- Joined
- Dec 5, 2013
- Messages
- 93,095
✦ UPDATE 205 ✦
Mar mai hairan ho gaya tha... mere yeh power us par lagate hi uska shareer green hua, aur usme se gir kar mere powers me mix hokar mere taraf aa gaya.
Woh hawa me ud gaya.
Jivnaash - itna aasan nahi mujhe marna... ha ha ha ha ha!
Maine vapas se haath ghusse me dabaya aur meri aankhein red hone lagi.
Mera doosra suit aa gaya.
Maine apna shareer bada kiya aur aag se hamla kiya.
Par achanak hi woh aisa badla ki waha jo log chup kar dekh rahe the, woh sab darr ke bhaagne lage.
Barish ka mausam ho gaya, jo meri bijliyon ke kaaran hua tha.
Ufff... aaahhh... mera gala... mujhe kya ho raha hai... aahh aahhh (khaaste hue).
Mai chhota hota gaya, khaasta hua ek building ki chhat par gira.
Mai haath se ragadta hua aage gaya.
Jaise hi maine niche ki taraf dekha, mujhe aisa dikha...
Mai sir upar karke - aahhhhhh... uuuuuhh uuhhh... mujhe thand kyu lag rahi... uhh huuuhh (khaaste hue).
Mere muh se khoon nikla, aur woh bhi hara... yeh kya ho raha hai?
Maine vapas dekha toh mujhe sab aisa dikha...
Kya mujh par yeh Jivnaash ke zehar ka asar ho raha hai?
Mera dum ghut raha hai.
Mere haath kaap rahe the.
Mann kar raha tha apni aag se sabko jala du...
Maine apni aankhein noch kar bahar fek di.
Woh seedhe jaakar building se niche zameen par gir gaye.
Mere aankhein nikalne ke baad, mere haathon se bhi khoon hi khoon nikal raha tha.
Jivnaash mere paas aakar khada ho gaya.
Jivnaash - ha ha! Mai bhi kitna pagal tha... soch raha tha ki yeh naagin tujh se milegi aur mujhe marwa degi... kyunki maine bichari ke maa baap ko maar diya!
Mai uski taraf dekhta hua.
Jivnaash (dar kar) - yeh kya hai... yeh toh shaitaan hai!
Mere shareer se hari roshni nikal rahi thi.
Jivnaash - tum aakhir ho kaun? Aisa shaitaan maine pehle kabhi nahi dekha, jo har shakti ko chus jaata hai!
Mai apne haath ke bal ghishta hua aage jaa raha tha.
Jivnaash - isse abhi maar deta hoon... bilkul waisa hi jaisa mere baap ne kaha tha!
Woh mere sir ko pakadta hai, aur ukhaad kar niche phek deta hai.
Aur waha se uddta hua neeche aa gaya — jaha Sabnam padi hui karah rahi thi, apne pet me ghusi hui sariya ko pakad kar.
Jivnaash - bata... chalegi mere saath toh abhi bacha lunga!
Sabnam apne muh se kuch bol nahi paa rahi thi.
Udhar, meri aankhein rengti hui mere sir tak pahunchi aur mere sir me ghus gayi.
Uske baad meri aankhein hari ho gayi, mera sir deewar ke sahare upar chadhte hue upar jaane laga.
Upar chhat par meri body uth kar khadi ho gayi.
Aur kuch hi der me mera sir meri body me jud gaya.
Meri body hawa me uth gayi, bijli mere upar girne lagi.
Meri aankhein... meri body poori green ho chuki thi.
Mujhe laga kahi mai woh toh na ban gaya — suna hoga, green lantern.
Bijli ki awaaz se Jivnaash upar ki taraf dekhta hai.
Jivnaash - yeh nahi ho sakta... kaise ho sakta hai?
Mai - abe, kaun bachega tujhe? Bol!
Jivnaash phir kuch fekta, kaafi chamak rahi thi woh cheez.
Jaise bahut shaktishaali ho... maine paas aate hi usse haath se rok diya.
Maine usse pehle dekha... phir usse apne muh se andar le liya.
Jivnaash - devvv.v.v.v..v..v!
Woh chillata hua meri taraf aaya.
Mere paas jaise hi aaya, mai niche ho gaya — aur apne ghusse se usse bahut door phek diya.
Usse waha se jaate hi, mai niche pahucha Sabnam ke paas.
Aur usse apni god me utha kar, uski sariya ko nikal kar phek diya.
Aur uske ghaav par phook maari — mere muh se nikla green color ka dhuan, uske zakhm bharne lage... par uski haalat ek mare hue insaan jaise ho gayi thi, jiska khoon chus kar nikal diya ho.
Alok - tum kaun ho? Shaitaan ho ya bhagwan?
Mai - socho toh bahut kuch, na toh kuch bhi nahi... aur rahi baat doosri, toh mai khud bhagwan ki dua se zinda hoon — toh unki toh pairon ki dhool bhi nahi hoon.
Sabnam ke haath hilne lage.
Mai usse lekar udd gaya — wahi par jaha maine Jivnaash ko pheka tha.
Sabnam ki aankhein khuli, aur mujhe dekhne lagi.
Mai - mujhe maaf kar do, tumhe waha aise nahi chhodna chahiye tha... mujhe nahi pata tha ki mujhe waha se nikalne ke liye tumhari family ka yeh haal hoga.
Samne Jivnaash apna pet pakad kar hiss raha tha.
Sabnam kuch bolne waali thi, par maine uske hothon par haath rakh kar chup rehne ko kaha.
Mai - ab tum dekho ki tumse tumhara pariwaar cheenne wale ko mai kitna dard dunga... tum yehi rehkar dekho, apni inhi aankhon se! (Sabnam ko niche bithate hue)
Aur mai chala Jivnaash ki taraf.
Jivnaash - shaitaan ke bachche hai tu!
Mai gardan chatkate hue - toh aaya hi kyu yaha?
Jivnaash - aaahhh... mera pet... mai yaha nahi aana chahta tha... mujhe chhod de, mai chala jaunga!
Mai - ab tu kahi nahi jayega! Ab tu apni galtiyon ka, apne paap ka fal payega!
Jivnaash - nahiiiiii!
Maine uska ek haath pakad kar tod diya.
Jivnaash - chhod do mujhe... mai bhikh mangta hoon!
Mai - abhi toh mujhe zehar dekar bahut has raha tha!
Jivnaash - galti ho gayi hai mujhse! Aahhhhh maaaa!
Ek laat uske pet me maari.
Mai - bahut zehar hai tere andar haan... tabhi abhi tak zinda hai, haan!
Maine muh upar kiya, haath ki mutthi baand li... Jivnaash ki body me se saara zehar nikal kar meri body me aane laga.
Maine haath khole, mere nakhun aa gaye. Tabhi Jivnaash ne zameen me doosra haath ghusaya — aur waha se snakes ka ek bahut bada jhund aa gaya, jaise poora jungle saapon se bhar gaya ho.
Jivnaash apna haath utha kar apne sharir me lagata hai, khada hokar - ab dekhta hoon tu kya hai!
Maine haath failaye, mera face change hokar bhediye ka face ho gaya.
Mai daant bahar nikal kar - haa haa! Ab kaise jhelega iss zehreeli bhediye ko re keede?
Jivnaash - hamla!
Woh sab saap icchadhari the, sab Jivnaash jaise suit me aa gaye.
Ek bhaagta hua mere paas aaya.
Maine uski gardan apne haath se pakad li, apne face ke paas laa kar - swagat hai meri duniya me!
Maine niche wale jabde ke daant uski aankhon me ghusaye, aur upper ke daant uski khopdi me... aur ukhaad kar phek diya.