✦ UPDATE 200 ✦
Aise hi dheere dheere time beet raha tha aur woh case uljhata hi jaa raha thaa. Mai vapas lautana chaah raha thaa par mujhsai ho nahi paa raha tha kyunki pata nahi mujhe reh reh ke ajeeb saa dar lagata kahi mai enn logo ko chhod ke jaun aur kuch ho jaaye toh.
Khair phir etna sochne kaa koi hisaab thaa nahi kyuki joh maine dekha — Dev ke jaane se pehle sabko ek power banate dekha usse mujhe lag gaya yeh sab apna dhyaan rakh sakti hain, par mai yeh bhi jaanta hoon ki enki is ekta kaa kaaran mai hoon.
Mai abhi soch raha tha mera phone baja.
Mai - haa helo
Arav - helo
Mai - haa Arav, tu kaise yaad kiya yaar?
Arav - woh sab chhod, tu hai kaha? Sir nai kaha tu aa nahi raha, humari ladaai ek jagah par hai, yeh kaam bhi jaruri hai. Warna hum kehte nahi, iss liye hum diwali mai bhi naa aa paaye sir ko chudane mai lage reh gaye.
Mai - acha chal thik hai, aata hoon mai.
Arav - chal thik hai bye.
Maine call cut ki aur niche aaya. Ab dheere dheere sab apne kaam me lage the — Pari, Neha aur baaki log college gaye aur baaki bahar ke bhi log sab.
Mai - are maa mera nashta kaha hai?
Maa - yeh hota jab student reh kar tum shaadi kar lo. Sab toh padhne gaye, ab biwi hokar bhi maa ke pallu se bandha reh.
Mai - woh sab ho naa ho, kahin toh aapke haath ka hi khana hai.
Maa - accha meri hi jaan khayega matlab?
Mai - maa...
Maa aur chachiyaan hasi aur mere aage nashta rakha gaya.
Ek toh Neha ko pata nahi kya hua hai — Devika se kaunsa jadu karwa liya aur maje se college chali gayi, kuch locha lag raha.
B chachi - ek baat bata, tu aaj jaa kahan raha tayyar hokar?
Mai - chachi, shehar me joh sab lutmaar chal rahi hai aur attack hue unnki chaanbin karni hai.
C chachi - matlab phir se joker banega tu? Aur shaadi ka kya karega sab ka?
Mai - chachi, aisa koi rasta nahi ki ek saath sabse shaadi kar loon aur sab ek baar me khatam.
B chachi (hans ke) - aacha, phir 11 din shuraat hi manata rahega matlab, rahoge raja sahab kyu?
Mai (muh bana ke) - aap log bahut maje le rahi ho. Aap bhi meri saas hi banne wali ho, iss liye kya?
Ab keval C chachi has rahi thi.
B chachi - jada hans mat, mai bhagwan se mangti hoon tu bhi iski saas ban jaa.
Mere muh se nashta nikal gaya - kya C chachi, bas karo aap log, mere liye maa jaisi nahi, maa hi ho. Aapki maang puri naa kar de bhagwan.
C chachi - haa didi, meri koi beti iske layak nahi hai.
Mai - haa sahi kaha, woh dono mere se bahut ache ladke ke liye bani hain, mere paas jitni hain utni sahi hai.
B chachi - nahi, 11 ki team toh tayyar hai, extra me nahi le raha kisi ko, koi ghayal ho jaaye team mai toh.
Mai utha waha se bahar nikal gaya aur woh log hanste hue kuch bol rahi thi.
B chachi (piche se) - are ruk ruk, mazak kar rahi hoon.
Mai bahar aa gaya tha aur bike lekar nikla. Tabhi beech me phone aaya.
Mai - haa Sikha, tum kahan ho?
Sikha - sir, yaha ek murder hua hai, waha jaaye 3rd street 235.
Mai - acha thik hai, aata hoon mai.
Karib 14 minute me waha aaya. Samne do police wale the.
Mai - yaha bheed kaise hatao inhe?
Dono mujhe salute karke - sir aap?
Mai - haa, DGP ke alawa kaun aayega?
Woh - par sir, aap toh kahi chale gaye the?
Mai - haa, ab wapas aa gaya na, chalo khaali karo yaha bheed.
Mai andar aaya, waha se dekha meri team waha thi. Maine unhe dekha aur body ke pass gaya — waha kaafi ajeeb sa tha sab kuch.
Waha se blood ke nishan gaye hue the ek almari ki taraf, mai waha gaya.
Mai - isko khola kyu nahi abhi tak?
Arav - woh sir, abhi tak kaafi koshish ki, kholne ka saman mangwaya hai.
Mai - acha, aur itni der se tum log yehi kar rahe ho?
Nitika - sorry sir.
Maine khinch ke dekha — are yeh sala khul kyu nahi raha.
Maine apne haath ki ungli ko masala — mujhe ungli ke spark nahi dikhi, matlab yaha koi aisi cheez hai jaha power ka use nahi hoga, mujhe apni insani takat se kholna hoga.
Maine almari ke side me laat maari aur almari ko khicha — aur uska ek hissa tut ke mere haath me aa gaya.
Mai jhatke se piche girne wala tha, Arav ne pakad liya mujhe.
Arav - aaram se sir.
Mai - haa thik. Are yeh andar kaun hai? Nikalo isko, dekho zinda toh hai na?
Sikha (check karke) - haa, par jaldi isko le jana hoga hospital, Arav jaldi karo.
Maine apna rumal nikala aur us almari ke andar ka ek aur gate jaisa kuch khola.
Mai - Jagpreet, zara woh device lekar jao aur har tarah ki light se check karo, kuch hai toh nahi andar.
---
Udhar...
C chachi - didi mai kehti hoon Dev se kuch kahe, aap Neha aise halat me college wagarah... aur unki shaadi ka kuch kare, warna aisa naa ho Neha ka bacha bina shaadi ke aaye iss duniya me.
Maa - haa, baat teri sahi hai.
B chachi - ek baat aur kehni hai mujhe, abb aisi halat dekh ke apni dono bachiyon ko bahar chhodne ka mann nahi hai, unko bula lete yahi padh lengi.
C chachi - kya didi, jab dono yaha thi aur maine kaha toh aapne mana kar diya.
Maa - kya karu mai, Dev maan hi nahi raha na.
B chachi - chalo mai baat kar lungi usse.
Amit - are maa, kis cheez ki baat karogi Dev se?
C chachi - are woh Sanjana, Kasish ko yaha laane ki baat, woh maanta nahi hai.
Amit - abhi Dev ke ek dost ki death hui hai, toh woh thoda pareshan hoga.
Sab chok gaye - kaun?
Amit - are woh kai janam se uska dushman bhi tha aur dost bhi. Unka kuch kabhi sahi samajh nahi aaya, par haa, aaj uski wajah se Dev zinda hai.
Maa rone lagi.
Amit - are badi maa, aap mat roye. Usne accha kaam kiya hai. Tabhi uska dushman bhi uska dost ban apni jaan de deta hai. Toh aap usko thoda time do. Haan par Neha ka kuch kare, mujhe nahi lagta jada time hai. Devika ki powers se thoda kam pata chalega par uski halat aisi nahi ki bahar ghoome.
B chachi - tujhe etna kuch pata hai uske baare me?
Amit - are maa, bhai hai woh mera. Meri jaise harkaton pe woh mujhe maar sakta tha, par usne aisa kabhi nahi kiya. Mujhe laga mai apni powers se nahi mara, par usne aapke pyaar ki wajah se kiya aisa. Toh mai abb uske liye joh sahi hoga sab karunga.
Maa - haa beta, ghar waale hi takat hote hai humari.
Amit - badi ek toh Dev naa apni power apni behano aur lovers me baat ke rakhta aur khud aise hi rehta. Mai soch raha ki kyu na uske liye aise kisi ko dhoond du joh uski suraksha kare.
B chachi - aisa hai koi joh uski raksha kare?
Amit - haa maa, ek jin tha pehle suna tha. Jaha tak Dev ne usko aazad kar diya tha, par mujhe abhi pata chala usko vapas kisi ne bandi bana liya hai.