- Joined
- Dec 5, 2013
- Messages
- 92,977
UPDATE 114
Lekin jaisi uski najaz mere pairon par gayi hai to dar ke mare kaamp gayi
Shikha - d...d......dev yah kyaa kar raha hai tu
Mai - chup rahaiye didi thodaa dhire bolo meri behan so rahi hai
Shikhaa - behan kyaa matalab behan mai toh yaha hu
Mai - app toh ho hi par yah joh meri god men leti hai naa neha ha
Shikha - dev tera dimag to thik hai na kyaa befaltu ki baate kar rahe ho aur
uss sai dur hatao
Woh dheere sai uthi aur dhire - dhire mere paas aa gayi
Mai - dekho naa didi kitne pyaar se so rahi hai
Shikha - to sahi men paagal ho gayaa
thodaa aram kar le ab tuh ek janavar aur insaan men fark nahin samajh nahi aa raha hai par mujhe yah samajh mai nahiaa rahaa ki yah bhediya teri god mei soyaa hi kyu hai yaa soi hai aur neha yaha kaha se aa jayegi haa
unki awaaz se nehaa uth gayi wah shikha ko ghurne lagi
Shikha - yah yah yah mujhe kyu ghur rahi hai
Mai - bas karna neha vaapas thik ho jaa woh mujhe mai usse dekh raha tha
Tabhi saamne se ek ladki aati hui dikhi aur vah dhire - dhire hamare paas aa
gayi
Ladki - chal neha wapas chal mai tere kapade le aai hun tum ab insaan ban sakti hai
Neha usske saath chali gayi
vo thodi dur par hi pedo ke pichhe chali gayi aur ham dono yahan par baithe
hua bus udhar hi dekh rahe the thodi der mai neha waha sai vaapas aai woh shir jhuka kar mere paas aakar khadi ho gayi
Mai - ab ghar chal yaha sai
Neha - nahi bhaiya hum ghar nahi ja sakete abhi subah jaise honne waali hogi tab chalenge
Shikhaa - kyaa matalab subah nikal ho jaye aur pahle tuh yah bata tu yahan kar
kyaa rahi hai ghar par sabko asse hi chhod kar chali aayi tabhi main kahun ki hameshaa akele ki rahti hai jaha saari behane kaam karti rahti hain yaa phir dev ke saath ghumti hai phirti hai lekin yah hamesha akeli rehati hai aaj samajh
mai aaya ki eske piche karan kya tha
Mai - chup ho jaao didi chup ho jaao
Shikhaa - kaise chup ho jaau kya tumhen ghusa nahin aa raha ki tumhari behan raat ko ghar chhodakar aise sunsan elaake men ghum rahi hai aur tumne abhi bataya ki yah ek manav bhediyaa hai mujhe to shak ho rahaa hai ki yah hamari hi neha hai yaa koi aur hai
Nehaa - nahin didi aisa nahin hai main aap logon ki hi neha hu
Mai - vah sab chhodo agar ham yahan se bahar nahin nikal sakte to phir kahan
jana hai
Ladki - aaj raat aap log hamare kabile men ruk jaaea
Mai - yahi thik rahegaa par aaj mujhe sab sach janana hai aakhir yah sab hai
kya
Nehaa - ji bhaiyaa sab bata dungi main aapko
Mai - ab vahi thik rahegaa ki tum mujhe sab sach sach bataa do mujhe to abhi bhi yakin nahin ho rahaa ki kyaa tune aisaa kiyaa apne bhai se chhupaya aur ess liye subah pari mere pass hoti aur tuh gyab
Shikha - nahin dev hamari neha nahin hai vah to bahut hi pyaari si thi yah badal chuki hai
Mai - sahi kah rahe ho didi aap badal hi gayi hai
Nehaa chillaate hue - haan haa mei badal gayi aur eska kaaran hai aap keval aap
Mere upar to maano jaise bijli si hi gir gayi
Shikha - kyaa bol rahi hai kuchh soch samajh kar bolaa kar
Neha - soch samajh ke bol rahi huu di
Sikhaa - esne aakhir kya kiya yah to khud hi etna pareshan rehtaa hai etni bhi Fursat nahin milti ese ki chain se so bhi sake
Neha - nahin didi aap jaisa soch rahi ho vaisa nahin hai enke liye sab ke paas
time hai pari ke liye ritu ke liye kirti ke liye sanajana ke liye bus nahi hai toh bus mere liye aur appke saath toh ek saal rah chuke hai
Shikha chillaate hua - neha Chup ho jaa kyaa bol rahi hai tu
Maine unki taraf haath kar ek kaha - chup raho use bolne do
Neha - bhai aap jab se aye ho wah se
aapne ek baar bhi aisa din bitaya ho ki jab mere paas aye ho mujhse baten ki
ho yaa mere saath kuch pal bitaya ho akele aap kahenge ki main to sabko saath lekar gayaa thaa ghumne
Mai - haa woh toh hai
Neha - haa par waha bhi app nai joh kuch bhi diya sabke saath diya mere liye
kabhi kuch special nahi baki sabke liye special
Mai - gudiyaa tum mujhe galat samajh rahi hai
Ladaki - yeh galat nahin samajh rahi hai aur aap uskaa dhyan dete to aaj
shaayad yah es haalat men naa hoti
Mai - kyaa yah sab mere kaaran huaa hai
Neha - haan yah sab aap ke kaaran hi huaa hai aapko to shaayad yah bhi nahin pataa hoga ki jab aap so jaate the to main balocny men baith kar roti thi
Mai - tuh toh mere saath hi so jaati thi naa
Neha - dekha mainne kaha tha na aapko mere bare men kuch nahin pataa
hai Us din jab aap estaambul gaye the tab sab se baat kar li pari se aur bhi kayi
logon se ki hogi mujhe nahin pataa
Par aapne mujhse ek baar bhi kuch nahin kaha kyaa bata sakte hain ki aaj tak aapne mere phone par kitni baar call ki hogi
Mai es baat par kuch bhi nahin bol sakta thaa kyonki shaayad vah sahi bol rahi
thi maine aaj tak ek singal call bhi uske phone par nahin ki thi
Neha - kyon kyon yaad nahin aa raha naa us din mujhe etna gusa aaya roti hui
jangal ki taraf aa gayi yaha par ek mujh par ek bhediyon ke jhund ne hamla kar
diyaa
Ladki - ham to shikaar par the shaayad ham ese us din maar hi dete agar vah
bhavishyvaani naa hui hoti ki es esse judaa koi ladka ham sare bhediyo ki
jaati kaa agla raaja hai par aaj tak pata nahin lagaa paye ki aakhir woh hai
kaun humare katne ki vajah se yeh bhediye men badal gayi kabhi - kabhi hamse mil liyaa karti hai meri sabsai acchi dost hai
Mai waha se uthaa aur nadi ki taraf badh gaya sahi bataun to uski baaton ne
mere dil par bahut badi chhot laga di par shaayad wah sach bhi ho sakti hai ho sakta hai ki mai us par dhyaan nahi de paya sab kuch to diya par unhe
time nahin diya aage badhakar maine paani piyaa thoda thandak mili sharir ko par abhi bhi uski saari kahi hui baaten mere dimaag men hat ghum rahi thi aapki vajah se huaa hai sab kuch aapki vajah se
Todhi der baad mai
shikha - didi mere paas aakar baith gayi
Shikhaa - tuh uski baaton par dhyan mat de tune sabke liye sab kuch kiya
Mai - aap bhi mujhe maaf kar dena aap mujhse badi ho aur main aapkaa naam lekar aapko bulata hun aadat ban gayi thi par kuch aadat chhut hi jaye to acha hai
Shikhaa - tuh uski baato ko etna serious kyon le rahaa hai
Maj - baatein chahe kuchh bhi ho par par kahi naa kahi uski baaton men sach
to hai main ab apne gharwalo sai jyaada baaki chijo par dhyaan jyada dene
laga hun aur har kisi ke payaar sai bus dur dur rehata hu aaj yeh hua kal ko meri wife bhi kuch bole toh woh galat nahi hoga
Shikhaa - yahi jindgi hai kuch bhi aap ek bus mai nahi kab kaya hona yeh kom jaan paya hai jisnai jana woh abb hoga nahi saayad
Mai - maine dushmno ko etna yaad kiya ki aaj apne mujh se etni dur ho rahe
hai
Shikhaa - jindgi ke panno ko khud likhaa nahin jata
Mushkile kitni bhi aye un se bhaga nahi jata
Kabi - kabhi ho jaati hai kuchh galatiya apno se par unki baato ko aise dil se
lagaya nahin jata
Mai - bate jab ho etni gehari to unhen chhupaya nahin jata
Manjil dhundh rahe hain ham yaha par apnaa hi ghar hamse banaya nahin jata
Ruthe hain kuch log par ab humse Unnhe manaya nahin jata
Dil ki chhot ko kitna bhi chhupao par unhen chhupaya nahin jaata
Meri aankhon men aansu aa rahe the meri aankho ke saath - saath men dil bhi ro rahaa tha akhir maine kaisi neha ko bhula diya
Shikha - kyon ro raha hai mat roo usse baat kar tabhi tujhe acha lagega
Nehaa - bhaiya bhaiya
Maine piche mud kar dekha to mere piche neha khadi thi uski bhi ankho
se ansu nikale ja rahe the
Mai yeh dekh kar jaht sai khada ho gaya aur uske paas gaya
Mai - are paagal kyon roo rahi hai kya ho gaya
Neha - bhaiyaa mujhe maaf kar do mujhe aisa nahin bolna chaahiye tha
Mai - paagal aisaa kuch nahi
hai
uski aankho se aansu aur tezz ho gaye maine apne haathon seuske aansu
poche
Mai - are kahaan hai tujhse koi baat nahi hai meri galti ke liye tuh kyon ro rahi hai
Neha - bhaiyaa aap aise mat boliye aaj joh maine bola woh sab kudh soch ke mai samajh gayi galati aap mai nahi mujhe mai hai aapne toh utna hi payaar diya jitna aapnai pari aur sabko diya par maine yeh sab kaya bol diyaa
Shikha - pahle rulaa deti hai aur phir kehti hai aisi baten mat karo
Mai - nahin didi mai kisi ko bhi time nahin de pata hu yeh toh sach hai
Neha - bhaiya apni chhoti bahan ki bhul samajh kar maaf kar do naa
Mai - mana ki mujhse galti hui sab kuch huaa maine tumse baat ki naa tum
milaa joh bhi ho par aapne mujhse etna bada sach chhupaya
Nehaa - are bhaiya aapka yeh khoon kaise nikal raha hai
Mai - dekh neha baaton ko ghumane ki kosish mat kar mera khoon kyon nikal raha hai kya nikal rahaa hai yah sab etna jaruri nahin hai
Neha - aap kaisi baaten kar rahe ho aapka khoon kya aapka toh har ek anshu kimati hai
Mai - soch jab mera ek aansu etna kimati hai to tum meri us behan ke aansu kitne kimati bata sakati ho jise main apni jaan se jyada pyaar karta hu
Jaruri nahin ki agar aap kisi se pyaar karte ho to use bataya jaye are
bachapan se mere etnaa karib koi nahin rahaa jitna tum dono hi ho haa woh
baat alag hai ki maine pari ko jyada pyar diya aur tumhe pesonaly nahi
kiya par eska yah matalab nahin ki tum usse alag tarike se lene lago sikha ki
ritu ki kriti ki sanjnaa ki kashish ki baat alag rahi woh hamesha mere aas paas mandrati rehati thi mujhse baten karne ke liye mere paas aati hai mujhse bataati ki kya chaiye kyaa nahin chahiye par tuh par tuj bas ek do baaten
bolti thi mujhe lagaa tuh shaayad samajhdaar ho rahi hai par tune to ek alag hi duniya bana li apni kya javaab dungaa main maa ko agar unhen yah sab pataa chal gayaa to vah kahengi dhikaar hai aise bhai par jo etni shakti lekar bhi apni bahan kaa dhyan nahin rakh sakta