur Manchurian lekar mujhe aur nimi ko tripti didi ke ghar bhej diya. Dipti cutlets aur Manchurian dekh kar bahut khush huyi aur fauran hi khane ke liye toot padi.”

“Is nimi se bhi ghar wapas aane tak ka sabar nahi hua aur ye bhi dipti ke sath hi cutlets aur manchurian khane ke liye baith gayi. Mummy ne unke ghar bahut saare cutlets aur Manchurian bheje the.”

“Ye dekh kar tripti didi ne dipti se kaha ki, aunty ne bahut jyada cutlets aur Manchurian bhej diye hai. Tum aisa karo ki, bahar papa aur commissioner uncle baithe hai, tum jakar unhe bhi ye de aao.”

“Lekin dipti to nimi ke sath cutlets aur Manchurian khane me busy thi. Usne tripti didi se kaha ki, abhi ami bilkul free hai. Aap usi ke hath se papa aur commissioner uncle ke liye cutlets aur Manchurian bhej do.”

“Dipti ki baat sunkar, tripti didi ne mujhe cutlets aur Manchurian lekar saxena uncle ke pas bhej diya. Mai jab waha pahuchi to, commissioner uncle aapko IB officer banne ki badhai de rahe the.”

“Isliye mai wahi khadi hokar unki wo baten sunne lagi. Jab un ne aapka call rakh diya to, mai bhi un logon ko cutlets aur Manchurian dekar wapas tripti didi ke pas aa gayi.”

Apni itni baat kah kar ami chup ho gayi. Hum sabhi man laga kar ami ki ye baat sunne me lage huye the. Waise to vaani didi bado ki baton me kaan lagane par bahut gussa karti hai.

Sham ko bhi un ne ami nimi par isi baat ko lekar gussa kiya tha. Lekin abhi ami apni kisi aur jid par adi huyi thi. Isliye un ne us par gussa karne ki jagah us se pyar se sawal karte huye kaha.

Vaani didi boli “jab tujhe ye baat pata chal hi gayi thi to, tune mujhse is baare me kuch puchha kyo nahi.”

Ami boli “yadi mai is baare me aapse kuch puchhti to, aapko is baat ka bhi pata chal jata ki, maine commissioner uncle ki baten chhup kar suni hai aur aap ulta mujh par hi gussa hone lagti. Isliye maine aapse kuch nahi puchha tha.”

Vaani didi boli “kya tu janti hai ki, IB officer kya kahlata hai.”

Ami boli “nahi, mujhe is baare me pahle kuch bhi pata nahi tha. Lekin jab maine aapke IB officer banne ki baat suni to, maine tripti didi se puchha tha ki, kya IB officer CID officer se bada hota hai.”

“Tab tripti didi ne bataya tha ki, IB officer CID officer se bahut bada hota hai. Wo undercover agent bhi kahlata hai aur humare desh ko nuksan pahuchane wali kisi bhi vardaat ko hone se rokta hai.”

Ami ki baat sunkar, vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “jab tujhe iske baare me itna sab kuch pata hai. Tab to tujhe is baat se khush hona chahiye. Tu bhi to chahti thi ki, mai naukri karti rahu. Fir tu mere mumbai jaane ki baat ko lekar itna jyada dar kyo rahi hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, ami ek baar fir aniruddha ki taraf dekhne lagi. Ye dekh kar vaani didi ne fir use samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “maine tujhse kaha na ki, aniruddha mere bharose ka aadmi hai. Tu uske samne koi bhi baat kar sakti hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, ami ne apne dar ki baat par se parda uthate huye kaha.

Ami boli “wo aaj hum jab mall me shopping kar rahe the. Tabhi aniruddha uncle bhi waha aapse milne aaye the. Us samay aap neha didi ke liye shopping kar rahi thi. Tabhi nimi toilet jaane ki baat kahne lagi.”

“Tab aapko shopping me busy dekh kar aniruddha uncle hume toilet ke liye le gaye the. Aniruddha uncle washroom ke bahar hi ruk gaye the aur mai nimi ke sath andar chali gayi thi.”

“Nimi toilet kar rahi thi aur mai washroom ke darwaje ke pas khadi thi. Bahar aniruddha uncle khade the. Usi samay aniruddha uncle ke pas kisi ka phone aa gaya aur wo us se baat karne lage.”

“Mai darwaje ke pas hi khadi thi aur darwaja bhi thoda sa khula hua tha. Isliye mujhe aniruddha uncle ki baten saaf sunayi de rahi thi. Wo kisi se bol rahe the ki, dekho yaar jaise bhi ho, ye kaam kal tumhe niptana hi hai.”

“Mere upar yaha vaani madam ke parivar ki jimmedari hai. Isliye mai tumhare pas nahi aa sakta hu. Tum jara is kaam ki gambhirta ko samjho. Iske bad jis se ye baat kar rahe the, uski baat sunne lage.”

“Lekin usne na jaane inse kya kaha ki, in ne us par gussa karte huye kaha ki, kya tum apne bal par ek jara sa kaam bhi nahi nipta sakte ho. Ek jara se kaam ke liye vaani madam ko takleef dene ki baat kar rahe ho.”

“Vaani madam is samay bahut jaruri kaam se mumbai ja rahi hai aur waha unki jaan ko bahut jyada khatra hai. Mai to abhi ye bhi nahi kah sakta hu ki,…”

Lekin apni itni baat bol kar ami ek baar fir se chup ho gayi. Magara mi ki itni hi baat ne pas khade aniruddha ki halat kharab kar di thi. Wo ghabraya hua sa kabhi vaani didi to, kabhi ami ko dekh raha tha.

Shayad ami ki kahi is adhuri baat ke aage aniruddha ne kuch galat baat kahi thi. Jis vajah se ami apni baat puri karne se hichak rahi thi. Vaani didi bhi is baat ko samajh gayi thi. Isliye un ne thoda rob dikhate huye ami se kaha.

Vaani didi boli “ab apni baat puri kiye bina bich me rukna mat. Bata aniruddha ne aage kya kaha.”

Ami boli “ye bole ki, waha vaani madam ki jaan ko bahut khatra hai. Mai to abhi ye bhi nahi kah sakta hu ki, wo waha se jinda wapas laut kar aa payegi bhi ya nahi aa payegi. Is samay mujhe unki salamati ki fikar sata rahi hai.”

“Iske bad pata nahi, dusri taraf se kya kaha gaya ki, in ne fir se us par gussa karte huye kaha ki, abe tu nahi janta ki, wo kitni badi pagal hai. Mera paala roj unse padta hai. Mai hi janta hu ki wo kitni badi pagal hai.”

“Unse bada pagal to maine aaj tak apni jindagi me koi dusra nahi dekha. Unhe na to apni jaan ki kabhi koi fikar rahti hai aur na hi wo samne wale ki jaan lene me jara bhi hichakti hai.”

“Abhi bhi wo kuch aisa hi pagalpan karne me lagi huyi hai. Yaha kal ke baare me soch soch kar hum sabki jaan par bani huyi hai aur wo hai ki, aaram se apne parivar ke sath shopping karne me lagi huyi hai.”

“Mai abhi tumhe khul kar kuch bhi nahi bata sakta hu. Bas tum itna samajh lo ki, wo jindagi aur maut ka khel khelne mumbai ja rahi hai. Isliye abhi tum unko bilkul bhi pareshan mat karo aur is kaam ko apne hi star par nipta lo.”

“Iske bad ye us aadmi ko apni baat samjhate huye darwaje se thoda door chale gaye. Jis vajah se mujhe inki baat sunayi dena band ho gayi. Lekin inki utni si hi baat sunkar, mai bahut jyada dar gayi thi.”

“Isliye fir mai aapse jaldi ghar wapas chalne ki jid karne lagi thi. Taki mai ye baat bhaiya ko bata saku. Lekin mujhe bhaiya ko apni baat batane ka mauka hi nahi mil pa raha tha.”

“Mai jab bhaiya ko ye baat batane aayi thi to, bhaiya so rahe the. Mai bhaiya ko jagane hi wali thi ki, keerti didi aa gayi. Un ne kaha ki, wo aaj bahut thaka hua hai. Use abhi pareshan mat karo, use thoda so lene do.”

“Mujhe bhi keerti didi ki ye baat sahi lagi aur mai niche aakar baith gayi. Tabhi mujhe mummy ne saxena uncle ke yaha bhej diya aur waha mujhe aapke IB officer banne wali baat ka bhi pata chal gaya.”

Itna bol kar ami chup ho gayi. Lekin ami ki ye baat khatam hote hi, vaani didi ne ami ko apni god se utara aur uth kar khadi ho gayi. Lekin ab wo bahut jyada gusse me lag rahi thi.

Wo aniruddha ke samne aakar khadi ho gayi aur use gusse me ghoor kar dekhne lagi. Vaani didi ko gusse me dekh kar, aniruddha ki to halat hi kharab ho gayi. Wahi ami ne fauran aniruddha ka bachav karte huye vaani didi se kaha.

Ami boli “didi, mai isi vajah se aniruddha uncle ki ye baat aapko batana nahi chahti thi.”

Ami ki baat sunkar vaani didi ne ami ko samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “betu, tum jitna soch rahi ho, ye baat itni bhi chhoti nahi hai. Tum soch rahi ho ki, mai aniruddha se mujhe pagal kahne wali baat se naraj hu to, aisi koi baat nahi hai.”

“Tum sab mujhe pagal kaho, sanki kaho ya hitler kaho. Ye tum logon ki apni soch hai. Mujhe tum logon ki is soch se koi farak nahi padta hai aur mai in sab baton ki taraf dhyan bhi nahi deti hu.”

“Kyoki mai jo hu, jaisi bhi hu, sirf apne liye hu, apne desh ke liye hu aur apne parivar ke liye hu. Mujhe tum logon ke kuch bhi kahne se koi farak nahi padta hai aur na hi is se mere swabhav me koi farak padne wala hai.”

“Mai kal bhi buri thi, aaj bhi buri hu aur kal bhi buri hi rahugi. Mujhse kisi achchai ki ummid karna hi bekar hai. Mai apne parivar aur desh ki suraksha se jude mamle me jara bhi laparwahi bardasht nahi karti hu.”

“Lekin aaj aniruddha jaise kabil officer ne ek public place par kisi ke sath phone par bahut hi khufiya jaankari sajha karne ki galti ki hai. Isne ye jaankari kisi galat hathon me jaane par iske anjam ke baare me jara bhi nahi socha.”

“Yadi iski ye jaankari teri jagah kisi galat hathon me chali gayi hoti to, is se humare parivar ya humare desh ko bhi bahut bhari nuksan pahuch sakta tha. Iski ye harkat iski bahut badi laparwahi ko dikhati hai.”

“Mai iski is galti ko hargij maaf nahi kar sakti aur na hi apne parivar ki suraksha ko lekar iske upar bharosa kar sakti hu. Ise iski is galti ki saza jarur milegi aur iski saza yahi hai ki, ye aaj se mere parivar ki suraksha ka kaam nahi dekhega.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi, aniruddha unse maafi mangne laga. Lekin vaani didi uski is baat ko lekar bahut gusse me thi aur use maaf karne ko taiyar nahi thi. Ye dekh kar chhoti maa ne unhe samjhate huye kaha.

Chhoti maa boli “vaani beta, maim anti hu ki. Anirddha ne is kaam me thodi laparwahi dikhayi hai. Lekin ye itni badi galti bhi nahi hai ki, ise maaf na kiya ja sake. Mai chahti hu ki, tum aniruddha ko maaf kar do.”

Lekin vaani didi chhoti maa ki bhi ye baat manne ko taiyar nahi thi. Un ne chhoti maa ko taka sa jabab dete huye kaha.

Vaani didi boli “mausi, aap chup hi rahiye. Aap nahi samajh sakti ki anuruddha ki is galti ke parinaam kitne ghatak ho sakte the. Mai aniruddha ki is galti ko hargij maaf nahi karugi. Aap mere bich me bilkul mat boliye.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, chhoti maa chup hokar rah gayi. Mai vaani didi ki bahut ijjat karta tha aur unke swabhav ko bhi achi tarah se janta tha. Fir bhi unka chhoti maa se is tarah se baat karna mujhe acha nahi laga tha.

Lekin mai chhoti maa aur vaani didi ke rishte ki gahrayi ko bhi bahut ache se janta tha. Wo dono do saheliyon ki tarah hi thi aur ek dusre ki baton ka kabhi bura nahi manti thi.

Ek tarah se humare aur vaani didi ke ghar me chhoti maa hi ek aisi thi. Jo thoada bahut vaani didi ke upar gussa kar leti thi. Unke siwa kabhi kisi ko maine vaani didi ke upar gussa karte nahi dekha tha.

Un dono ke bich huyi kisi tu-tu mai-mai me aksar bich me bolne wala hi bura banta tha. Anuradha mausi aur sukeerti bua (vaani didi ki mummy) bhi inki kisi baat ke bich me bolne se bacha karti thi.

Ab sukeerti bua ka naam aaya hai to, mai unse judi ek baat aur bhi bata deta hu ki, keerti ka naam sukeerti bua ne hi rakha tha. Ek tarah se keerti ka naam sukeerti bua ke naam se hi nikal kar aaya tha.

Isliye keerti aur sukeerti bua ka naam aapas me kaafi milta julta hua najar aata tha. Bad me keerti ke naam se hi “K” lekar kamal ka naam rakha gaya tha. Khair is baare me fir kabhi furast me baat karege.

Mujhe us samay vaani didi ka chhoti maa se aise baat karna acha to nahi laga tha. Lekin unke rishte ki gahrayi ko samajhte huye maine vaani didi ki is baat ko andekha kar diya tha.

Lekin shayad abhi ami vaani didi aur chhoti maa ke rishte ki is gahrayi ko ache se nahi samajhti thi. Isliye wo vaani didi ki is baat ko andekha na kar saki. Usne vaani didi ki is baat ko sunne ke bad vaani didi ko dhamkate huye kaha.

Ami boli “didi, abhi ke abhi mummy ko apni galti ke liye sorry boliye. Warna mai sabke samne aapki bhi pol khol ke rakh dugi.”

Ami ki is baat ne hum sabko chauka kar rakh diya. Vaani didi se is tarah se baat karne ki himmat kisi me nahi thi. Kabhi kabhi chhoti maa vaani didi ko daant jarur laga deti thi.

Lekin un ne bhi kabhi ami ki tarah se vaani didi ko kisi baat ke liye dhamkaya nahi tha. Ami ne to aaj jaise har ek baat par dhamake karte rahne ki kasam kha ke rakhi thi.

Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, ab meri chhoti bahan kaun sa naya bomb fodne wali hai. Idhar chhoti maa ne ami ko vaani didi se is tarah se badtamiji karte dekha to, use daant lagate huye kaha.

Chhoti maa boli “ami, ye kya badtamiji hai. Kya apni badi bahan ke sath is tarah se baat ki jati hai.”

Ye kahte huye chhoti maa ami ko buri tarah se fatkarne lagi. Lekin aaj shayad vaani didi ami par kuch jyada hi meharban thi. Un ne ami ki is harkat ko najar andaz to nahi kiya. Lekin chhoti maa ka gussa shant karate huye kaha.

Vaani didi boli “mausi, aap jara shant rahiye. Mujhe bhi to sunne dijiye ki, ye meri kaun si pol kholna chahti hai.”

Chhoti maa ko shant karwane ke bad, vaani didi ne ek baar fir ami ke samne aakar ghutno ke bal baithte huye kaha.

Vaani didi boli “haan, ab bol. Tu sabke samne meri kis pol ko kholne ki dhamki de rahi hai.”

Vaani didi ko apne samne dekh kar bhi ami ke tevar nahi badle the. Wahi keerti ne jab vaani didi ko is tarah se ami se sawal karte dekha to, dhire se mere kaan me kaha.

Keerti boli “lagta hai ki, aaj tum dono bhai bahan ne pura ka pura jahaj dubane ki hi kasam khayi hai.”

Keerti ki ye baat sunkar mai use ghoor kar dekhne laga. Keerti ne bade hi dhire se ye baat mujhse kahi thi. Lekin is samay neha bhi uske pas hi khadi thi aur wo bhi keerti ki ye baat sun chuki thi. Isliye usne dhire se keerti se puchha.

Neha boli “tum kahna kya chahti ho.”

Keerti boli “pahle to iski vajah se hum sab vaani didi ke gusse ka shikar ban gaye. Yaha tak ki is samay apne ghar me baitha hua mehul tak vaani didi ke gusse se nahi bach paya.”

“Ab is se jo kasar baki rah gayi thi, wo ami puri karne me lagi hai. Us ne pahle vaani didi ka raz fash kiya uske bad aniruddha ko bhi is me shamil karte huye use bhi duba diya.”

“Ab usne ek baar fir se vaani didi ka number laga diya hai. Ab is baar wo koi naya bomb fod kar ek sath do teen logon ko le dubegi ya fir wo is baar sidhe vaani didi ko hi dubane wali hai.”

Keerti ki baat sunkar, neha dhire dhire hasne lagi. Un logon ko aise samay me bhi masti karte dekh kar, maine dono par gussa karke unhe chup karaya aur wapas vaani didi ki taraf dekhne laga.

Vaani didi ami se sawal kar rahi thi. Lekin ami bas unhe dekhe ja rahi thi. Ye dekh kar vaani didi ne apne sawal ko dohrate huye kaha.

Vaani didi boli “tu bolti kyo nahi. Jara mujhe bhi to bata ki, tu meri aisi kuan si pol janti hai. Jiske bal par tu mujhe is tarah se dhamka rahi hai.”

Vaani didi ki baat sunkar, ami ne dhire se apna muh kholte huye kaha.

Ami boli “jis tarah maine chhup kar commissioner uncle aur aniruddha uncle ki aapke baare me chal rahi baten suni thi. Usi tarah maine bua ji aur keerti didi ke bich aapke baare me chal rahi ek bahut badi baat suni thi.”

Ami ki ye baat sunte hi, vaani didi ne palat kar ek najar keerti ki taraf dekha aur fir wapas ami ki taraf dekhne lagi. Wahi jab neha ne ami ke muh se keerti ka naam suna to, usne apne muh par hath rakh kar apni hansi rokne ki koshish karte huye dhire se keerti se kaha.

Neha boli “ami is baar kisi aur ko nahi, balki tumko hi le dubi hai.”

Neha ki ye baat sunkar, mujhe bhi hansi aane lagi aur mai bhi apni hansi rokne ki koshish karne laga. Ye dekh kar keerti ne ami ke upar apna gussa nikalte huye kaha.

Keerti boli “yadi isne kisi baat me mera ulta sidha naam lekar mujhe fasaya to, mai bad me ise chhodugi nahi.”

Idhar keerti ami ke upar gussa karne me lagi thi. Udhar vaani didi ne ami ke samne apna agla sawal dohrate huye kaha.

Vaani didi boli “tune mere kaun si badi baat suni hai.”

Vaani didi ki is baat par ami ke chehre par muskurahat aa gayi aur usne vaani didi ka majak udate huye kaha.

Ami boli “mujhe pata chal gaya hai ki, aapko kab aur kisne patak patak kar bahut maara tha.”

Ye kah kar ami khilkhila kar hasne lagi. Lekin ami ke muh se ye baat sunte hi vaani didi ne fauran aage bad kar ami ke muh par apna hath rakh kar uska muh band kar diya.

Lekin wo khud ho hasne se nahi rok payi. Un ne ami ko khud se chiptate huye badi jor se hanste huye kaha.

Vaani didi boli “oye oye Koi To Rok Lo ise, meri chhoti bahan to mujhse bhi badi jasus ho gayi hai.”

Ye kah kar vaani didi bahut jor se khilkhila kar hasne lagi. Keerti aur chhoti maa ko bhi shayad unki is hansi ka matlab samajh me aa gaya tha. Isliye wo bhi vaani didi ke sath hasne lagi.

Ye meri jindagi me pahla mauka tha. Jab mai vaani didi ko kisi ke sath itna jyada masti karte huye dekh raha tha ya kisi baat par unko dil khol kar thahake lagate huye dekh raha tha.

Hum sabko unki is hansi ka karan to nahi pata tha. Lekin unko ami ke sath is tarah se khul kar masti karte dekh kar, hum sabke chehre par bhi khud-ba-khud hansi thirakne lagi thi.
Reply
09-11-2020, 02:24 PM,
RE: MmsBee कोई तो रोक लो
{Update - 249}
____________________________

Vaani didi ki is baat par ami ke chehre par muskurahat aa gayi aur usne vaani didi ka majak udate huye kaha.

Ami boli “mujhe pata chal gaya hai ki, aapko kab aur kisne patak patak kar bahut maara tha.”

Ye kah kar ami khilkhila kar hasne lagi. Lekin ami ke muh se ye baat sunte hi vaani didi ne fauran aage bad kar ami ke muh par apna hath rakh kar uska muh band kar diya.

Lekin wo khud ko hasne se nahi rok payi. Un ne ami ko khud se chiptate huye badi jor se hanste huye kaha.

Vaani didi boli “oye oye Koi To Rok Lo ise, meri chhoti bahan to mujhse bhi badi jasus ho gayi hai.”

Ye kah kar vaani didi bahut jor se khilkhila kar hasne lagi. Keerti aur chhoti maa ko bhi shayad unki is hansi ka matlab samajh me aa gaya tha. Isliye wo bhi vaani didi ke sath hasne lagi.

Ye meri jindagi me pahla mauka tha. Jab mai vaani didi ko kisi ke sath itna jyada masti karte huye dekh raha tha ya kisi baat par unko dil khol kar thahake lagate huye dekh raha tha.

Hum sabko unki is hansi ka karan to nahi pata tha. Lekin unko ami ke sath is tarah se khul kar masti karte dekh kar, hum sabke chehre par bhi khud-ba-khud hansi thirakne lagi thi.

Kuch der tak vaani didi ami ko khud se chiptaye, aise hi hansti rahi. Fir jab unki hansi thami to, ami ne unse kaha.

Ami boli “didi, aapne aniruddha uncle ko unki galti ke liye maaf kar diya na.”

Ami ki ye baat sunkar, vaani didi ne ami ko samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “betu, abhi tu is baat ki aehmiyat samajhne ke liye bahut chhoti hai. Lekin tu itna to janti hi hogi ki, police ke khabri har jagah par rahte hai.”

Ami boli “haan, mujhe is baare me malum hai. Maine bahut si movie me bhi unhe dekha hai.”

Vaani didi boli “tab to tune movie me ye bhi dekha hoga ki, bahut se police wale bhi gunde aur mujriom ke sath mile rahte hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, ami ne apni bhohen sikodte huye kaha.

Ami boli “haan, maine ye bhi dekha hai. Lekin mujhe wo police wale bilkul bhi ache nahi lagte.”

Ami ki ye baat sunkar, vaani didi ne use samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “lekin betu, asal jindgi me bhi aisa hi kuch hota hai. Jaise gunde badmashon ke bich me police ke khabri hote hai. Aise hi police ke bich me bhi gunde badmashon ke khabri hote hai.”

“Jo jara se paise aur power ke lalach me un gunde badmashon ko humari khabar pahuchate rahte hai. Jisse wo gunde badmash humse sawdhan ho jate hai aur hum unhe pakadne me nakam ho jate hai.”

“Aniruddha us samay phone jo baten kar raha tha. Wo bahut hi jyada gupt baten thi. Un baton ki gopniyata bhang hone se na sirf mujrim mere hath se bach kar nikal sakte hai, balki bahut saare logon ki jaan bhi musibat me pad sakti hai.”

Ye kah kar vaani didi ami ka chehra dekhne lagi. Shayad wo ami ke agla sawal puchhne ka intejar kar rahi thi. Us samay mai keerti aur neha teeno aas pas hi khade huye the. Neha ne vaani didi ki ye baat suni to, dhire se budbudaya.

Neha boli “khud karen to, chamatkar aur dusra kare to balatkar.”

Neha ki ye baat sunkar, keerti gusse me use ghoor kar dekhne lagi. Neha shayad nisha bhabhi ko khalid ki khabar dene ki vajah se vaani didi ko ye taana de rahi thi. Waise neha ki ye baat bilkul bhi galat nahi thi.

Keerti bhale hi vaani didi ko hitler manne se inkar karti ho. Lekin mai aur mehul is baat ko manne se kabhi inkar nahi kar sakte the. Ye alag baat thi ki, mai is baat ko kabhi kahta nahi tha aur mehul kahne se kabhi chukta nahi tha.

Vaani didi sach me puri hitler thi. Wo jo niyam dusro ke liye lagu karti thi. Wo niyam unke khud ke upar kabhi lagu hi nahi hote the. Unke niyam dusro ke liye alag the aur khud ke liye alag the.

Kisi baat me kisi ki safayi sunna unki aadat me hi nahi tha. Na hi wo khud kabhi kisi baat ke liye kisi ke samne koi safayi pesh karti thi. Wo apni kisi baat ki kisi ko vajah batane ki bhi koi jarurat nahi samajhti thi.

Neha ki ye baat sunne ke bad keerti to use kha jaane wali narjron se dekh rahi thi. Lekin mai is baat ko sunkar, muskura kar rah gaya. Wahi ami ne vaani didi ki baat sunkar, kuch der sochne ke bad kaha.

Ami boli “lekin didi, ye to galat hai. Police walon ko aisa nahi karna chahiye. Sabhi police walon ko aapki tarah hi imandar hona chahiye.”

Ami ki baat sunkar, neha gaur se vaani didi ko dekhne lagi. Shayad wo ami ki imandari wali baat par vaani didi ka jabab sunna chahti thi. Wahi keerti neha ki is harkat ko gaur se dekh rahi thi.

Use shayad neha ki vaani didi ki imandari par shaq karne wali ye harkat pasand nahi aa rahi thi. Mai bas khamoshi se neha aur keerti ki in harkton ko dekhne me laga hua tha. Wahi vaani didi ne ami ki ye baat sunne ke bad us se kaha.

Vaani didi boli “tu thik kahti hai. Lekin sirf police ko hi nahi, balki har kisi ko apna kaam imandari se karna chahiye. Magar aaj kal aisa hota nahi hai. Log jara se paison ke lalach me apna iman bech dete hai.”

“Rahi meri baat to, maine kabhi apne farz ke sath beimani nahi ki hai. Lekin ek do baar maine bhi jaan bujh kar kuch mujrimo ko apne hath se bach nikalne ka mauka jarur diya hai.”

Hum sab vaani didi aur ami ki baten gaur se sun rahe the. Unki is baat ko sunte hi, ami ne puchha.

Ami boli “lekin kyo didi. Jab aapko pata tha ki, wo mujrim hai to, fir aapne unhe bach kar kyo jaane diya.”

Ami ki ye baat sunkar, vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “aisa isliye, kyoki bhale hi wo kanun ke mujrim the. Lekin un ne kabhi insaniyat ko sharmsar nahi kiya tha. Isliye mujhe unhe apne hath se bach nikalne ka mauka dena pada tha.”

“Ab mere aisa karne ki vajah chahe jo bhi rahi ho. Lekin mere in faislon ko kabhi koi sahi nahi kah sakta. Fir bhi mujhe apne kisi bhi faisle ke liye koi pachhtawa nahi hai aur na hi mai unhe galat manti hu.”

“Kyoki jindagi me kuch faisle hume apne dil dimag se nahi, balki apne zamir se lena padte hai. Apne zamir se liye gaye faisle kabhi galat nahi hote hai aur unke liye hume kabhi pachhtana nahi padta hai.”

Vaani didi ne ami ko samjhate samjhate anjane me hi neha ko uske taane dene wali baat ka jabab de diya tha. Vaani didi ka ye jabab sunte hi, keerti ne neha ke taane ka jabab use taane me dete huye kaha.

Keerti boli “tumhe samajh me aaya ki, kya hai chamatkar aur kya hai balatkar, ya fir vaani didi se bol kar, tumhe dikha du hahakar.”

Keerti ki ye baat sunkar, itne sanjida mahol me bhi mere chehre par hansi aa gayi Wahi dusri taraf ami ne jab vaani didi ki ye baat suni to, unko unki baat ke bich me hi tokte huye puchha.

Ami boli “didi, ye zamir kya hota hai.”

Ami ki is baat ko sunkar, keerti ne us par haste huye kaha.

Keerti boli “buddhu, dil ki aawaj ko hi zamir kahte hai.”

Lekin vaani didi ne keerti ki is baat ko kaatte huye kaha.

Vaani didi boli “nahi, tum galat kah rahi ho. Dil ki aawaj ko zamir nahi kahte hai. Dil to hume bahkata hai. Jo baat hume achi lagti hai. Hume usi ki taraf kheech kar le jata hai.”

“Zamir humari aatma ki aawaj ko kahte hai aur humari aatma ki aawaj kabhi galat nahi hoti hai. Jo hume batati hai ki, humare liye kya sahi hai aur kya galat hai. Isliye hame hamesha apne zamir ki sunna chahiye.”

“Khair is baare me mai kabhi tumhe fursat se samjhaugi. Abhi meri flight ka samay ho raha hai. Ab mujhe yaha se nikalna chahiye. Warna meri ye flight bhi chhut jayegi.”

Ami boli “lekin didi, abhi tak aapne meri dono baton ka koi faisla nahi kiya hai. Na to aap bhaiya ko apne sath le jaane ko taiyar huyi hai aur na hi aapne abhi tak aniruddha uncle ko maaf kiya hai.”

Ami ki ye baat sunkar, vaani didi kuch sochne lagi aur fir un ne ami ke samne apne hathiyar daal kar, uske sath saudebaji karte huye kaha.

Vaani didi boli “acha meri maa, ek baat mai teri maan leti hu aur ek baat tu meri maan le. Mai teri baat maan kar aniruddha ko maaf kar deti hu aur tub hi meri baat maan kar punnu ko mere sath bhejne ki jid chhod de.”

Vaani didi ne to ami ki baat maan kar aniruddha ko maaf kar diya tha. Lekin ami ne unki baat manne ke liye unke samne shart rakhte huye kaha.

Ami boli “thik hai didi, mai aapki baat maan kar bhaiya ko aapke sath bhejne ki jid chhod deti hu. Lekin iske liye aapko meri do sharten manna hogi.”

Ami ki ye baat sunkar vaani didi ne thoda chaukte huye kaha.

Vaani didi boli “ye kya majak hai. Maine teri ek baat maani to hai. Ab tu meri ek baat manne ke liye mere samne do shart aur rakh rahi hai. Ye sarasar galat baat hai.”

Magar ami ne apni ye jid nahi chhodi aur apni baat ko dohrate huye kaha.

Ami boli “nahi, yadi aap chahti hai ki, mai bhaiya ko aapko sath bhejne ki apni jid chhod du to, iske liye aapko meri dono sharten manna hi padegi.”

Vaani didi ko ab jaane me deri ho rahi thi. Isliye un ne ami se apna pichha chhudate huye kaha.

Vaani didi boli “chal thik hai. Mai teri sharten manne ko taiyar hu. Ab tu jaldi se apni dono sharte bol de. Mujhe sach me ab der ho rahi hai.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi, ami ne fauran unke samne apni shart rakhte huye kaha.

Ami boli “meri pahli shart hai ki, aap apni bullet proof jacket pahan kar hi apne kaam par jayegi aur meri is baat ko bilkul bhi halke se nahi legi.”

Ami ki ye baat sunkar vaani didi ke chehre par muskurahat aa gayi. Un ne aage bad kar, pyar se ami ko apne gale se laga liya aur fir uski is baat ki haami bharte huye kaha.

Vaani didi boli “chal thik hai. Mujhe teri ye shart manjur hai. Ab jaldi se apni dusri shart bhi bol de.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, ami apne gale me hath laga kar kuch talash karne lagi. Lekin jab use wo nahi mila to, usne nimi ki taraf dekh kar use apne pas aane ka ishara kiya.

Nimi ami se thodi hi duri par chhoti maa ke pas khadi thi. Aaj vaani didi ko gusse me dekh kar, wo kuch sahmi huyi aur shant si thi. Warna abhi tak to, usne na jaane kitni baar vaani didi aur ami ki baat ke bich me unhe tok diya hota.

Ami ka ishara pate hi, nimi fauran ami ke pas aa gayi. Ami ne dhire se uske kaan me kuch kaha. Jise sunkar nimi jet viman ki tarah teji se bhagti huyi upar chali gayi. Kuch der bad wo waise hi bhagti huyi niche aa gayi.

Lekin ab uske chehre par uski jani pahchani muskurahat bhi thi. Usne ami ke pas aakar apna hath uske samne kar diya. Uske hath me is samay ami ka golden locket tha.

Ye ek sarp aakar ka locket tha aur ye locket ami ko richa aunty ne bade hi pyar se diya tha. Asal me ami ki kundali me kaal-sarp yog tha. Jiske nidan ke liye richa aunty baar baar chhoti maa se kahti rahti thi.

Lekin chhoti maa chahte huye bhi iske nidan ke liye kuch kar nahi pa rahi thi. Fir ek baar richa aunty ka rimbakeshwar jana ho gaya aur un ne khud hi waha par ami ke kaal-sarp ke nidan ke liye pujan karwaya tha.

Usi samay un ne ami ke liye ye locket bhi liya tha. Ye locket dekhne me bahut sundar tha. Iske alawa is locket me richa aunty ki sharddha aur unka ami ke liye pyar chhupa hua tha.

Isliye ami ise hamesha apne gale me pahne rahti thi. Abhi ye ami ke gale me kyo nahi tha. Ye baat to sirf ami nimi hi janti thi. Lekin is samay iske ami ke gale me na hone se bada sawal ye tha ki, abhi ami ne ise kyo mangaya hai.

Shayad is samay meri tarah baki sabke man me bhi yahi sawal tha. Wahi ami ke hath me uska locket aate hi, usne wo locket vaani didi ki taraf badate huye kaha.

Ami boli “didi, meri dusri shart ye hai ki, aap is locket ko hamesha apne gale me daali rahegi.”

Ami ki ye baat sunkar vaani didi ne chaukte huye kaha.

Vaani didi boli “lekin betu, ye to tera locket hai. Richa aunty ne bade pyar se ise teri hifajat aur tarakki ke liye tujhe pahnaya tha. Ise aise kisi ko dena, bilkul bhi sahi nahi hai. Mai ise tujhse nahi le sakti hu.”

Lekin ami ne ek baar fir apni jid par adte huye kaha.

Ami boli “didi, aapne mujhse kaha tha ki, aap meri dono shart manegi. Ab aap apni baat se mukar rahi hai.”

Ami ki baat sunkar, vaani didi ne use samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “betu, mai kisi baat se nahi mukar rahi hu. Lekin is baat ko tu bhi achi tarah se janti hai ki, richa aunty ne ye locket tujhe kyo diya tha. Fir tu mujhse aisi jid kyo rahi hai.”

Ami boli “didi, richa aunty ne ye mujhe meri hifajat aur tarakki ke liye diya tha. Lekin aaj mujhse jyada aapko iski jarurat hai aur mai kaun sa aapko hamehsa ke liye de rahi hu. Aap jab mumbai se wapas aana to, ye mujhe wapas lauta dena.”

Aakhir me ami ki is jid ke aage bhi vaani didi ko jhukna hi pad gaya. Ami khud apne hathon se vaani didi ko wo locket pahnane lagi. Ye dekh kar keerti ne use chhedte huye kaha.

Keerti boli “haye ri kismat. Mai aur nimi jis locket ko hathiyane ke liye na jaane kitne papad bel chuke hai. Aaj wo locket khud hi chal kar vaani didi ke gale me ja raha hai.”

Keerti ki baat sunkar, hum sab hasne lage. Lekin vaani didi ne ghoor kar keerti ko dekha aur use ami ko na chhedne ka ishara kiya. Vaani didi ko ishara karte dekh kar keerti muskurate huye apne muh par ungli rakh kar khadi ho gayi.

Keerti ki ye harkat dekh kar, vaani didi ke chehre par bhi muskurahat aa gayi. Ami ke hathon se locket pahan lete ke bad, vaani didi ne ami nimi ko apne gale se laga liya.

Lekin keerti ki shararat ki vajah se unke chehre par abhi bhi muskan bani huyi thi. Ami nimi ko thoda dular karne ke bad, wo muskurati huyi keerti ke pas aa gayi. Is samay keerti ke agal bagal mai aur neha khade huye the.

Vaani didi muskurati huyi keerti ke pas aayi aur mere sar par pyar se chapat lagakar, aage bad kar keerti ko apne gale se laga liya. Vaani didi ki ye chapat khakar, mai apne sar ko sahlate huye, unhe keerti se milte huye dekhne laga.

Lekin meri samajh me ye baat nahi aa rahi thi ki, pyar to unko keerti ke upar aaya tha. Fir un ne bevajah mere sar par chapat kyo laga di hai. Yadi ye chapat vaani didi ki jagah kisi aur ne lagayi hoti to, shayad mujhe khushi bhi huyi hoti.

Lekin vaani didi ki to pyar ki chapat khakar bhi chaithi laal ho jati thi aur mai apne sar ko sahlate rahne ke siwa kuch nahi kar pata tha. Lekin ye to mere hisse ki chapat bhi nahi thi.

Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, aaj ye vaani didi kya rahi hai. Pahle jab keerti ke upar gussa aaya to, mujhe peet kar rakh diya tha aur ab keerti ke upar pyar aaya to, uske hisse ki chapat mujhe laga di thi.

Vaani didi ka ye pyar bilkul sher ki sawari karne ke barabar tha. Jaise sher ki sawari karne wale ko kisi se koi khatra nahi rahta hai. Shiway us sher ke, jiski wo sawari kar raha hai.

Bilkul wahi haal vaani didi ke pyar ka bhi tha. Vaani didi ke sath rahne wale ko unke siwa kisi ka koi khatra nahi rahta tha. Lekin is baat ka khatra use hamesha hi bana rahta tha ki, pata nahi wo kab kis baat par naraj ho jaye.

Magar fir haal to unka gussa ami ki vajah se hum sab par shant hi samajh me aa raha tha. Lekin ye sochna shayad meri bhool thi. Un ne keerti se gale milne ke bad bade hi pyar se us se kaha.

Vaani didi boli “punnu ki tarah maine tere liye bhi kuch socha hai. Mai chahti hu ki, tu bhi meri tarah majbut bane. Isliye tu kal hi kisi ache se karate school me jakar apna naam likhwa le.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, keerti hairani se unhe dekhne lagi. Ek tarah se vaani didi ne bade hi pyar se keerti ko uske kiye ki saza suna di thi. Lekin neha is baat ko samajh nahi payi aur jor jor se hasne lagi.

Lekin vaani didi ne neha ki is harkat par koi gussa nahi kiya aur muskurate huye uski taraf bad gayi. Un ne neha ko bhi pyar se gale laga liya aur us par bhi apna pyar lutate huye kaha.

Vaani didi boli “tum fikar mat karo. Mai mumbai jakar riya ya barkha se kah kar tumhara naam bhi akki sir ki karate class me likhwa dugi.”

Vaani didi ki ye baat sunkar neha fati fati aankhon se vaani didi ko dekhne lagi. Fir usne haklate huye vaani didi se kaha.

Neha boli “lekin didi, aapko takleef karne ki kya jarurat hai. Mai khud hi mumbai jaane ke bad kisi achi si karate class me apna naam likhwa lugi.”

Lekin vaani didi ne neha ki baat katte huye kaha.

Vaani didi boli “isme takleef kaisi, keerti ki tarah tum bhi meri bahan hi ho aur tumhare liye bhi mera koi farz banta hai. Tumko kisi bhi aise waise karate class me jaane ki koi jarurat nahi hai. Tum akki sir ki class me hi jana.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, neha kuch jyada hi pareshan ho gayi thi. Usne vaani didi ko samjhane ki koshish karte huye kaha.

Neha boli “lekin didi, maine suna hai ki, aaj kal akki sir ke pas bilkul samay nahi rahta hai. Wo aaj kal kisi ko kuch sikhate hi nahi hai. Isliye unke pas jaane ka koi matlab hi nahi hai.”

Lekin vaani didi ne neha ki is baat ko bhi kaatte huye kaha.

Vaani didi boli “tum iski fikar karne ki jarurat nahi hai. Mai akki sir se bolugi to, wo tumhe sikhane ke liye kabhi mana nahi karege aur mere khayal se sirf mumbai hi nahi, pure india me akki sir se behtar koi nahi hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, neha ke to pasine chhut gaye. Lekin ab us se kuch bhi kahte nahi bana. Neha se milne ke bad, vaani didi chhoti maa ke pas aa gayi aur unse gale milne lagi.

Iske bad un ne mujhe bhi apne gale se lagate huye kuch baten samjhayi. Fir wo aniruddha se chalne ke liye kahne lagi. Jiske bad hum sab vaani didi ke sath unko chhodne bahar aa gaye.

Vaani didi ek baar fir sabse mili aur iske bad, wo gaadi me baith kar, aniruddha ke sath airport ke liye nikal gayi. Vaani didi ke jaane ke bad hum sab ghar ke andar aa gaye. Ab raat ke 11:30 baj chuke the.

Isliye chhoti maa hum sabse sone jaane ko kahne lagi. Kal neha chanda mausi ke kamre me ruki huyi thi. Lekin aaj chanda mausi ghar aa gayi thi aur apne kamre me hi aaram kar rahi thi. Ye dekh kar chhoti maa ne neha se kaha.

Chhoti maa boli “neha beta, tum kal chanda mausi ke kamre me ruki thi. Lekin aaj mausi aa gayi hai aur apne kamre me hi aaram kar rahi hai. Aise me tumhara unke sath rukna sahi nahi hoga.”

“Unke bagal me ek kamra hai. Wo punnu ke bachpan ka kamra hai. Tum chaho to, us kamre me so sakti ho ya fir upar ami nimi ya keerti ke sath bhi so sakti ho. Tumhe jaha sahi lage, tum waha so jana.”

Itna kah kar chhoti maa keerti ko neha ke baare me jata kar apne kamre me chali gayi. Asal me chhoti maa aur chanda mausi dono ki hi aadat subah jaldi uthne ki thi. Isliye wo raat ko jara jaldi hi so jaya karti thi.

Chhoti maa ke neha ke upar keerti ke pas so jaane ki baat sunkar mai thoda soch me pad gaya. Kyoki yadi neha keerti ke pas soti to, fir keerti ke raat ko mere pas aane ki ummid kam hi thi.

Jabki aaj keerti ki tabiyat sahi thi aur vaani didi bhi ghar me nahi thi. Aise me yadi keerti chahti to, wo mere pas bhi so sakti thi. Lekin chhoti maa ne neha ke keerti ke sath sone ki baat kah kar mere saare armano par pani fer diya tha.

Lekin abhi neha ka koi jabab na milne ki vajah se abhi bhi ummid ki ek kiran baki thi. Kyoki uske pas sone ke liye teen vikalp maujud the. Jinme se do mere hit me hi the.

Pahla to, wo niche mere bachpan wale kamre me hi so sakti thi aur dusra wo ami nimi ke sath unke kamre me bhi so sakti thi. Uske in dono jagah me se kisi bhi jagah sone par mujhe koi pareshani nahi thi.

Lekin yadi wo keerti ke sath sone ki baat par haami bharti hai to, ye jarur mere liye pareshani wali baat thi. Isliye mai badi becheni se neha ke is baat ka jabab dene ka intejar kar raha tha.

Keerti bhi chhoti maa ki is baat ko sunne ke bad kuch pareshan si lag rahi thi. Kyoki wo chahte huye bhi neha ko apne pas sone ke liye mana nahi kar sakti thi. Lekin fir na jaane kya soch kar usne ami nimi se kaha.

Keerti boli “tum dono abhi tak yahi par kyo khadi ho. Jao aur jakar so jao.”

Keerti ki is baat ko sunkar ami ne kaha.

Ami boli “didi, hum log to neha didi ke jabab ka intejar kar rahe hai. Taki wo yadi humare sath sone ko taiyar ho to, hum unhe apne kamre me le jaye.”

Ami ki baat sunkar, neha muskura kar rah gayi. Lekin jab maine ami ke bolne ke bad nimi ko kuch bhi bolte nahi dekha to, mujhe is baat ki bahut jyada kami akharne lagi.

Aamtaur par aisa hota nahi tha. Ami ke kuch bhi bolte hi, nimi khud ko ami se aage dikhane ke liye, us se bhi jyada bad chad kar bol diya karti thi. Jise sunkar sab hasne lagte the.

Nimi ki ye baten bhale hi fijul aur besir pair ki baten hoti thi. Lekin fir bhi uski ye baten sabka dil chura liya karti thi. Isliye is samay mujhe ami se jyada nimi ke chhakke lagane ka intejar tha.

Taki uski baat sunkar, neha khushi khushi unke kamre me sone ke liye taiyar ho jaye. Nimi se wahi chhakka padwane ke liye maine usko uksate huye kaha.

Mai bola “nimmo, neha yadi tere kamre me soyegi to, tu use pareshan to nahi karegi na.”

Mera itna kahna tha ki, nimi ki baton ki frontier mail chal nikli. Usne meri baat sunkar fauran apni safayi dete huye kaha.

Nimi boli “nahi bhaiya, mai neha didi ko bilkul bhi pareshan nahi karugi. Maine to neha didi ke sone ke liye bahut saari jagah bacha kar rakhi hai. Taki wo humare kamre me aaram se so sake.”

Nimi ka itna kahna tha ki, neha ne khilkhila kar hanste huye kaha.

Neha boli “nimi, abhi tu apne kamre me gayi hi kaha hai. Fir tune mere sone ke liye jagah kaise bacha kar rakh li.”

Neha ki is baat par nimi ne apni safayi dete huye kaha.

Nimi boli “didi, wo maine soch liya tha ki, mai aapke aur ami didi ke bich me sougi to, meri wali jagah aapke liye bach gayi na.”

Nimi ki baat sunkar, keerti ne bhi hanste huye kaha.

Keerti boli “lo neha, nimi ne apne kamre me tumhare sone ka pura intejam kar ke rakha hai. Ab use bata bhi do ki, tum kaha sone wali ho.”

Keerti ki is baat ko sunkar, neha ne bhi muskurate huye kaha.

Neha boli “ab jab nimi ne mere sone ke liye jagah bacha kar rakhi hai to, fir mai bhala kahi aur kaise so sakti hu. Mai ami nimi ke sath hi sougi.”

Neha ka ye jabab sunkar, maine shukun ki saans li. Wahi keerti ne neha ki baat sunne ke bad ami nimi se kaha.

Keerti boli “ab tum dono ne sun liya na ki, neha tumhare kamre me sone wali hai. Ab tum log apne kamre me jao. Hum abhi aate hai.”

Keerti ki baat sunkar ami nimi dono humare pas se chali gayi. Unke jaane ke bad keerti ne mujhse kaha.

Keerti boli “ab tum yaha kya kar rahe ho. Tum bhi jakar apne kal juhi didi ki shadi me jaane ki taiyari kar lo.”

Mera kaam to nimi bana kar ja chuki thi. Ab waise bhi mera waha rukna bekar hi tha. Isliye mai keerti ki baat sunkar apne kamre me aa gaya. Lekin keerti ne mujhe juhi didi ki shadi ki baat yaad dila kar gahri soch me daal diya tha.

Kamre me aakar maine night suit pahna aur fir let kar, aankh band karke juhi didi ke baare me sochne laga. Juhi didi ki shadi ke baare me sunkar, mujhe bahut bada jhatka laga tha.

Ye jhatka kisi bhi tarah se us jhatke se kam nahi tha. Jo mujhe keerti ki shadi pakki hone wali baat ko sunkar laga tha. Lekin tab keerti ki shadi wali baat jhuth nikal gayi thi.

Magar yaha juhi didi ki shadi wali baat ke jhuth nikalne ki koi ummid nahi thi. Kyoki kal isme shamil hone ke liye hum sab bhi jaane wale the. Mujhe to juhi didi ki shadi ki baat sunkar khush hona chahiye tha.

Lekin mai chahte huye bhi is baat se khush nahi ho pa raha tha. Juhi didi mere liye kya thi. Ye to mai khud bhi nahi janta tha. Magar itna jarur janta tha ki, un ne mujhe beshumar pyar diya tha.

Keerti se to meri mulakat kabhi kabhi hi hoti thi. Lekin juhi didi se to meri lambe samay tak roj hi mulakat hoti rahi thi. Kyoki pichhle saal tak wo mere hi school me thi.

Wo bhale hi mujhse do class aage thi. Lekin jis din se chhoti maa ne unhe mujhse milaya tha. Us din se wo roj school me mujhse mila karti thi. School me unki bahut si saheliyan thi.

Fir bhi wo lunch mere aur mehul ke sath hi kiya karti thi. Mehul ki tarah wo bhi aksar mere liye kuch na kuch lekar aaya karti thi. Jis vajah se humari dosti aur bhi jyada majbut ho gayi thi.

Keerti ki baji ki tarah juhi didi se bhi bilkul nahi banti thi. Fir bhi juhi didi keerti ke liye apne man me bilkul bhi mail nahi rakhti thi. Wo keerti se hamesha hans kar hi mila karti thi.

Juhi didi to bachpan se hi sabke samne bas ek hi baat ratti huyi aayi thi ki, wo badi hokar mujhse hi shadi karegi. Unki is baat ko lekar sabhi unka bahut majak udaya karte the.

Lekin mai is baat me hamesha unka hi sath deta tha aur kahta tha ki, mai bhi bada hokar juhi didi se hi shadi karuga. Yadi wo sach me bhi kabhi mere samne shadi ki baat rakhti to, mujhe bina soche samjhe iske liye haan hi kahna tha.

Magar aaj jab sach me hi wo kisi ke sath shadi karne ke liye ja rahi thi to, un ne mujhe hi is baat ki khabar dene ke layak nahi samjha tha. Mujhe to ab bhi yakin nahi aa raha tha ki, juhi didi mere sath aisa kar sakti hai.

Juhi didi ne mujhe itna jyada pyar diya tha ki, aaj unka ye parayapan mujhse sahan nahi ho raha tha aur mujhe bahut dard ho raha tha. Unki is baat ko soch soch kar mera dil rone ke liye kar raha tha.

Abhi mai juhi didi ki in baton me khoya hua tha ki, tabhi kamre ka darwaja khulne ki aawaj sunkar mai chaukte huye, apni aankh khol kar dekhne laga. Mere samne keerti aur neha khadi thi.

Mujhe is tarah se chaukte dekh kar, neha khilkhila kar hasne lagi. Wahi keerti ne mujhe kisi gahri soch me gum sa dekha to, usne na jaane kya soch kar ek shayari bolte huye kaha.

Keerti boli “Wo Raat Bhi Bade Dard Sitam Ki Raat Hogi.​
Jis Din Rukhsat Teri Barat Hogi.​
Ye Soch Kar Nind Se Jaag Jate Hai Hum.​
Kisi Gair Ki Bahon Me Meri Saari Kaynat Hogi.”​
Reply
09-11-2020, 02:25 PM,
RE: MmsBee कोई तो रोक लो
Sad
Reply


Possibly Related Threads…
Thread Author Replies Views Last Post
  Raj sharma stories चूतो का मेला sexstories 201 3,297,028 02-09-2024, 12:46 PM
Last Post: lovelylover
  Mera Nikah Meri Kajin Ke Saath desiaks 61 521,955 12-09-2023, 01:46 PM
Last Post: aamirhydkhan
Thumbs Up Desi Porn Stories नेहा और उसका शैतान दिमाग desiaks 94 1,149,896 11-29-2023, 07:42 AM
Last Post: Ranu
Star Antarvasna xi - झूठी शादी और सच्ची हवस desiaks 54 871,193 11-13-2023, 03:20 PM
Last Post: Harish68
Thumbs Up Hindi Antarvasna - एक कायर भाई desiaks 134 1,540,854 11-12-2023, 02:58 PM
Last Post: Harish68
Star Maa Sex Kahani मॉम की परीक्षा में पास desiaks 133 1,985,634 10-16-2023, 02:05 AM
Last Post: Gandkadeewana
Thumbs Up Maa Sex Story आग्याकारी माँ desiaks 156 2,794,632 10-15-2023, 05:39 PM
Last Post: Gandkadeewana
Star Hindi Porn Stories हाय रे ज़ालिम sexstories 932 13,507,781 10-14-2023, 04:20 PM
Last Post: Gandkadeewana
Lightbulb Vasna Sex Kahani घरेलू चुते और मोटे लंड desiaks 112 3,822,959 10-14-2023, 04:03 PM
Last Post: Gandkadeewana
  पड़ोस वाले अंकल ने मेरे सामने मेरी कुवारी desiaks 7 265,897 10-14-2023, 03:59 PM
Last Post: Gandkadeewana



Users browsing this thread: 6 Guest(s)