hotaks444
New member
- Joined
- Nov 15, 2016
- Messages
- 54,521
13-08-2012. Yeh date to aaj se 12 din pehle ki hai. Ashna ne padna start kiya.
Aaj kareeb 12 saal bad Rupali ko dekha, waisi ki waisi he hai wo. Wo apne pati ke sath mere showroom main aayi thi. Jaise he usne muje dekha wo ekdam ruk gei, shayad use pata nahin tha yeh naya showroom mera hai. Khair usne apne pati aur ek choti si bachi ke sath kuch electronics items ki shopping ki. Miane usse baat karne ki koshish ki per Avinash ki upasthiti main usse baat karna theek nahin laga. Jaise he wo log payment karne counter per aaye, uske pati ko kisi ka phone aa geya. Usne Rupali ko payment karne ko kaha aur khud Showroom se bahar chala geya baat karte hue. Maine usse bachi ke bare main pucha to usne kaha ke 7 saal pehle use beti hui thi. Wo baar baar darwaze per dekh rahi thi, kafi uncomfortable feel kar rahi thi wo. Main use is halat main dekh nahin sakta tha. Maine jaldi se unke saman ki receipt unhe thama di bina payment ke to Rupali ne bina na nukar ke receipt li aur bag main dal ker mudne lagi. Maine use pukara to wo ek pal ke liye ruki aur fir palat ker boli. Agar tumhe payment ke paise lene hain to le per mere rastey main dobara mat aana. Main tumse nafrat karne lagi hun Virender. Tum kabhi kisi ladki ko sukhi nahin rakh sakte, tum mentally beemaar ho. Jao aur pehle apna ilaaj karwao. Itna kehker wo mudi aur tezi se darwaze se bahar nikal gei. Main hakka- bakka use jate hue dekhta raha. Kya mera pyar pagalpan hai?. Kya main is kabil nahin tha ke use zindagi ki har khushi de sakta tha? Kya mere family members ke prati uski koi zimmedariyaan nahin thi? Agar main unki mout se pareshan tha to kya uska farz nahin tha ke wo muje sahara de? Kys use he sahara chaiye tha, kya muje sahare ki zaroorat ne thi? Aise he kitne sawal uske agle do pages per likhe they jise padte padte ek baar fir Ashna ki aankhen geeli ho gei. Wo samaj sakti thi ke Virender us din kis haalaat se guzra tha. Ab use Virender ki asli beemari ka pata lag chuka tha. Ant mein us diary main likha tha " Aaj muje pata laga ke duniya main pyaar ki koi ahmiyat nahin, sab apna fayda dhundte hain. Ashna ne bhi mere sath aisa he kiya. Us hadse ke baad jab use laga ke main toot chuka hun aur use sambhaal nahin sakta to wo bhi muje chod ker chali geyi. Tab to wo choti thi lekin ab to wo bhi samajdar ho gei hogi, lekin usne kabhi mujse milne ki koshish bhi nahin ki, muje samajne ki bhi koshish nahin ki. Sab ladkiyaan aisi he hoti hain. Agar ek jagah baat na bane to wo kisi ko bhi dhokha dekar kahin aur sahara dhund leti hain. Ab samja Rupali ne kabhi mujse pyar nahin kiya, muje nahin samja. I hate you Rupali, I really hate you. I hate you Ashna. Main duniya ki har ladki se nafrat karta. I really hate girls".
Akhiri lines padte padtey Ashna ke chehre per chinta ki lakeereen saaf dekhi ja sakti thi. kafi samay tak Ashna last lines padti rahi aur ektak us har ek akshar ko dekhti rahi jismain Main Virender ne pane dil ka ghubbar nikala tha. Wo Virender se naraz nahi thi per use accha nahin lag raha tha ke Virender use bhi galat samajta hai. Kafi der tak wo isi baare main sochti rahi fir achanak usne gahdi ki taraf dekha jo ki 5 bajane se kuch he duri per thi. Ashna achanak bed se uthi jaise use kuch yaad aya ho.