XXX Kahani अनौखा समागम अनोखा प्यार
01-02-2021, 01:36 PM,
#84
RE: XXX Kahani अनौखा समागम अनोखा प्यार
Update - 82

PREVIOUS -

Maine manu ka hath pakad kar apne se chipta liya,
Tabhi mujhe kisi ke kasmasane ki awaaz sunai di,
.
Maine aakhen khol ke dekha to maine chouk gaya.

FORWARD -

Kyonki meri bahon me lamia kasi hui thi, or chhutne ka prayas kar rahi thi,
Maine turant apni pakad dheeli chhod di, or wo bed se uthkar side me khadi ho gayi, or tez - tez sanse lene lagi.
.
Main - mujhe maaf kar dijiye,
main sapna dekh raha tha, jisme mujhe meri behen neend se jaga rahi thi, ye maine kisi galat irade se ya janbujhkar nahin kiya.
.
Lamia (apni sanso ko theek karte hue)- main to aapko uthane aayi thi,
Or aapke liye taza khoon layi thi,
Or aapne mujhe .....
(Kehte hue wo chup ho gayi)
.
Main - kyaa? Khoon.... Aapko to pata hai na ki main ye sab chizen nahin khata - peeta,
.
Lamia jo ab sambhal chuki thi, mere paas hi bed par baith gayi,
.
Lamia - kyon? Kyon nahin peete aap khoon? Duniya ka har shaitan khoon pita hai, mujhe to aap par shak ho raha hai, ki aap shaitaan hain bhi ya nahin, aapka khana bhi hamse bohot alag hai.
.
Main (zabarzasti haste hue)- aisi koi baat nahin hai, main to paidaishi shaitaan hun.
(Maine apni body dikhate hue kaha)
.
Jisse wo hasne lagi.
.
Lamia (haste hue)- achchha agar aap shaitaan hain to ye khoon pijiye.
(Usne ek khoon se bhara glass meri taraf badhate hue kaha)

Mera to vomiting karne ka dil karne laga, par maine control kiya, par meri aakhon se aansu nikal aaye,
Jo control karne ki vajha se nikle the.
Or maine uske hath se wo glass le liya.
.
Lamia - are aapki aakhon me ye aansu kyon aa gaye?
.
Main (daant bhichte hue) - pagli tumhara pyaar dekhkar.
.
Is baat se wo sharma gayi, or meri jhaten brown ho gayin, par marta kya na karta, tabhi mere dimaag me ek khurafati idea aaya, or maine magic se usko anaar ka juice bana diya,
Phir kya tha, ek hi ghuth me pi gaya.
.
Lamia - ye hui na baat, chalo aap tayyar ho jao, phir main aapko apni basti me ghumaungi.
.
Main - wo to theek hai magar ye batao ki toilet kidhar hai?
.
Lamia - toilet ka matlab?
.
Main - are matlab jahan poty - shoty karte hain.
.
Lamia - ye kya hota hai?
.
Main (man me) pencho, lagta hai ye sale shaitaan hagte nahin hain, or idhar mere pet me ghumer uth rahi hai.
.
Main - kuchh nahin tum jaao or tayyar ho jao, 1 ghante me chalte hain.
.
Wo ok keh kar chali gayi, or mujhe mere man me phir se anjalika ke khil khilakar hasne ki awaaz sunai di.
.
Main - ab tumhen kya hua.
.
Anjalika (haste hue)- main to isliye has rahi hun ki kahin pent me hi na nikal jaye hahahahaha.
.
Main (gusse se)- zyada hasi aa rahi hai? Abhi aaun vahin.
.
Anjalika (ekdam gusse se)- ye gussa kisi or ko dikhana, kyonki tumhari kartuten ham sab dekh rahe the,
Ye kuchh zyada hi ho raha hai.
Is davil girl se door raho varna achchha nahin hoga.
(Usne mujhe warning dete hue kaha)
.
Main - are par sab galti se hua hai.
.
Anjalika - haan saari galtiyan aap se hi to hoti hain.
.
Main - Hey! Bhagwan duniya me kisi ko shakki bivi mat dena.
.
Anjalika - haan haan theek hai, jaiyye ab, ham bhi chale breakfast karne
(Wo nakhre se TP khatam karte hue boli)
.
Main bhi magic se fresh ho liya or ek bath lekar tayyar ho gaya.
.
Aaj ka poora din to lamia ke sath ghumne - ghamne or sardar ke sath baat - cheet me nikal gaya.
Raat me maine magic se un dono ko non-veg khilaya, or khud malai kofte se dinner karke aadhi raat hone ka intzar karne laga.
.
Aadi raat se pehle hi lamia mere room me aayi.
.
Main - are lamia tum yahan? Is wakht?
.
Lamia - ji main soch rahi thi ki aaj bhi aapke sath chalun.
.
Main - dekho lamia main tumhen khatre me nahin daal sakta, isi liye mera akele hi jana behtar hoga.
.
Lamia - waise aap wahan jana kyon chahte hain?
.
Main - Mera ek dost jo us kaidkhane me pehra deta tha, ek din senapati ka anyay dekh kar unko ulta - sidha bol diya, to senapati ke adesh par usko vahin bandi bana liya gaya hai,
Jis vajah se uske ghar ke log pareshan hain, to main usko yahan se chhudane ke maksad se aaya hun.
.
Lamia - ye senapati bohot bura hai,
Iski vajah se mera bhai mara gaya
(Ye kehkar wo aakhon me aansu bhar lai)
.
Main - tumhara bhai? Kya hua tha usko?
.
Lamia - hamare kar (tex) na dene par bhai ne senapati ke khilaaf awaaz
uthaai thi, jis vajah se senapati ne usko or uske sathiyon ko marva dala,
Or sath me is basti valon par bhi bohot zulm dhaye.
.
Main (use gale lagate hue)- lamia main tumse vada karta hun, ek din main vapas aaunga, apni sena bana kar, or is senapati ko khatam kar dunga.
.
Lamia (mujhse alag hokar)- wapas aane se aapka kya matlab hai?
Kya aap chale jayenge.
.
Main - haan lamia mujhe jana hoga,
Sabhi ki pareshani door karna or sab ko khush - haal karna yahi to mera kaam hai.
Or mera karye hi meri pooja hai.
.
Lamia - aap sach me sab se alag ho.
Mujhe bhi apne sath le chaliye,
Main har kaam me aapka sath dungi.
.
Main - nahin lamia, ye nahin ho sakta, or waise bhi agar tum chali gayin to sardar ka dhiyan kon rakhega, tum hi to unka sahara ho.
.
Lamia meri baat se udaas ho gayi,
Or bed par baithkar chehra jhuka kar halke - halke rone lagi.
.
Main - main vada karta hun lamia main vapas zarur aaunga,
(Maine usko gale lagate hue kaha)
.
Lamia - main aapka intzar karungi.
.
Ab mera matha thanka ki kahin ye mujhse pyar to nahin karne lagi.
Ab mere aage do raste hain,
Ya to main yahan se nikal kar vapas palat kar na dekhun, ya phir raja ko bachane ke baad vapas aakar inko samjha dun, ki main koi shaitaan nahin hun.
Pehla vala option dhokha hoga,
Jo main kisi ke sath nahin karta,
Chalo filhaal apni planning par concentrate karta hun.
.
Hamari baat - cheet me aadhi raat ka samaye ho gaya, or main usko bye karke vahan se udaan bharta hua usi jagah pohoch gaya,
Or gayab hokar ek jagah baithkar pehredaron ki pari badalne ka intzar karne laga.
.
Iske liye mujhe zyada intzar nahin karna pada, or kuchh der baad hi shaitan pehredaron ki ek toli mujhe isi taraf aati hui dikhai di.
Main khada ho gaya,
unhone wo patthar kue me dalkar dwar khola, to pehle ke jo pehredar pehra de rahe the wo bahar aa gaye,
Uske baad abhi aaye pehredar andar pravesh kar gaye,
Unke sath - sath main bhi andar aa gaya.
.
Hamare andar aate hi wo dwar band ho gaya, par andar kaafi roshni thi,
Andar unhone ek bada secret base sa bana rakha tha.

Wo apni - apni jagah jakar khade hote gaye,
or main us andar ki taraf chal diya, waise bhi koi mujhe dekh to sakta nahin tha,
Andar jate hi ek bada hall tha, or oopar ki taraf sidiyan ja rahi thin.
Waise andar zyada pehra nahin tha,
Sirf 4 pehredar hi khade the.
.
Maine un sidiyon (stairs) ke zariye oopar jane ka socha, main pehli sidi par kadam rakhne vala tha ki achanak ruk gaya,
.
Kyonki vahan har sidi par kuch chitra sa bana hua tha,
Shayad ye khatre ki ghanti thi, jo mere dimaag me baji thi,
.
Or sabse badi baat ye ki yahan pehredar kam kyon hain?
Yani in sidiyon par chadhna khatre se khali nahin.
.
Main sochne laga, or pehle stair ko dhiyan se dekha, uspar aaj ka ek chitra bana hua tha,
Or dusre par barf ka chitra bana hua tha, aise hi har stair par kuchh na kuchh bana hua tha,
.
Main thoda pichhe hua or magic se ek ball lekar pehle stair par mari.
Or vahan se aag ka ek bohot bada shola nikla, jisse vo ball 1 second me hi dhua ban gayi
Main pichhe ho gaya,
Or charon pehredar bhage - bhage vahan aa gaye, or gour se charon taraf dekhne lage.
.
P1 - are lagta hai koi keeda hoga,
.
P2 - nahin vo to bohot halka hota hai,
Zaroor koi chhota janvar hoga.
.
Sabhi ne us ki haan me haan milai or vapas apni jagah jakar khade ho gaye.
Maine unki ye baat note kar li,
Or sochne laga,
Tabhi mere dimaag me ek khurafati idea aaya, ki kyon na main apna Waight ghata kar ek chuhe se bhi kam kar lun, haan ye idea kaam kar sakta hai.
.
Maine chutki bajai jisse mera Waight bohot kam ho gaya,
Maine himmat karke apni aakhen band karke "Mahakaal" ka naam lete hue,
pehli seedi par kadam rakha to mujhe kuchh nahin hua, maine ek thandi saans li, or ek ke baad ek seedi chhadhta hua oopar pohoch gaya.
Oopar jakar dekha to vahan ek bhool - bhulaiyya si thi,
Samajh nahin aa raha tha kis taraf jana hai.

Main vahin baith gaya
or guruji dwara bataye gaye marg ko aakhen band karke dekhne laga,
Jisse mere saamne ek map sa aa gaya, map me ek blue colour ka Arrow seedhe jakar jo room tha usse niche ki taraf ja raha tha,
Yani ki us room se niche jane ke liye koi rasta hai,
.
Maine aakhen kholin or us arrow ki disha me chal diya,
Or us room ke bahar pohoch gaya,
Wo room lock tha, jisme koi key hole nazar nahin aa raha tha,
Maine us darvaze ko gour se dekha to mujhe uske andar ka nazara dikha,
Uske andar ek kone me se sidiyan ja rahi thin, ab savaal ye tha ki is darvaze ko kaise khola jaye,
.
Tabhi mujhe guruji ki baat yaad aayi,
Unhone bataya tha ki yahan ki har cheez kali shaktiyon se bani hui hai,
To maine apna hath us darvaze par rakh diya, or mere sath se ek peele rang ki roshni nikalne lagi,
Jisse thodi hi der me wo darvaza gayab ho gaya,
Ab maine chain ki saans li,
Or uske andar pohcha, wahan kone se sidiyan ja rahi thin, maine jhaank ke dekha to wo bohot niche tak thin,
Jiska matlab saaf tha ki ye sidiyan tehkhane ki taraf ja rahi hain.
.
Main bhi sidiyan utarte hue niche jane laga,
Niche aane ke baad maine samne dekha to vahan ek bada lohe ka darvaza bana hua tha,
Jisme ek lock latka hua tha,
Ab is jagah par lock ka kya matlab tha, ye meri samajh me nahin aa raha tha,
Maine guruji se TP ke zariye baat karne ki koshish ki, par main nahin kar pa raha tha.
Shayad ye yahan ki kali shaktiyon ka prabhav tha.
.
Ab maine us lock ko kholne ki sochi,
Or uske paas jakar apni shaktiyon se use kholne ki koshish karne laga,
Par sab bekaar, kuchh nahin ho raha tha, jiska matlab saaf tha, ki ye lock iski key se hi khulega.
Ab main iski key kahan dhundhun,
Maine map me dekha par usme key ka koi bhi suraag nahin tha.
.
Maine us darvaze ko pichhle darvaze ki tarhan kholne ki koshish ki par usse bhi kuchh nahin hua,
Ab main thak kar vahin baith gaya,
Aisa lag raha tha ki jaise itni mehnat bekaar ho gayi ho, main bebas sa ho gaya tha.
.
Bohot der aise hi baithne ke baad,
Main vapas gaya, or apni tez nigah se har ek kamre or ek - ek pehredar ko check kiya,
Par kisi ke paas bhi us lock ki key nahin thi, or na hi kisi room me thi.
.
Main vapas usi door ke paas aa baitha, ab main bada hi confuse tha,
Ki aisa lock kis ne bana diya, jiski koi chabi hi na ho, ho sakta hai ki iski chabi senapati par ho.
.
Kair ab main khali hath to lout nahin sakta tha, isi liye dimaag par zor dalkar sochne laga.
Tabhi mujhe yaad aaya ki jab hamare locks ki chabi kho jati hain,
To ham duplicate banva lete hain,
To is lock ki bhi to duplicate chabi ban sakti hai.
.
Maine turant magic se tool kit mangai or lag gaya kaam pe,
Kareeb 2 - 3 ghante baad akhir us duplicate chabi se lock khul gaya,
Main bhookh pyas se behaal ho raha tha, isi liye thanda pani manga kar pine laga,
Jab wo gate khol kar main andar pohcha to vahan 2 cell the, ek to khali tha, or dusre me koi budha aadmi baitha tha.
.
Mujhe samajhte hue der na lagi ki ye koi or nahin raja hi hai.
Or meri khushi ka thikana na raha,
Main ud cell ki taraf chala to Raja ne mujhe vahin rok diya.
.
Raja - vahin ruk jao putra, is cell ko chhuna mat varna jal ke khaak ho jaoge.
.
Main bada achambhit hua ki main to adrishye hun, inhone mujhe dekh kaise liya, or agar main is cell ko chhunga nahin to ise kholun kaise?
Us 1 hi pal me mujhe saikdo savalon ne gher liya,
Or un sabka javaab ek hi aadmi de sakta tha, vo tha swam Raja.

To... Be... Continued
Reply


Messages In This Thread
RE: XXX Kahani अनौखा समागम अनोखा प्यार - by desiaks - 01-02-2021, 01:36 PM

Possibly Related Threads…
Thread Author Replies Views Last Post
  Raj sharma stories चूतो का मेला sexstories 201 3,462,360 02-09-2024, 12:46 PM
Last Post: lovelylover
  Mera Nikah Meri Kajin Ke Saath desiaks 61 540,005 12-09-2023, 01:46 PM
Last Post: aamirhydkhan
Thumbs Up Desi Porn Stories नेहा और उसका शैतान दिमाग desiaks 94 1,216,423 11-29-2023, 07:42 AM
Last Post: Ranu
Star Antarvasna xi - झूठी शादी और सच्ची हवस desiaks 54 919,957 11-13-2023, 03:20 PM
Last Post: Harish68
Thumbs Up Hindi Antarvasna - एक कायर भाई desiaks 134 1,630,747 11-12-2023, 02:58 PM
Last Post: Harish68
Star Maa Sex Kahani मॉम की परीक्षा में पास desiaks 133 2,062,412 10-16-2023, 02:05 AM
Last Post: Gandkadeewana
Thumbs Up Maa Sex Story आग्याकारी माँ desiaks 156 2,919,761 10-15-2023, 05:39 PM
Last Post: Gandkadeewana
Star Hindi Porn Stories हाय रे ज़ालिम sexstories 932 13,953,870 10-14-2023, 04:20 PM
Last Post: Gandkadeewana
Lightbulb Vasna Sex Kahani घरेलू चुते और मोटे लंड desiaks 112 3,991,890 10-14-2023, 04:03 PM
Last Post: Gandkadeewana
  पड़ोस वाले अंकल ने मेरे सामने मेरी कुवारी desiaks 7 281,196 10-14-2023, 03:59 PM
Last Post: Gandkadeewana



Users browsing this thread: 3 Guest(s)